Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Suhaag Raat For Dulhan: Dulhan Ki Pehli Raat?

Medical Discussion   >>  Sexuality
Penis Exercises
Do Penis Exercises Really Work?
Abnormally Bent Penis
Peyronie Disease and Abnormally Bent Penis
Natural Aphrodisiac
Natural Aphrodisiac for Enhancing Sexual Desire
Increase Sperm Count
10 Easy Ways to Increase Sperm
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:27th Oct 2009, 4:50pm
 

Suhaag Raat For Dulhan: Dulhan Ki Pehli Raat?

                       Sohaagh raat for dolhun?

Mam kali zobaan ny sohagh raat py jo article likhy wo apni missal ap lajuwaab hen or forum py sub sy ziyada on ko read Keya jata hy ek article ka ono ny wadha Keya at k woo likhyin ghi pur woo khuch wujohaat ki bana py ni likh suki , meah sumajta ho k sohaagh raat for dolhan

Ek kafi moshkil topic hy or es py likhna asaan ni hy so mea ap logo sy request kurta ho k ap es thead meh es topic k oper thora discuss kurin k sohagh raat for dolhan mea ap Keya jan-na chaty hen ya sohaag raat for dolhan meh kin kin bato ko discuss Keya jay.meah sumajta ho k agur es topic p yap logo ny acha response deya tu kali zubaan jo es forum ki bot senior writer hen onko be es topic py likhny meh bot asaani hoge .Sohaag raat for dolhan mea hap Keya read kurna chaty hen?

·        Sohaagh raat for dolhan kin kin bato ko discuss Keya jay?

·        Ya ap k mind meah esa Keya hy jo sohag rat for dolhan article meh hona chaiye

Meri zaati jaa tuk khiyaal hy sohaag raat for dolhaan woo he hy jo k kali zubaan ny apny articles meh likh deya hy baki khuch chezin hen jin ko discuss kurna baki hy or meh sumajta ho k woo chezin b discuss ho choki hen or roz discuss hoti hen , mugur pher b zroorat hy likhny ki ku k es meah all in one aajay ga.

Or meah sumajta ho agur es topic py likha jay tu bot sari batin bot sary concepts, bot sari mis understandings, or in future life or wedding life or sexual life k bary meh khuch batin agur es meh discuss kur de jayin tu ny shadi kurny wali girls k leye bot acha ho ga,

Jesy bot sari girls hymen, or wedding night bleedings etc jesi bato sy puryshaani ho rhi hoti hen or bot sari girls pain sy or bot sary dosry musayil b so meh kali zuban sy request kuro ga k es topic k bahd onko kafi sara material or suggestions es post sy mil jayin ge jo I think k bot he help full honge kali zuban k leye

So lafi dosto ka issraar raa hy or kali zuaban ny announce b Keya taa k ye article bot juld ara hy jo ni aaa suka onki personal wujohaat or es moshkil subject ki waja sy b jo meh sumajta ho

So please put your comments especially girls and women jo ye sumajti hen onko wedding night k bary meh elm ki kumi ki aja sy koi problem howa woo b yaa share kurin ta k article ki bonyaad achi ho suky






H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:29th Oct 2009, 8:59am
 

hmmmmm

pur sary ry hen comments ni day ry why?
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:30th Oct 2009, 12:59am
 

Qassim bhai

hum ne to abhi abhi yeh post parhi hai, app ka point to bauhat acha hai k jiss tarha suhaag raat for dulha mein kaali zuban ne itne sare tips diye hain ussi tarha dulhan k liye bhi kuch tips honi chaiye,

magar suhaag raat mein to dulhan chup chaap hi rehti hain, bechara dulha khud itna nervous hota hai to dulhan ka kia haal hota hoga.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:30th Oct 2009, 5:17am
 

