~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:17th Jan 2008, 9:55am |
|
|
Sex Discussion With Children: Is It The Responsibilities Of Parents?
Parents kay liyain yai kitna zarori hai kay wo apne bachay say sex ko discuss karain , jab bacha apne adult age par pohonchnay lagay...............
....aur kis tarha un ko sex kay baray main bataye kay bacha unko samajh bhi jaye aur ghalat batoon main involve honay say bach jaye ................
|
cherry |
Group: Members Joined: 10th Apr, 2007 Topic: 9 Post: 124 Age:
30
|
|
Posted on:17th Jan 2008, 10:25am |
|
|
reply: Discuss Sex With Child
Islamically speaking: its the responsibility of the parents to tell their children about sex.....mothers should teach daughters and fathers should teach the sons.......aur yeh choti umr mai hi karna chahiye to prevent ur child from child abuse.....jo zada tar neighbours, relatives, maids, survents yaa even strangers karte hain......haan discuss aese manner mai karen ke bacha aap ki baat samjh jaye....dar naa jaye....yaa ghalat cheezon mai involve naa ho jaye....so i think bohot confidence mai le kar baat karni chahiye.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:21st Jan 2008, 3:11am |
|
|
reply: Discuss Sex With Child
agreed to cherry.... parents apne bachey ko bht achi tarhan se smajhtey hain....unhen pata lag jata hai bachay k expressions se k wo kub kia sochta hai...means un k guetures se bi andaza ho jata hai to parents ko apney bachon ko is tarhan se samjhana chahiye k un ko baton ki samajh bi aa jaye aur wo kuch ghalat bi na sochen aur daren bi nahi
|
raazdaar |
Group: Members Joined: 18th Nov, 2007 Topic: 38 Post: 369 Age:
24
|
|
Posted on:23rd Jan 2008, 3:08am |
|
|
reply: Discuss Sex With Child
SALLAM TO ALL FRIENDS Darasal kuch bhaiyoon aur behnoon nai yai kaha hai kai maa baap hi behtar hai sikanai main.Lakin shahid ham yai bool rahain hai kai kuch gharanai aisai hain jo choto ko itni ijazat nahin daitai.Kai wo aik bi word sex kai barain main pooch sakai.wo loog jo in ilakon kai hotain hain unai mahool hi sab kuch sika daita hai.In kamoon main insaan ka nafs sab sai agai hai.Jo bohat asani kai saat doka ho gata hai. Wo aik kahawat mashoor hai hamarai yahan"Kai agar aik mard ko daikna hai to aurat sai daikoo.Aur agar aik aurat ko daikna hai to maal-o-jaidaad sai daikoo" Yai baat yahan saaf zahir hoti hai kai mard ki kamzori aurat hai aur aurat ki kamzari paisai hain.Mujai to lagta yai hai kai jo bi nasamaj hain sex kai barain main.Unai maloomat mahool sai zyada aur dostoo sai kam.Aur maa baap sai bohat kam tar hoti hai. Jaiza laga kar daikai kai in batoon main konsi baat teeq hai.Kuch gharanai aisai hotain hain jo kai main nai pehlai bi kaha hai.Choto ko itni had tak azadi nahin daita kai wo apnai baroo sai aisai sawalaat kar sakain.Maira kehnai ka asal maqsad yai hai yai aik insaan ko sex kai barain main samajnai ka aik aham zarya mahool hai. NOTE:-sorry if my words hurt anyone. TAKE CARE ALLAH HAFIZ
|
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:25th Jan 2008, 1:27pm |
|
|
reply: Discuss Sex With Child
Bachay kay sath aisay mozoo per conversation maan baap ki hi zimadari hay. Aur jagga, mahoal, halat aur bachay ki umer aur uss ki zahanat wagaira daikh ker decide kia ja sakta hay kay ussay kis umer main aisi batain batai jain. Waisay maira hyal hay kay aisi batoun kay liay koi special jagga ya special moqa zaroori nahi kay aap bachay ko bitha ker hi lecture dain. Sab say acha tareeqa hay kay bachay ko itni azzadi apnay gher main ho kay wo kisi kisam ka swal kernay say na ghabray. Her baat wo aasaani say apni maan ya baap say kah sakay. Jab aisa mahoal ho tu bacha phir sex kay baray main swaal kernay say nahi ghabrata aur wo baher galat kisam ki info apnay dostoun say nahi lainay ki koshish erta. ab swal yah hay kay bachay ko kaisay bataya jay??? jab bhi bacha aap say iss kisam ka koi swal keray kay maslan bachay kahan say attay hain, tu ussay dantain nahi kay wo aisa swal kayoun ker raha hay balkay uss ki umer kay mutabik aarram say ussay jwaab day dain. buray buray munh na banain aur na hi koi aisi ulti seedhi baat kerain kay bachha mashkook ho jay ya der jay. Jaisay ager aik 5 saal ka bacha yah swal kerta hay tu ussay koi bhi ulti seedhi baat say mutmain kia ja sakta hay, sirf yah mad-e-nazer rakhain kay bacha kis kisam kay jwaab say mutmain ho ga. Age wo zaheen hay tu zera mushkil say satisfy ho ga. Lakin itni choti umer main ussay poori maloomat daina ussi kay liay khternaak ho ga. baherhaal yah baat yahan decide nahi ki ja sakti kay kon kis tara say apnay bachay kay swaloun kay jwaab day, lakin jo zaroori baat hay wo yah kay kabhi bachay kay liay sex ka mozoo mashkook na banain, aur ussay bilkul itnay hi aam andaaz main jwaab dain, jitna kay aap doosray swaloun ka jwaab daiti hain. Ager aap ko lagta hay kay aap aisa nahi ker saktay aur aap ko sheram mahsoos hoti hay bachay kay sath aisi batain discuss kernay main tu sab say bahter hal hay kay jab bachha/bachhi average 14/15 saal kay houn tu unhain sex education ki books la dain. Ager aap nahi la ker dain gay tu bachhay aap ko batay bagair hood hi yah kaam ker rahay houn gay aur wo yaqeenan galat hi kisam ki jagga say informaiton lay rahay houn gay, iss liay yah kabhi mat sochain kay aap ka bacha/bachi bohat masoom hain aur sex ko koi ahmiyat nahi daitay. Aisa nahi hota. Sex aik norma chees hay aur iss kay baray main sab ko jannnay ki khwahish hoti hay. Ab yah waldain per hay kay wo bachay ko hood hi guide kertay hain, ya phir galat hathoun main tabba honay kay liay choar daitay hain.
