Qaid.Azam RA k "mazhab" ki haqeeqat onkay baap dadaa "aghakhani khoja shia" thay... issi liyeh 5th class tak onkay naam k saath "khojah" lagaa howa thaa jissay onhouN nay doosray school maiN class 6th maiN daakhlay k waqt az khud replace karkay "Muhammadan" lagaa dia... onhaiN bachpan hi say "Muhammad" PBUH say mohabbat thee.
6th clas k baad woh london chalay gayee... ab 6th class k bachay ka mazhab koi nahi hotaa (khaah oska abaayee deen koi bhi ho)... london main taleem k dauran till barrister bannay tak woh amalan "ghair mazhabi" shakhs rahay... wahaaN onhaiN onkay "abaayee mazhab" ki taleem o tarbiat denay wala koi nah thaa.... aur aik aam "deunyaa-daar" insaan ki tarah woh mahaz khud ko "MUSLIM" samajhtay rahay... yeh jaanay beghair k ISLAM k taqazay kia haiN aur onka kiss "mazhabi-maslak" say talluq hai... woh har qism k "mazhab o maslak" say balaa tar khud ko musalmaan kahta rahay aur taa qayaamay london kabhi islam ko sanjeedgi say study kia nah practice kia (nah agha khani maslak ko nah kissi aur ko)
qayaamay bombay k ibtadayee ayyam maiN onki practice k dauran bombay aghaa khani jamaa'at nay ... apnay mazhab k aqeeday k ain motaabiq... Mr. jinah say onki pahli aghaa khani biwi ki wafaat par onki jannat maiN "bokking" k liyeh raqam talab ki to Mr. Jinnah chankay k yeh kia kharafata hai..... tab onhaiN "batlaya gayaa" k onkaa talluq agha khani mazhab say hai aur iss mazhab ki roo say har marnay walay ki jannat maiN booking ki gharz say hasbay hasiyat raqam local jamaat khana maiN dee jaati hai........ jinnah nay aisay kissi qanoon ko mannay say inkaar kartay howay kahaa k woh aisay kissi mazhab ko nahi maantay... woh to seedhay saadhay mosalmaan haiN jo Hazrat Muhamad PBUH k deen ko maantay hain... agar oss deen main aisee kissi raqam ka concept hai to woh dengay warnah nahi.
agha khaniyouN nay yeh jaan kar k kaheeN (mash.hoor hotay howay) jinnah ki dekha dekhi deger aghaa khaniyouN nay bhi INKAAR karna start kardia to kaheeN "maslah nah paidaa ho jaa.ay... indian personal law k tehat jinnah ko payement ki adaaigi k lyeh adalat maiN talab karlia...
yahaaN zimnan arz karta chalouN k ... agha khani awaamunnas khud ko "mosalmaanouN hi ka aik maslak /firqah" samajhti hai... onkay ibadat khanouN maiN dua hoti hai namaaz nahi... mid 80s maiN karachi k aghaa khaniyouN nay apnay jamaa't khanouN maiN dua ki jagah "namaaz paRhnay" ki koshish ki to aik taanaaze'aa khara hogayaa jo adalat tak jaa pahonchaa... wahaaN "pataa" chalaa k dunya bhar k agha khani jamaat khanay ... deger mazaahab ki tarah WAQF /trust nahi haiN balkay prince karim agha khan ki zati property hai lehaza inmaiN sirf onki authirity chalti hai... youN "namaaz paRhnay k arzoo mand aghaa khani" yeh moqadmah haar gayee...aur onhain jamaat khanouN maiN namaaz paRhnay ki ijazat nahi mili (ab ka pataa nahi k wahaaN namzaa hoti hai yaa nahi)
haaN to zikr horaha thaa bombay main local aghani jamaat nay jinnah par payement ka moqadma kia ... jinah nay as barisster khud iss moqadmay ki pairwee ki aur adalat main alal elaan kahaa k woh aik "mosalmaan" haiN aur oss deen ko maantay haiN jo 1300 baras qabal Hazrat Muhammad PBUH laa.ay thay..... agar onkay den main aisee koi "payment ka concept" hai to woh bakhushi payemnet karengay warnah nahi..... youN yeh case jinnah jeet gayee....
yehi jinnah k aqaid ka turning point hai... aik nawjawan aur qabil barrister nay phir islam ko study kia aur jald hi islam ki haqeeqat ko paa.lia........ magar tab tak jinnah ki seyasi masroofiat ka aghaaz hochukaa thaa..... aur woh bahoot busy rah kar din raat sirf aur sirf "pakistan k qayaam" k liyeh kaam karnay lagay... aur iss tahreekay pakistan k dauraan onhouN nay baar.haa iss azm ka elaan kia k woh pakistan islami nizaam aur madeenah reyasat ki pairwi k liyeh banaa chaahtay haiN.....
magar yeh baat hamaray deeni ulemaa ko HAZAM nah howi aik bah zaahir deen say door... (jiska abaaye mazhab agha khani hai) aur jiskay seyasi saathi nawaab angrezouN k parwardah) haiN.... islam k liyeh aik new mumlikat kaisay banaa saktaa hai. issi liyeh ulemaa ki bhari aksariyat tahreekay pakistan say "laa.talluq" rahi..... balkay chand aik nay to "mokhaalfat" bhi ki jiss tarah chan aik nay "hemayat" bhi ki........ hatta k pakistan ban gayaa aur as governor general Quaid.e.Azam nay phir elaan kia k woh pakistan ki sarzameen ko madeenah ki reyasat ka par.tau banaa chaahtay hain............ tab mokhalfat karnay walay ulemaa nay apni "qabl azeeN roy say rajoo karlia".... kuch to pakistan bhi aa gaye jaisay maulana maudoodi...... jinnaiN governor general ki taraf say radio pakistan par paksitan ko islami reyasat bananay k tareeqoun par speech karnay ki dawat dee aur apnay taqareer keen........ issi tarah india ko opt karnay walay jamiat ulmaa.e.hind k akaabereen nay bhi pakistan ko qabool karnay ka elaan kia...
yeh hai Muhammad Ali jinnah k "mazhab" ki haqeeqat............
ap k doosray sawaal yani onkay "abaayee mazhab" agha khaniyouN k aqaaid kia haiN...... iss par koi aur raushni Daalay... meri knowledge iss baray maiN zeyadah nahi....... albatta sirf yeh maloom hai k agha khani, bohri aur ashnaa ashri shia etc....... yeh sab k sab "imaamia maslak" say linked hain... inmaiN baahmi kuch ikhtelaafaat /faraq bhi hain... inkay maujoodah leaders /peshwaa bhi juda haiN tahaam ibtedaayee sadiyoun maiN yeh aik hi thay. wallaho aalam bissawab |