sahilbai

yes i am agree with you tub he tu kali zuban likh ni pa rhi hen mery khiyaal say.. pur dolhnaan k mind meh huwaayaaa chul rhi hoti hen any how dahkty hen kali zobaan keya reply kurti hen agur es topic py likha jay tu thora sa moshkil hy esi leye es topic ko start keya ghiya k likhny k leye khuch mil jay or wo suwaal jo log pochna chaty hen ta k article apni misaal ap ho,
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:30th Oct 2009, 6:12am
 

qassim bhai

kali zuban jab pata nahi kab article likhein gi. app hi kuch behtar tips bata dein dulhan k liye. app bhi mashallah se bauhat ache articles likhte hain.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6620  Age:  54  
Posted on:30th Oct 2009, 6:16am
 

saahil bhai

kia apkay khayaal maiN qasim bro ko 'dulhan' bannay ka bhi tajarbah hai lol "Kali Zuban" to khair say aisaa 'dawaa' kar bhi sakti hain :) wohi iss topic par bhi bharpoor tareeqay say likh sakti hain.... onki nah sirf immagination power bahoot khoob hai balkay onhain inshiyya /afsanah / manzar nigari main bhi maharat hasil hai........ kash onhaiN waqt mil jaa.ay iss taraf ka bhi manzarnaamah likhnay ko....
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:30th Oct 2009, 6:23am
 

MyDear Rizvi bhai

mein app ki baat to tahe dil se manta hoon k kali zuban ji iss mauzu per bharpoor tareeqe se likh sakti hain, magar woh itni busy rehti hain k unhein likhne ka time hi nahi mil pata hoga, abb forum pe jin shakhsiyaat per yeh zimmedaari jaati hain un mein , myrizvi aur H/ dr qassim , aur bhi bauhat se log hain to inhein bhi chahiye k humein iss bare mein thori maloomaat faraham karen.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6620  Age:  54  
Posted on:30th Oct 2009, 6:28am
 

saahil bhaiiiiii

apko kss baray main kiyouN maloomat chaahiyeh.... kaheen apka to mustaqbil qareeeb /doooooooor maiN dulhan bannay ka iradah nahi haaaaaa haaaaa

jab tak "haqeeqi zaroorat mandouN" ki taraf say aisee koi request nahi aati tab tak hum apna waqt kiyouN "zaya" karaiN lol

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:30th Oct 2009, 6:34am
 

brothers my rizvi and shohil

Brothers mujy dolhan bunny ka tu koi khaas tujurba ni hy mugar 2 times dolhaa zuroor buna ho mut-bul du shadiyaa  halaa k esa kubi socha ni ta mugar life meh some time essy lumhaat aty hen k insaan mujboor hota hy.

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:30th Oct 2009, 6:42am
 

Rizvi bhai

mere under aise koi jarasem to nahi hain k mujhe dulhan banna pare magar iss article ki zaroorat abhi nahi to future mein to par sakti hai na, abb jis tarha dulha k liye itne sare articles likhne pare to issi tarha dulhan k liye bhi kuch tips hone chahiye na, abb haqeeqi zaroorat mand pata nahi kab ayenge aur kab apni khuwahish ka izhaar karenge, phir artilce likhne mein itna time lagega, to mein abhi se un sab ka time bacha raha hoon.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:30th Oct 2009, 6:50am
 

rizvi and sohail

meri duty ka time start ho ghiya so me going kul bat ho ge bubby

dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 75  Post: 1315  Age:  34  
Posted on:30th Oct 2009, 10:45am
 

dr qasim

nice post.it seems that Kali zuban is checking all posts on these suhag raat for dulhan issue.once she thinks that its ok to give her opinion she will come up with the kind of article she is famous for.

kali zuban ji, its the right time for u to make ur presence feel.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:30th Oct 2009, 11:21pm
 

dom man and all

mery khiyaal sy chund chezin hen jin ka mention kurna zuroori hy es article meh wo ye hen

