InFiNiTe D |
Group: Members Joined: 05th Oct, 2008 Topic: 1 Post: 4 Age:
31
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 11:06pm |
|
|
Social Phobia
Please define Social Phobia and how we solve this problem my mentally or medically.
|
Maria_z |
Group: Members Joined: 07th Mar, 2007 Topic: 28 Post: 259 Age:
25
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 11:21pm |
|
|
help plz mujhe bi yahi problem hai plz help |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 11:44pm |
|
|
re: social phobia Social phobia ka ilaj psychiatrist ya clinical psychologist kerte hai. aap kisi psychiatrist ya clinical psychologist se personally consult kare. aap apne problem ki tafseel bataye, tu yaha per member bhi aap ko proper guide kare ge.
|
Tehseen |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2007 Topic: 53 Post: 386 Age:
30
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 1:45pm |
|
|
replay boley to yey Social Phobia kia hota hey ???? |
InFiNiTe D |
Group: Members Joined: 05th Oct, 2008 Topic: 1 Post: 4 Age:
31
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 3:29pm |
|
|
Social Phobia Mainay Akbar may parha tha kay is may mubtla logon may ye problems paii jatee hain
1. Wo zyada social activity like shade ya kisi be kisum kay functions may janay say gubratay hain.
2. Unhain her waqat apnay digestic system per booj mahsoos hota hay.
3. Zyada logon ka samna kernay say ghubratay hain.
4. Bazz dufa subah utnay kay bad wo fresh nahe hotay.
5. Unkay zahun(mind) per ik booj sa rahta hay aur kisi chez per concentrate nahe ker patay
6. Perhaee(study) may dill nahe lugta.
7. Bazz dufa zahun bilkul khali mahsoos hota hay.
8. Public speaking maybe mushkil hote hay.
Ye massla zyada ter 18 se 20 sal kay bad shorro hota hay aur agur ic ka sahe waqat per proper elaj na kia jaay to ic say chutkara panay may kafe dair be lug sukte hay. Mujay be inhe problems say wasta perta hay jokay baaz dafa bulkay zyada ter meray career may bohut bare rukawat hay aur bohut se chezain jo main kerna be chahta ho kernahe pata bazz dufa sur main durd be hota hay aur zyada kisi baray main sochon ya damagh(mind) per zoor daloon to ghanodgy(sleep) honay lugte hay. Agur koi interview hay to jisdin pata chulay usi dinsay tention honay lugtee hay jubkay main apnay profession may bilkul proffessional hoon pher be negative thinking preshan kerkay rakh dayte hay aur jis din interview ho ya paper ye apne intha ko pohunch jate hay. Mere ante ka be yehe musla tha per unhain doctor nay pata nahe kon se medicine deen thee kay woo khanay kay bad wo bayhis yane ankain kulee hain per gumsum rahte thee per jub unhon nay medicine chore to bilkul teek ho gain iskay elawa aik or aziz kay sath be yayhe hoa tha. Chunacha main be isi liya derta hoon kay koi aysa doctor na mill jaay. Agur aap ko koi acha doctor ya koi medicine ka pata ho to plz inform me thanx
|
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 3:45pm |
|
|
re: social phobia janab aap ko social phobia per mazmoon likhne nahi kaha gia hai to aap ne aik akhbar mai read ker ke likh dia. aap apna zati masla bataye ke aap ko kia hota hai. yeh baat pehle hi batayee jaa chuki hai keh social phobia ka ilaj clinical psychologist kerte hai.
koi zaroori nahi keh jo problem aap ki aunty ko tha wahi aap ko bhi ho, isi tarah yeh zaroori nahi keh jo medicine aap ki aunty ko di gayee hai wahi medicine aap ko bhi di jaaye.
|
sabri-adv |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2008 Topic: 1 Post: 16 Age:
48
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 3:59pm |
|
|
A.O.A to all members ,being suffering in the past i also would like to participate in the ongoing discussion pl |
sabri-adv |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2008 Topic: 1 Post: 16 Age:
48
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 4:05pm |
|
|
kali zuban a.o.a mein iss k bary mein bohat kuch janta hoon pl discuss now |
InFiNiTe D |
Group: Members Joined: 05th Oct, 2008 Topic: 1 Post: 4 Age:
31
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 4:07pm |
|
|
Social Phobia Mainay akhbar main to wasay bohut kuch paha tha per main nay wohe lika hay jis muslay say main guzur raha hoon aur itna to mujay be pata hay kay kon ilaj kerta hay kon nahe per mainay achay doctor yane jin say apko waqae fida hoa ho ke advice mange hay. I think u better know now. |
sabri-adv |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2008 Topic: 1 Post: 16 Age:
48
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 4:16pm |
|
|
kali zuban aap kahan ho kiya iss per aap log kuch janana chaho gay muj se |
sabri-adv |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2008 Topic: 1 Post: 16 Age:
48
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 4:37pm |
|
|
hello members koi bi reply nai ker raha pl discuss me now |
nikama |
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 6:19pm |
|
|
sabrie -adv.. meri jaaan , main sun raha hoon, tum bolloooo..I am listeing..cheeers
waisay ju bheee imfint D sb nay maslay yahaan biyaan furmayaee hain, wu sub thori see brain excersis aur strong confidense say theek ho saktay hain..kisee doctor kay paas iss ka ilaaj nahee hai.. trust me... try to build up ur own personal internal confidence, u will very goood.I exactly understand all these whatever u r suffering from..
|
sabri-adv |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2008 Topic: 1 Post: 16 Age:
48
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 1:50am |
|
|
nikama dear mr.nikama i have minutley gone through yours responces on diferent issues discussed in this auspacious forum butt i can not help my self to aknowledg ur esteemend answares which realy compelled me
to discuss with you the point/disease under reference. Last night i waited for about 1, 1/2 hour but no answer was received from any quarter except you. I am highly obliged to reply me precicesly.
