Sharaab, Zinaa And Qatal
aik story kaheen paRhee thee jo patah nahi farzi hai yaa haqeeqi... agar farzi bhi hai to as a symbolic story aur iska conclusion, leeson qaabilay ghaur hai kissi deen.daar buzrug k dushmanouN nay onki paar.saayee aur taqwaa ko "khatam" karnay ki gharz say onhaiN aghwaa kiaa aur aik kamray maiN band kardiaa... kamray maiN sharaab ki aik bottle, aik masoom bacha, aik talwaar aur aik khoobsoorat aurat (tawaaif) maujood thee....... oskay saamnay 3 option rakhay gayee k yaa to sharaab piyo, yaa iss talwaar say iss masoom bachay ko qatal karo yaa phir iss aurat k saath zinaa karo... oss muttaqi shakhs nay apni aqal use kartay howay sab say "kam tar gonaah" yaani sharaab peenaa qabool kia.... sharaab peetay hi woh madhosh hogayaa aur aurat say zinaa karnay lagaa, etnay maiN bachay nay rona shooroo kardiaa to bachay ki madaakhelat say bachnay k liye bachay ko bhi qatal kardiaa........... lehaza chotay gonaah k saamnay baRaa gonaah pesh karkay shaitaan / oskay chelay hamesha yehi kahtay hain k yaa to yeh baRa gonaah karo yaa choTaa.... aur above banday ki tarah bandah shaitan k trap maiN aa jata hai aur choTa gonaah karleta hai.... yeh silsilah aagay baRhta jataa hai ... aur bandaah baray say baraa gonaah bhi kartaa chalaa jata hai..... woh kahtayhain k zinaa say bachnay k liyeh masterbation kia karo....... goyaa zinaa k beghair insaan zindah rah hi nahi saktaa aur zinaa ka motabaadal nikaah ka koi wajood hi nahi......... woh (bhutto ka qaul) kahtay hain k maiN sharaab peetaa houN, koi awaam ka khoon to nahi peetaa.... goyaa sab log awaam ka khoon peetay haiN aur mausoof sirf sharaab........ woh kahtay haiN k hum "hakoomat ki bijli" chori kartay haiN... hakoomat bhi to hamaray haqooq ghazab karti hai aur hakoomat kghood chor hai, lehaza iski bijli chori karnaa kaun saa jurm /gonaah hai...... woh kahtay hain tv HARAM kaisay hogayee... iss par achay program bhi to aatay haiN... ap boray program nah dekho, sirf achay program dekho.... aur phir har achay program k beech naach gaanay dikha dekhaa kar..... yeh shaitani chaal hai k selected gonaah ko aam karnay k liyeh iskay moqaablay maiN bara gonaah pesh karo..... issay accept karnay k liyeh taweelaiN ghaRo, justify karo k iskay beghair to zindagi mahaal hai... hattah k log darjah bah darjah har gonaah maiN ghirtay chalay jayaiNNNN
|