  • shadi ki ehmiyaat or aassul muksud shadi ka
  • husband wife releation and shurm-o-huyaa
  • husband and wife k most important hukook
  • sex ki ehmiyaaat
  • husband ko wife kesa responce day on first night
  • hymen and pain ki bary meh jo draowni batin lurkiyaa mind meh rukhti
  • first night k diologe meh wife keya kahy juwaab meh
  • firsht night ko wedding gift k time k shukryaa k dialoge
  • first nigh meh dur or khof
  • first wedding night and intercourse
  • first weddign night gupshup
  • first wedding night or ebadaat or dohaa for baby
  • first wedding night or gossal k musayl
  • first wedding night ek life ki huseeen night kesy bunai jay
  • first wedding night or husband ka khof kessy door keya jay about intercourse ku k husband b dur he ra hota hy puta ni keya hoga aj
  • first wedding night and sleep
  • first wedding night or ni family
  • apny ap ko nay logo meh kesy adjust kurna hy
  • apny husbnad during intercourse and forplay kesy behave kurna acha hy on wedding night or bahd meh
  • islam meh kin bato sy muna keya ghiya or kin ki permisson hy
  • first wedding night and privacy of sexual matters
  • first wedding night and shadi k ibtidaai din
  • pregnency or family planing ka fasila

 

 

 

 

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:31st Oct 2009, 5:27pm
 

kali zuban

ap ny es thread sy nuzar ku chorai hoi hy
noor123 Group: Members  Joined: 16th Apr, 2007  Topic: 83  Post: 804  Age:  28  
Posted on:1st Nov 2009, 1:11am
 

my questions

mere pass baraye question hai lakin mai apni baba ki waja sai pershan hoon
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:1st Nov 2009, 2:52pm
 

noor123

ji ap zurroor mention kurin Question and apni suggestions
noor123 Group: Members  Joined: 16th Apr, 2007  Topic: 83  Post: 804  Age:  28  
Posted on:2nd Nov 2009, 7:15am
 

h/dr qasim

aik bar mai na ya wala sawal poucha tha toa sub na bora mana tha ka larkia esai question nahi keri aur kali zuban na ya tub sai abi tak nahi likha

plzzzzzzzzzzz mere question per hunsna nahi

mera question hai jub shadi hoti hai toa husband pehli din batata hai ka ghar mai kia kia kerna hai ya baad mai batata hai

es tarah toa nend pori nahi ho gai phir girl neend kub pori kerae.

mai na kubi sex toa nahi kia lakin agar bleeding na ho toa phir girl kia kere aur agar bleeding stop nahi ho toa kub stop ho gai , tum namaz perh laiti hai

shadi ka bad dua mangte hai lakin girls na nail polish lagi hoti hai jis sai wazo nahi hota

girl khudi dress change ker laye gai ya husband ka order ka wait keraye gaye

shadi ka bad gusal kub kerte hai

agar girls afraid ho toa kis tarah momkin hai ka 1st night esai nahi keraye

 

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:2nd Nov 2009, 7:26am
 

noor123 Ji

app ke sawal to bauhat ache hain aur qabil e gaur bhi hain, qassim bhai aur dosre members in ka sahi tareqe se jawab de paege, meri abhi shadi nahi hui iss liye theek tarha se jawab nahi de sakta,

jahan tak mera khayal hai first night husband khud itna tension mein hoga aur yehi soch ra hoga k mein kia karon kis tareqe se baat karon, kia kia baat karon, abb woh us ki soch pe depend karta hai k woh ghar ki batein kab batayega.

bleeding ho ya na hoo app ko kuch nahi karna jo karna hai app ke husband ne karna hai, shadi k baad namaz bhi parhte hain aur dua bhi mangte hain, app nail polish ko spread se saaf kar sakti hain aur dress change karne mein mere khayal se koi girl bhi khud change nahi karti jab tak husband order na de de.

