Rishtoon ko Joriay
Rishtoon ko Joriay From Quran: "aur ALLAH se deroo jis ka wasta day ker tum aik dosery se apnay haq manghtay ho,aur risha-o-qarabat ka khayal rakho". "aur ALLAH ne jin rawabit ko jornay hukam diya hai wo unhain jortay han". "pus rishtay dar,masakeen aur musafir ko in ka haq do.ye bather hai un logon ke liay jo ALLAH ki raza chahtay han han. From Hadith: "Ae logon! Islam ko khoob rivaaj do aur khana khilao aur rishtoon ko joroo aur ratoon ko nimaz parho jab ke log soo rahay hon,tum aman ke sath jannat me dakhil ho jaoo gay". "wo shaks sulaa rahmi kernay wala(rishtoon ko jornay wala) nahi hai jo ahsaan ke badlay me ahsaan kerta hai,balkay asal sula rahmi kernay wala wo hai,jab uss se qataa rahmi ki jaye tu wo sula rahmi keray". "Allah ne fermaya hai ke main hi Allah hon aur main hi rahmaan hon,main ne hi rahum(rishtay) ko paeda kiya hai aur is ka naam apnay naam se nikala hai.ab jo esay joray ga main bhi ussay joroon ga,aur jo isay kaatay ga main bhi essay kaat don ga". "aik aadmi ne kaha:Ae ALLAH ke Rasool (sallallaahu alaihi wasallam)! meray kuch rishtay dar han,main un se sula rahmi kerta hon aur wo mujhe se qatta talook kertay han.main un se acha salook kerta hon aur wo mujhe se burra salook kertay han.main un se tahumal aur burdbari se paish aata hon aur wo mujhe se nadaani se paish aatay han.Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya! ager to aisa hi hai jaisay tu ne kahaa hai ,tu ghooya in ke moun me gharum raakh dal raha hai aur in ke moqablay me teray saath humesha ALLAH ki teruf se madad ghaar rahay ga jab tak tera yehi rawayiya rahay ga". "aik shaks ne poocha YA Rasool ALLAH mujhe kuch aisa ammal batayiay jo mujhe jannat me dakhil keray aur jahanum se dour ker day.Nabi (sallallaahu alaihi wasallam)! ne fermaya" "tum ALLAH ki ibadat keroo aur es ke saath kisi ko shareek na thahraoo,namaz qahim keroo,,zakaat do aur sula rahmi keroo". "her soomwar ko aur jumraat ko Allah ki bargha me aamal paish kiay jaatay han,pus ALLAH her shaks ke saghiraa gunnah maaf ker daita hai jo ALLAH ke saath kisi ko shareek na thahraata ho siwaye uss shaks ke is aur is ke bhai ke dermayaan dushmani aur keena ho,to ALLAH fermatay han ke in dono ko chor do yahaan tak ke ye sulla ker lain". "jo shaks ALLAH aur akhrat ke din per imaan rakhta hai,ussay chahiay ke mahmaan ki izat keray,jo shaks ALLAH aur akhrat ke din per imaan rakhta hai ussay chahiay ke sulla rahmi keray,aur jo shaks ALLAH aur akhrat ke din per imaan rakhta hai ussay chahiay ke bhalayi ki baat keray ya phir khamoosh rahay". "kisi musalmaan ke liay jaiz nahi ke wo apnay musalmaan bhai se teen ratoon ke se zyada talook munkatta rakhay,dono ka aamna samna ho tu ye es se aur wo uss se moun phair lay aur in dono me bahter wo hai jo salam kernay me pehal keray". "jis shaks ko ye baat pasand hai ke uss ki roozi me faraghi aur is ki oomer me taheer (izaafa0 ki jaye ussay chahiay ke sulla rahmi keray". "rishta qatta kernay wala jannat me na jaye ga". "dua ke ilawa qazza ko koi cheez rud nahi kerti aur oomer ko sulla rahmi hi barhati hai".
|