HAZRAT UMAR FAROOQ (R.A)
Ham ny bachpan main parha hy k Macdonia ka Alexander 20 years ki age main badshah bana, 23 years ki age main Macdonia sy bahir nikla, isnay sab se pehlay pura Unan fatah kia, iskay baad wo Turkey main dakhil hoa, phir Iran k dara ko shikast di, phir wo Sham pohancha,phir isnay Yaroshlam aur babul ka rukh kia,phir wo misar pohancha,phir wo Hindustan aya, Hindustan main isnay puras sy jang lari apnay azizuzjan ghoray ki yaad main Phalia shehar abad kia, Makran sy hota hoa wapsi ka safar shoru kia, rastay main taefiad ka shikar hoa aur 323 B.C. main 33 years ki age main Bakht-e-nasr k mahal main intiqal kargya. Dunya ko aj tak bataya gya k wo insani tareekh ka azeem general, fateh aur badshah tha aur history ny isay is k karnamon ki wajah se ALEXANDER THE GREAT ka name dia aur ham nay isay SIKANDAR-E-AZAM yani Badshahon ka Baadshah bana dia.
Lekin kia Hazrat Umar Farooq (R.A) k hotay hoay Alexander ko Sikander-e-azam kehlanay ka haq hy?
Alexander Baadshah ka baita tha, isay dunya k behtarin logon ny ghur sawari sikhae, isay Arastur jaisay ustadon ki sohbat mili aur jab wo 20 years ka hoa to to usay takht-o-taaj paish kardia gya jab k iskay muqablay main Hazrat Umar Farooq (R.A) ki 7 pushton main koi baadshah ni tha,Ap (R.A) bhair bakrian charatay hoay baray hoay thay aur Ap (R.A) ny talwar baazi aur teer andazi bhi kisi professional academy sy ni sikhi thi.
Alexander ny Organised army k saath 10 saal main 17 lakh squares mile ka area fateh kia jabke Hazrat Umar Farooq(R.A) ny sirf 10 saal main 22 lakh square miles ka area fateh kia aur is main Rome aur Iran ki 2 super powers shamil thin.
Aj k is modern technology walay waqt main satellite k hotay hoay, missiles k hotay hoay, submarines k hotay hoay bhi aj k is daur main dunya k kisi hukumran k paas itni bari saltanat nahi jo Hazrat Umar farooq(R.A) k paas thi jo unhon ny ghoron ki peth par baith kar fateh kari thi. Na sirf fateh ki thi balkay iska intizam bhi bht achay tareekay sy chalaya tha. Alexander ny fatuhaat k dauran apnay beshumaar generals ko qatal karaya, iskay khilaf baghawatain bhi hoin, beshumaar jawanon ny iska saath bhi chora aur Hindustan main iski army ny agay barhnay sy inkaar hi kardia lekin Hazrat Umar Farooq (R.A) k kisi sathi ko in k hukam ki khilaf farzi karnay ki jurrat nahi hoti thi wo aisay Commander thay k apnay ain medan-e-jang main alam-e-Islam k sab se baray Supah-e-salar Hazra Khalid Bin Waleed (R.A) ko mazool kardia aur ye hokum kisi ko talnay ki jurat ni hoi.
Alexander koi nizam koi system nahi dy saka par Hazrat Umar Farooq (R.A) ny dunya ko aisay system diay jo aj bhi raej hyn Ap (R.A) ny namaz-e-tarawi ka baqaida aghaz karaya, Ap(R.A) ny sharab noshi ki saza muqarar ki, hijri year ka ijra kia, jail ka tasuwar dia, moazano ki salary fix ki, masjidon main roshni ka bandobast karaya, police department ka system dia, aik mukamal adalti nizam ki bunyaad rakhi, aab pashi ka nizam dia, fouji chaonian banwaen aur army ka baqaida department qaim kia, Ap (R.A) ny pehli baar doodh petay bachon, bewaon k wazaif muqarar kiay, pehli baar govt servants ka apnay assets declare karnay ka system dia, beinsaafi karnay walay judges ko punish karnay ka system dia, Ap (R.A) ny first time hukumraan tabqay ki accountability start ki.
Ap (R.A) raton ko tijarti qaflon ki chokkaydari kia kartay thay.
Hazrat Umar Farooq(R.A) ka farman hy ka:
"Jo hukumraan adal kartay hyn wo raaton ko bekhauf sotay hyn."
Ap (R.A) ny farmaya:
"Qaum ka sardar qaum ka sacha khadim hota hy."
Ap (R.A) k dasturkhawan par kabhi 2 salan ni rakhay gae. Ap (R.A) zameen par sar k nechaybrick (eint) rakh kar sojaya kartay tha. Ap(R.A) ko safar main jahan neend ati darakht par chadar tang kar saya kar k sojaya kartay thay. Ap (R.A) k kurtay par 14 pewand thay. Ap (R.A) khurdaarra mota kapra pehantay thay, Ap (R.A) ko narm aur bareek kapray sy nafrat thi.
Ap (R.A) farmatay thay zalim ko maaf kardyna mazloomon par zulm hy. Ap (R.A) Islami dunya k pehlay khaleefa thay jinhain AMIRULMOMINEEN ka khitaab dia gya.
Dunya k tamam mazahib ki koi na koi khususiat hy Islam ki sab se bari khusosiat adal hy aur Hazrat Umar Farooq(R.A) wo shakhsiat hyn jo is khusosiat par pura utartay hyn. Ap (R.A) k adal ki waja se adal dunya main adal-e-farooqui hogya .
Ap (R.A) dunya k wahid hukumran thay jo farmaya kartay thy k "agar meray daur main darya firat k kinaray agar aik kutta bhi bhoka margya to iski saza bhi Umar ko bhugatna hogi."
Members agar ham Alexander ko Hazrat Umar farooq(R.A) sy compare karain to Alexander Hazrat Umar Farooq(R.A) k samnay aisa hoga jaisa pahaar k samnay kankar.
Kyun kay Alexander ki banae hoi saltanat uski wafat k 5 years baad hi khatam hogae jabkay Hazrat Umar Farooq (R.A) ny apnay daur main jis jis khitay main Islam ka jhanda lehraya wahan se aj bhi Allah-o-Akbar ki sadain sunae dyti hyn.
Alexander ka name sirf books main hi reh gya hy jab k Hazrat Umar(R.A) ka dia hoa system aj dun yak 245 countries main aj bhi kisi na kisi tarah mojood hy.