ghusul k liye behtar yehi hai k app intercourse k baad kar lein magar zaroori nahi hai, agar app bauhat ziyada thake hue hain to baad mein bhi kar sakte hain, magar behtar yehi hai k gusul kar ke fajar ki namaz parh kar aram se so jayen.

abb shadi ki raat to har girl afraid hoti hai abb uss ke husband pe depend karta hai k woh kis tarha apni wife ka daarrr aur khauf door karta hai aur kitni jaldi uss se friendship bana leta hai.

jahan tak meri soch thi aur jitna mujeh samajh aya mein ne jawab de diya hai, agar iss mein koi galti hai to plz mujhe correct kijiyega.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6478  Age:  35  
Posted on:2nd Nov 2009, 3:36pm
 

noor123

thanks for sharing with us your comments , i will do my best insha Allah k ap ko en suwaalo k juwaab day sukoon .

kali zuban puta ni ess thread sy ku naraz hen ? or ku ankhyin choraa rhi hen haalaa k ye thread meh ny onki help k leye open keya hy ta k article k leye achi bonyaad bun suky or wo wo batin es meh mention ho sukin jo ek lurki k leye shadi jesy pak o huseen bundhaan meh bundhny sy phyally janna zuroori hoti hen aay din lurkiyaas suwaal kurti hen

ap ny achy Questions pochy hen or meah request kurta ho k sub girls and womens es post meh apny questions post kurin or comments b or pher abi meh kali zuban ka wait kur ra ho k wo es thread meah aaayin or apny comments dayin puta ni wo ku naraz hen

agur mam kali zuban ny mujy ejazaat d tu pher meah es topic py likho ga mugar mujy bot khoshi ho ge k kali zuban es topic py likhin ku kay ono ny likhny ka apny porany articles k sath kaha ta k very soon wo likhin ghi so ye article kali zuban he likhin ge

meah onky writing style or onki honurmundi ka bot bura fan hon or es forum py wo ek teacher ki hasiyaat rukhti hen or respect b so insha Allah kali zuban tufseel sy likin gee

or ap k suwalo ko meh es list meh shamil kuro ga 

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  26  
Posted on:3rd Nov 2009, 7:34am
 

noor

apke sabhi sawal buhut achey hain. Aik bat main kehna chahun gi ke har insan ki shakhsiyat aur adatain alag alag hoti hain, jese har insan aik situation ain alag tereh se respond karta hay wese hi shadi bhi aur shadi ke baad ke halaat bhi sabke liye different hotay hain, jesa ke apne kaha ghar ke kaam waghera tu kayi ghar aisey hotay hain jahan joint family system hota hay kaheen larka akela rehta hay, isi munasbat se baat ki jati hay. hr kisi ki requirements lag hoti hain, aise main larka aur larki dono ko chahiye ke wo sabse pehle aik doosrey ko dost samjhai aur is hakeekat ko accept karen ke ab un dono ne sath main zindigi guzarni hay aur har dukh suk share karna hay, dono apne darr aur confusion bhi share kar saktey hain. Mian biwi ke beech jab jhijak khatam hojaye tu wo apne naye rishtey ki shuruwat buhut aitmad se shuru kar saktey hain.

Rahi baat neend poori karney ki tu ye tu waqai aik masla hay, kyunke shadi ke shuru ke dino main ghar main mehmano ki amdo raft hoti rehti hay aur sath hi dawaton ka silsila bhi chalta rehta hay aisey main mian biwi aik doosrey ko kareeb se jaan bhi rahay hotey hain, kuch excitement aur kuch aur wajohaat ki bina par rat ki neend nahi poori ho pati aise ain ghar walon ko is bat ka khayal rekhna chahiye. Aksar tu neend na poori honay ka ehsas nahi rehta, insan ki nature hay ke jab koi nayi cheez ho tu excitement berh jati hay aur bhook aur neend ka ehsas nahi rehta, shadi ke shuru ke dino main bhi aisa hota hay. Aur pphir neend poori karney ko sari umar pari hay.