However, I want the discussion on the point with your goodself in some detail which may be utlizied by the other members of the forum.
since i have in pk therefore, i have yet not been able to combat the timings within which we can discuss as mentioned above.
An earliest reply is requested in this regard to further discuss the matter.
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 3:56am |
|
|
social phobia... jo ap bta rahay ho uski main reasons ye hoti hain: masturbation, diseases & weakness jismani tor par kisi kami ka hona ziada khoobsurat na hona kisi bi waja say apnay apko nakaam samajhna
jaisay jaisay zindagi guzarti hai, insan strugle karta rehta hai aur kamyabian hasil hoti rehti hain, to sath sath confidence mai bi izafa hota jata hai...
zindagi ki har kamyabi apka confidance level barhati hai aur har nakaami apkay confidance mai thori si kami kar deti hai,, lekin apnay aisay apnay apko karna hai k koi nakaami bi apka confidence level ko kam na kar skay... kuch log aisay hotay hain jo kisi khas maksad k liye dua kartay hain aur dua kabool bi ho jati hai, so unka emaan aur ziada mazboot ho jata hai, lekin kuch log aisay hain jo ziada tar yehi kehtay hain k dua kabool hi nahi hoti...
so, hamai har soorat apni soch positive rakhni chahiye, agar apki pasand ka kaam nahi ho skaa to bi yehi socho k ismai koi behtari hogi, aur apni struggle jaari rakho... jidhar apnay strugle karna band kar dia, ap down honay lag jao gay aur maayoosi apkay andar jaga bana laygi...
agar apkay andar koi kami hai, ziada khoobsurat nahi ho ya kuchh bi waja ho sakti hai jis say ehsas-e-kamtari mehsoos kartay ho, to apni us kamzori ko hakeekat samajh kar accept kar lo, aur ye soch lo k apko is dunia mai rehna hai, ye mat socho k log kia kahaingay, hakeekat ko tasleem kar lo, aur sath sath us kamzori ko door karnay ki koshish kartay raho agar wo kamzori / kami door ho sakti hai,, to inshaAllah apka dar khauf aur lack of confidance sab ahista ahista theek ho jaeyga... ziada behtar ye hai k aisa insan shadi kar lay... shadi k bohat say faeday hain , 1 faida ye bi hai k apko bohat say logo say milna paray ga, kabi susraal aur unkay rishta-daaar , to kabi apnay relatives say milna paray ga... sochnay ka andaz change ho jaeyga, aur waisay bi manay dekha hai shadi k baad ziada tar log thoray say besharam ho jatay hain...
agar aisa insan masturbation karta hai to usay chahiye k ye kaam chhor day, kyonkay medically to idhar sab hi kehtay hain k iska nuksaan nahi hai, par agar koi insan ye sochta hai k usay is say nuksan ho raha hai aur weakness bi ho rahi hai to usay ye kaam nahi karna chahiye.... aur apni khuraaak (diet) barha deni chahiye, 2 ki bjaey 3 rotian khao, dudh dahi gosht keema ye sab cheezon ka istamaal ziada karna chahiye. aur har roz thori exercise ya bodybuilding. aur paani ka ziada istamaal...
|
InFiNiTe D |
Group: Members Joined: 05th Oct, 2008 Topic: 1 Post: 4 Age:
31
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 4:45am |
|
|
Reply to Josh Josh baii aap nay bohut ache batain kee thanx per mujay inmay say koi problem nahe Allah ka sukar hai. Laiken musla ye hay kay mere ye adat shayad walda(mom) ki versay may milli hay kuon kay mere walda ke be yahe musla hay kay wo +ve thing may say be -ve pehlo nikal layte hain unko to ic umer may aker ye masla hoa laiken mare sath to abe se ye musla tung ker raha hay aub main koi faisla kernay lugon ya khass tor per koi naee cheez say amna samna ho to ghubrahut bohut ber jate hay mujay jo subsay zyada mahsoos hota hay wo shyad confidence ke kame hay. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 5:10am |
|
|
infinite d ok ab baki members apko reply karaingay. see you.
|
nikama |
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 10:44am |
|
|
ya...sabri adv.. I am here.Ya,thanks for your attention.here memebers arew sometimes very busy ,thats why u might not get any proper reply but , please discuss , whatever you wana share.I am always available for every one..You please start and I will catch you in your responce.
Thanks ands cheeeers.. aur mr Indfite D...you are okay ,belive me.. just build up some internal suffered weak confidence..thats it..u dont need any medicine...
|
|