Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Shohar Bivi Ke Jhagde ki Bunyad Kia Hai ?

Social Problem   >>  Culture and Society
 
 
 
Mera Sawal Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 12  Post: 267  Age:   
Posted on:24th Jun 2007, 12:25am
 

Shohar Bivi Ke Jhagde ki Bunyad Kia Hai ?

Aj kal am tor par shohar aur bivi ke darmian is bat par jhagra rahta hai keh shohar bivi ko alag ghar mai kio nahi rakhta.

shohar kahta hai keh mai apni mother ko akela nahi chor sakta, kio keh mere ilawah mother ki dekh bhal aur khidmat karne wala koi nahi hai. aur agar mai ne old mother ko is age mai akela chor dia tu qiamat ke din mai jahannam ki aag se nahi bach sakoo ga. lekin bivi in bato ko nahi manti.

masla yeh hai keh shohar agar bivi ko alag ghar mai rakhta hai tu khood kis ghar mai rahe? bivi ke sath bivi ke ghar mai ya phir apni old age mother ke sath mother ke ghar mai? dono mai se kis ka sath chore aur kis ka sath de?
simmonash Group: Members  Joined: 17th Apr, 2007  Topic: 15  Post: 33  Age:  30  
Posted on:25th Jun 2007, 12:30pm
 

Orat pe sab se ziyada haq us kay sohar ka hota hay.......... or aik Mard pe sab se ziyada har rishte se ziyada haq MAAN ka hay.... ap ko apni ma ko naraz nahi karna chhaye........ ap ki biwi galat kar rahi hay......... ap ki ma k pas or koi nahi jo us ki khidmat kare to zahir hay ap ko apni ma k sath rehna chahye kyun k ma se ziayda haq aik mard pe kisi ka nahi hay Biwi ka b nahi....
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4259  Age:  38  
Posted on:22nd Aug 2009, 12:42pm
 

mia bivi jhagra

bivi ke muqable mai maa ka khayal rakhna mard ki zimmadari hai. lehaza bivi ke kehne per ghar change nahi kerna chahiye.
noormx Group: Members  Joined: 31st Aug, 2009  Topic: 2  Post: 6  Age:  33  
Posted on:2nd Sep 2009, 7:05pm
 

Mia Biwi Jhagra


Biwi Ne Aaj Kaha Ghar Ko Chor Do
Kal Kahegi Maa Ko Chor Do
Parso Kahegi Baap Ko Chor do
Sabhi Rishtey Sabhi Naate Tod Do
Or Or Ek Din Aayega Wo Kahegi....Ki ......Ye Duniya Hi Chor Do

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:2nd Sep 2009, 8:27pm
 

Re:

Mian biwi k relation mein sab ko saath le kar chalna hota hai. Donon ki families ko bhi dekhna hota hai.. Is liye kisi ko bhi zid karnay ki bajaye halaat ko samnay rakhtay howe aik dosray ka saath dena chahiye. Baaz dafa husband ko compromise karna parta hai or baaz dafa biwi ko. Donon ko chahiye k aik dosray ki baat sunein or phir mashwara kar k koi qadam uthayein. Is se na larayi hoti hai or na kisi ki shaan mein koi kami aati hai...
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:3rd Sep 2009, 10:01pm
 

mear sawal

nice reply by seemi. dono ko compromise kar k chalna chahiye aaj agar biwi  shohar ki mother k sath nahi reh sakti to kal ko un ki mother k sath bhi un ki bahoo yehi karegi. agar shohar biwi se maan ki khidmat nahi karwata balkay khud karta hae to biwi ko aitraz nahi hona chahiye . bas yeh hae k biwi bachon ki bhi hak talfi na ho . qayamat k din sab se pehlay biwi k hakook ka muakhza hoga isi tarah behtareen shakhs woh hae jo apni biwi k sath acha hae . lekin maan k hakook ko bhi nazar andaz nahi karna chahiye mard k liye us ki maan sab se afzal hae lekin dono main balance rakhay . biwi ko mohabbat se samjhaye k maan ko akela nahi chora jasakta aur agar maan ka attitude takleef deh hae biwi k liye to aap unhain bhi pyaar se handle karain. biwi k liye shohar sab se afzal hae isliye us ki pareshani ko apni pareshani janay aur bilwaja tang na karay . tabhi aik ghar khandan ki surat ikhtayar karta hae. husband wife k relation main understanding aur compromise bohat zaroori hae.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:3rd Sep 2009, 11:04pm
 

naatqah sar bah garebaaN hai....