rahi bat bleeding ki hona na hona alag baat hay, lekin sabse important bat ye ke is baray main sochna fuzool hay, ye kisi chot ke lagney ki bleeding nahi balkey aik natural process hay jis ke baray main soch ke khauf zada hona fuzool hay, doosra ye ke lights kam honay ki waja se larki ko pata nahi chal pata ke aaya usko bleeding ho rahi hay ya nahi, ye tu baad ki baat hay. Har kisi ke liye bleeding diff hoti hay kisi ko kam kisi ko ziada aur ye periods ki bleeding nahi hoti isliye jald hi ruk jati hay, jisko na ho usko bhi pareshaan honey ki zaroret nahi hay kyunke ye zaroori nahi hay ke hr larki ko bleeding ho. Rahi baat ghusal ki tu wo tab hi o sakta hay jab bleeding ruk jaye.

Shadi ke baad dua mangi ja sakti hay, dua tu kisi bhi halat main mangi ja saktihay uske liye bawazoo hona zaroori nahi hay, rahi baat namaz ki tu behter hay ke larki kapre change karney ke sath hi nail polish bhi utar de ur foran namaz parhey kyunke apni nayi zindigi ki shuruwat Allah ka naam leke karney se Allah paak usko azdawaji khushion se nawazey ga.

jesa ke maine pehle kaha ke har kisi ke liye situation alag ho sakti hay, kayi dafa dulhay apni dulhan ki halat ka ehsas kar lete hain ke bechari itney ghantey se itney bhari kapre aur jewellery pehne beth hay tu keh dete hain change karney ka, agar aisa na ho tu baat cheet shuru honay par dulhan keh sakti hay ke wo uncomfortable feel kar rahi hay, ya phir sabse berh kar namaz bhi tu ada karni hay, aisey main koi husband mana nahi karey ga.

ghusal karna wese bhi sunnat hay, shaadi ke baad ya keh lijiye shadi ki rat ke baad dulha dulhan napak hon unhain ghusal karna lazim hay aur wo jitni jaldi kar lia jaye utna acha hay.

rahi baat jismani tallukat ki tu uske liye umar pari hoti hay, shaadi hogayi tu ye tu wazeh hay ke dulha dulhan aik doosrey keliye jaiz hain, agar larki khauf zada hay tu dulhay ko chahiye ke pehle wo is khauf ko kam karay, wo is tereh ke idher udher ki batain karay, apni dulhan ko jannay ki koshish karay usey apne baray main bataye aur usey relax karey, har kaam step by step kiya jaata hay aur agar aisa ho tu koi masla nahi hota. Har larki shadi ki rat shauahar ki kurbat expect kar rahi hoti hay, aisey main dulha ko chahiye ke apni biwi ke ehsasat ko samjhay ar agar kisi bhi waqt usey lagey ke larki tayyar nahi tuusey ruk jana chahiye. Aik nayi zindigi ki jab shuruwat hoti hay aur mental aur physical changes atay hain tu dono to ye samajhna chahiye ke har kaam main waqt lagta hay, agar dil dimagh accept kar ley tu well n good agar nahi tu koi jaldi nahi hay, zaberdasti se shuru se hi relationship main darar aajaye gi. Larki ko bhi chahiye keis baray main malommat rekhey aur ye bhi smjhay ke jo ho raha hay wo uske shauhar ka hakk hay aur har tereh se apne apko tayyar karney ki koshish karey

1 2 3  >>
Chances Of Pregnancy
Tips to Enhance Your Fertility and Chances of Becoming Pregnant
Get Rid of Dermoid Cyst
Dermoid Cyst - Prevention Tips and Treatment Methods
Dermoid Cysts Facts
Dermoid Cysts - the Facts
Sanitary Pads
Tampons Or Pads?
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013