Suhaag Raat Aur Mobaashrat ke Aadaab – l
Suhaag Raat ke Aadaab 1. Suhaag raat ka pelha aadab ye hai ke mard bivi ke saath narmi aur dil daari se paish aye aur es ki tawa'zaa ke liay koi mashroob ya mithayi paish keray.Hazrat Aysha (RA) se pelhi mulaqaat me Hazrat Muhammad (S.A.W.W) ne aik pay'aalay(cup) ma doodh khud piya phir ussay Hazrat Aysha (RA) ko paish kiya, wo sharmayien tu Hazrat Asma (RA) ne unhain aamaada kiya.bahd ma Hazrat Muhammad (S.A.W.W) ne es payalay ko Hazrat Aysha (RA) ko doseri sahailiyoon aur es moqay per mojood doseri khawateen ko paish kernay ko kahaaa. 2. Suhaag raat ka dosera aadab ye hai ke khawand bivi ki payshaani(forehead) per haath rakh ker "Bismillah" parhay aur "Ae Allah main es ki bhalayi aur es ki aadatoon ki bhalayi ka sawaal kerta hon aur es ki buri aadatoon ki buraayi se paana maanghta hon".Es Dua ki barkaat se Allah es ki buraayi ko dour ker day ga aur es ke ghar ma es auraat ki naiki phailaye ga. 3. Suhaag raat ka teesera aadab ye hai ke dulhaa dulhan mil ker 2 rakaat nimaz-e-nafal parhain.Hazrat Abbu Saeed (RA) ki shaadi per un ko Hazrat Abdullah bin Masood (RA), Hazrat Abbu Zer (RA) aur Hazrat Abbu Uzaifa (RA) ne es ki talqeen ki.Hazrat Abbu Huraira (RA) ko un ki suhaag raat per Hazrat Abdullah bin Masood (RA) ne 2 nafal parhnay ki taqeed ki. Suhaag Raat Kaisay Manaayi jaye? Pelhi raat jab husband aur wife akelay main miltay han tu es ma sirf itni baat hai ke pelhay wo aik doseray se be-khaber thay aur ab ba'khaber ho jattay han.in ma aik fiteri sharm-o-haya thi wo dour ho ker in main baat cheet aur pyar-o-muhabaat ki ibtayda hotti hai.es liay husband aur wife ki pelhi raat ko na tu koi pur israar raat sumajhna chahiay aur na hi kisi qisum ka der hoona chahiay.kuin ke her baat ka start khushi se aur soohaana hotta hai es ke ilawa es main aur koi khaas baat nahi hai. Suhaag raat main khaawand aur bivi ke dermayaan aapus ka pyar-o-mohabat aur salook bahot zuroori aur ahmiyaat rakhta hai.es liay mard ko ye baatain sumajhni chahiyain. 1. Apnay bertaoo ke zariay,mohabat aur baat cheet ke zariay bivi ki ajnaabiyat ka ahsaas aur jhijhak ko dour kernay ki koshish keray. 2. Baat cheet ka undaaz aur topic bahot mohazab,pyar bhara aur ba-saleeka hoona chahiay. 3. Mard ki baat cheet se ye zahir hoona chahiay ke bivi uss main apnahiyat mahsoos keray. 4. Mard auraat ke husn-o-jamaal ki tahreef keray. Suhaagraat Ke Aadaab-Bivi ke liay Hidayat 1. Es baat ko porri tara dimaagh ma baitha lay ke es ka khawand hi ab es ka sub kuch hai. 2. Apnahiyat zahir keray. 3. Husband ki her baat ka khol ker jawaab day. 4. Hansnay khailnay aur chahr chaahr kernay main khawand ko courage keray. Suhaag raat ki kaamyaabi tabhi ho gi jab dono partners aik doseray se sahi salook rawa rakkhain gay.khaas torr per ye sumjhaa jaata hai ke khawand ke salook per ye depend kerta hai es liay ke start humesha mard kerta hai auraat nahi.waisay bhi Allah ne auraat ko naturally zyada sharm-o-haya aata ki hai.es halaat ma mard ka haq bunnta hai ke wo auraat ki jhijhak ko dour kernay ki koshish keray.aurat ki jhijhak ki bahot sari wajoohaat hotti han.sub se pelhi aur khaas wajja ye hi hotti hai ke wo aisi creation hai jis main haya koot koot ke bhara hai.jidhar wo dulhan bun ker ayi hai wo ghar uss ke husband ka tu hai laikin wo mahool uss ke liay abhi bilkul nayaa hai.jis mard ke saath wo dulhan ke roop ma chup chaap chali ayi hai wo uss ka khaawand hoonay ke bawajood aik naya aur un'jaan mard hai.aik new life ka start ker rahi hai aur sooch rahi ho gi ke uss ka khawand uss ke saath kya salook keray ga aur na jaanay kya uss ne dil-o-dimaagh main pelhay hi se imagine ker rakha ho ga.aaksir suhaag raat kis tara manayi jaye? ye sawaal young generation poochti hai aur es per kitni books, literatures aur articles likhay ja chukay han.jis main bataya gaya hai ke pyar-o-mohabat hi kerni chahiay,intercourse aglay moqay per kerna chahiay sirf aurat aur mard ko aik doseray ko interoduce kerana chahiay aur aik doseray ko baat ke zariay sumajhnay ki koshish kerni chahiay.koi ye kahta hai ke in dinoo sirf foreplay tak rahna chahiay aur intercourse nahi kerna chahiay aur intercourse sirf uss soorat main hi kerna chahiay jab bivi porri tara raazi ho es ke liay.laikin es matter main different people different opinions daitay han. Baat sirf ye hai ke sex aik porri tara personal subject hai ye kisi rules ya restrictions ke under nahi chal sakta.koi mard ya auraat(husband aur wife) kab aur kis tara sexual intercourse kerna chahtay han….ya kab aur kaisay kerna chahiay ye un ki zaati khowaish ya interest ya need ya situation per depend kerta hai. Other Related Articles:
|