|
seriously |
Group: Members Joined: 12th Dec, 2007 Topic: 24 Post: 313 Age:
56
|
|
Posted on:25th Jan 2008, 5:01pm |
|
|
reply: Discuss Sex With Child
Yahan par aik joke chalta hay: Aik teenage girl key maan nay us say kaha , Sweety you are grown up now it is time for us to talk about sex. Larkey nay kaha: Ok mom what do you want to know about it. Western countries main school walay hee yeh kam kar detay hain. Hum ko sirf paper sign kar kay dena parta hay. I do not know how I would have handled it if I would be in Pakistan. I am sure I would not do anything about it. No body does that. It is taboo there. Wahan par saray larkay aur larkian apnay friends say hee is kay baray main seekhtay hain jo kah zia tar jhoot hota hay kon kah unko khud bhe is ka koi pata nahi hota. Yeh tow yehan aa kar pata chala kah yeh zindagi key aik bohat bari zaroorat hay kah bachoon ko sex kay baray main bhee acha aur bura batana chah-e-a. I do not know Pakistan main kub woh time aa a ga kah adults , kids ko sex education dain gay ? It is very delicate issue and should be handled very carefully , there are professionals who deal with this issue when it comes to educating kids about sex. It is necessary to educate kids Ta kah bachoon ko pata chalay kah agar koi bara admi ya aurat un ko seduce karnay key koshish kar raha hay ya un ko apnay jaal main phans nay key koshish kar raha hay to woh hoshiar ho ja-a aur apnay elders ko is kay baray main bata deen baja-a dar nay kay . Is tarah bohat say bachay child molestation say buch saktay hain. Western countries main bhee sex education kay bara maqsad bachoon ko child molestation say bachana hota hay.
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:21st Feb 2009, 12:00pm |
|
|
how to educate kids insaan pedaishi tor pe jahil peda hota hae usay apni living k liye aik frame work tayar karna parta hae . jis ki hadood mein reh kar us ne apnay tamam afaal sar anjam denay hain. sex insaan ki basic desires main se hae jaise bhook ,pyas ,neend aik basic desire hae isi tarah sex bhi hae yeh aik ghair iktisab fail hae jis ko kuch values k sath iktisabi banaya jata hae. to jis tarah parents apnay bachon ko baqi har achai burai samjhane k zimmadar hain isi tarah un ki age growth k sath un ko sex education denay k bhi zimmadar hain. hum logon k muashre main sex ka naam hi mayoob samjha jata hae. lekin jab bacha adolcense ko pohanchta hae to intishar ka shikar hojata hae. kyun k us ki body main bohat si changes us ko preshan karti hain aur chuN k woh pehlay se guided nahi hota isliye usay lagta hae k aisa sirf usi k sath hi ho raha hae. yahin akar bacha apnay friends aur ghalat qisam ki books ka sahara leta hae.
agar bachon k sath start se hi understanding develop ki jaye. unhain un ki age k sath proper guide kiya jaye ghar mein in k mutaliq islamic books rakhi jaien ta ke bacha ghalat books ko read na kare to muasharti inteshar ko bohat had tak control kiya jasakta hae. |
punjab |
Group: Members Joined: 09th Feb, 2009 Topic: 0 Post: 2 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Feb 2009, 4:52am |
|
|
Discuss Sex With Child insaan ashraf-ul-makhlukat hai. jab jab wo adult ki taraf jata hai to us ko waqt k saath saath sab samaj aa jati hai. animals ko kon sex k baarey mei bata hai??? Is liye yahi kehta hoon k Insaan ashraf-ul-makhlookat hai and ALLAH nay insaan ko dimagh dia hai. |
happy123 |
Group: Members Joined: 30th Dec, 2008 Topic: 3 Post: 159 Age:
39
|
|
Posted on:23rd Feb 2009, 3:04am |
|
|
punjab ji bilkul demagh diya hai ,mager yahan per bachoon ko intercourse sikhaany ki baat nai ho rahi ,sirf un ko itna educate kerna hai k woh koi ghalt kaam na keryen or na hi khuch apny saath hony dayen . |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:23rd Feb 2009, 3:21am |
|
|
happy ji nice reply by happy ji:) |
fakhra786 |
Group: Members Joined: 28th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 50 Age:
24
|
|
Posted on:4th Apr 2009, 12:43pm |
|
|
jee Yes per hamaray parents issko ghlt smjhte hein but i think k agr parents iss cheez k baray mein btatay hein tou children bcom more careful and there are less chances of going the wrong path or being misguided.
salam |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:7th Apr 2009, 12:03am |
|
|
agreed ji bilkul kyun k parents se kids ko confidence bhi milta hae jab k idhar udhar ki information ko kids hamesha chup kar hi avail karte hain. |
|