aur baqi sab to Theek hai magar Maryam bibi ka below statement

qayamat k din sab se pehlay biwi k hakook ka muakhza hoga .... lekin maan k hakook ko bhi nazar andaz nahi karna chahiye...

 agar above statement ko ulaT dia jaa.ay to behtar hogaa... yaa phir koi naqli saboot dia jaa.ay k qayamat k din sab say pahlay biwi k haqooq ka muaakhza hogaa 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:3rd Sep 2009, 11:13pm
 

myrizi bhai

maine kal hi tariq jameel sahib k bayan main yeh suna tha k hakookul ibad main  mard se sab se pehlay us ki biwi k hakook k mutaliq poocha jayega:) i.ll send u link kyun k is tarah ki baat main khud se nahi kehti . zahir hae biwi sab se ziada husband pe dependent hoti hae to us k sab se ziada achay salook ki bhi mustahik hae lekin yeh nahi k biwi ki waja se har najaiz kaam kiya jaye ya apni maan ki be izzati ki jaye . kyun k shohar k hakook main yeh baat bayan ki gai k agar shohar k jism pe sar ta paa chalay nikal ayen aur un main peep bhar jaye say aur unhain chaat chaat kar khatam kar day tab bhi us ne shohar ka haq ada na kiya 

haq to yeh hae k haq ada na huwa:)

to is tarah dono ko balance kar diya. 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:3rd Sep 2009, 11:25pm
 

baqi sab Theek hai

lekin ap quran /hadees yaa seeratay sahabaah RA say koi SANAD pesh karaiN k ... k qayamat k din sab say pahlay biwi k haqooq ka muaakhza hogaa.... yeh aik bahoot baRi statement hai... maiN biwi k haqooq ki nafi nahi kar rahaa... dounouN k apni apni jagah haqooq o faraaiz haiN aur dounouN say onkay  faraaiz ka poocha jayegaa... yeh to bar haq hai...... lekin rozay hashar haqooq ul ibaad maiN sab say pahlay wali baat SANAD maangti hai... agar maulana jameel sahib k bayaan maiN woh SANAD maujood ho please share here. yeh baat sanad k saath janna tamaam married mardouN k liyeh nehayat zaroori hai.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:3rd Sep 2009, 11:35pm
 

myrizvi bhai

ji zaroor woh koi bhi baat khud se nahi kartay main phir se sun kar yahan woh link bhi bata dongi inshaAllah . wese aap ghabrayen nahi aap to wese hi achay shohar hain:)
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:3rd Sep 2009, 11:56pm
 

ghabraanay wali baat to hai:)))

ap nay to daraa dia hai...waisay to hamari koshish hoti hai k biwi bachouN samait sab k haqooq adaa karouN lekin jab kabhi biwi Vs maaN ki position hoti hai to bil.amoom har mard pahlay maaN ko raazi karnaa chaata hai... yaani kissi aisay do-raahay pay khaRa hojaa.ay k oskay 'aqdaam' say maaN aur biwi main aik k raazi honay par doosri kaa naraaz honaa yaqeeni ho to hum amoomam maaN ki raza aur biwi ko khafaa kardetay hain

lekin ap k "formulay" yani sab say pahlay maaN wali baat agar durust ho to phir hamain maan ko khafaa karkay bhi biwi ki razaa haasil karni paRegi. hope k ap baat ki ahmiat ko samajh gayee hongee... ain possible hai k maulaanaa.e.mohtaram nay biwi k haqooq bayaan karnay maiN zoray khataabat maiN yeh fiqrah kah gaye houn yaa ap nay hi samajhnay main as a "biwi" thoRi see ........ :)))))))

will wait ur confirmation about sanad from authentic source.

meera Group: Members  Joined: 16th Sep, 2007  Topic: 4  Post: 58  Age:  29  
Posted on:4th Sep 2009, 3:04pm
 

mera sawal

well apki mother ka ap pe utna hi haq hai jitna ke apki biwi ka...
apki shadi ho gayi islka ye matlab nahi hai ke ab ap unhe Tanha chod dain.
pehle ye to pata chale ke aise Halaat kyoon hue ke apki biwi ne apse ye demand ki... yani ghar alehda karne ki..?? agar to ye billa wajah ki demande hai to us pe sochne ki zaroorat nahi hai.
lekin mujhe lagta hai iske piche koi wajah hogi..ya ho sakti hai.....,yani ke maby apki wife aur apki mother ki apas me na banti ho..lekin isme apka kirdar kya hota hai>??
mai samajti hun mard me itni diplomasy honi chahye ke wo biwi aur maa ko razi rakh sake..yani maa ki insult har girz na kare,lekin kam se kam maa agar ghalti pe ho use pyar se samjhaye..aur agar biwi ghalti pe ho to use bad me pyar se samjhaye...

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:9th Sep 2009, 3:18am
 

Husband Wife relations

Nice reply by Seemi.

Zeyada tar maslay Saas, Bahoo aur nandoon se hi relate krte hain (Dekh lain sab females hain, male tou bechaare masoom panchhi hote hain.).
Aik biwi hone ka naatay kisi larki par apni saas aur nandoon ki khidmat krne ka koi hukm nahin. Biwi sirf Shohar aur bachun ki zimmedaar hai aur Qyamat k din uss se inhi rishtoon ke mutallaq sawal ho ga. Taham hamaray social set up ko maadd-e-nazar rakhte huay biwi ko apne saas susar ko b walidain ki tarah hi treat krna chahiey aur unhain b bahoo ko beti smjhna chahiey. Albattah shohar ki zimmedaari yeh hai woh inn tamam rishtoon main balance rakhay takeh larrai ko nobat hi na aaey.
Doosri barri wajah Shohar aur biwi ke darmiyan aitmad na hona b hai. Jab aitmad ka rishta hi mojood na ho tou b zindagi kharab ho jati hai.

Maryam: Main aap ki Qyamat ke din pehle swal wali baat se agree nahin krta. Pehle swal ke baray main Quran aur Ahadees main jagah jagah likha hua hai. Yeh b possible ha k aap ki understanding main garr barr ho gai ho ya unn Aalim-e-deen ne kisi aur peraey main baat ki ho??

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:9th Sep 2009, 10:09am
 

bhimji sahib

ji may be aap ki baat sahi ho kyun k maine bhi first time hi yeh suna tha abb mazay ki baat k dobara mujhay woh bayan mila bhi nahi:) lekin different jaghon pe different baton ka likha gaya hae jaise sab se pehlay parents ka hokakk ka poocha jayega aur aik jaga parosiyon k hakook ka bhi kaha gaya hae . aik martba maine tafseer main hi parha tha k Nabi pak salaho alehaihe waalehi wasalam ne difeerent jaghon pe different sahaba karam Ra ko dIfferent naseehatain ki hain un k aik hi jawab main , yani kisi ko nimaz k liye ziada zor diya kisi ko parents k hakook k liye kisi ko Allah ki raah main nikalnay k liye yani sab k liye different baat kahi different jaghon par to us ki tafseer main yeh likha tha k AAp salalaho alhai wasalam ne jsi main jis cheez ko kam paya ussay us kaam ki ziada naseehat ki abb agay walah alam . may be meray hi sunnay main ghalti hui albatta main koshish karongi k dobara woh bayan sun kar apni tas, hee karlon:) wese maine apnay miyan ko bhi sunaya tha woh:)
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012