faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:19th Aug 2007, 6:31pm |
|
|
Jaali Hakeems And Hakimi Medicine: What Is Their Role In Society?
Members, we always heard about quacks, jaali doctors and other futpaathiye. We know about the misconceptions which our youth face and then these innocent youth go to these quacks for many reasons. - First they can't discuss it (masturabation and other realities, which think that are the result of masturbation) with their family members and try to findout the solution with these quacks.
- Even if they know about doctors, they dont go to them due to their fees, and prefer these jaali hakeems due to cheap ilaj they advertise.
- hakeems theory is known to be based on herbal and so the youth prefer it to avoid any further side effects.
Beside all the fake cure these jaali hakeems provide, some of them tries to sexually abuse the youth too. In the disguise of cure, they fond of looking at private parts of youth and ask for sexual pleasure from them too. this is a real story which I came to know recently. Many of the members might have known this or may be victim of this abusive act.
Try to think that if even Qari sahiban and tutors can do that openly, while parents have check on the children, how those hakeems can't do that while they know that that young boy would never discuss it in home.
These are some thought provoking questions, and if parenst also read this post then please in addition to all modesty we maintain in our relationships, try to provide enough education and tell the children that how to live in this society. thanks
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:20th Aug 2007, 11:02pm |
|
|
Jali Hakim aur on ki medicine pahli bat yeh keh yeh samajhna keh harbal aur homoeo drugs ke side effect nahi hote bilkul ghalat hai. dunia ki sari medicine (alopathic, hakimi, homoeo and harbal) ka aik hi source hai.
alopathic wale jab koi medicine nikalte hai tu woh pahle animal par test karte hai, phir volunteers insan par test kartehai aur phir akhir mai general patient ke lia jari karte hai.
test ke doran woh apni drugs ka jism ke har organ par technology ki madad se effect dekhte hai. aur phir batate hai keh kis organ par kia effect hai. jabkeh hakimi, homoeo and harbal theory walo ke pas jadeed laboratory aur technology nahi hoti. lehaza na woh proper tareeqa se animal par tajarba karte hai aur na hi insani jism ke har organ par os ka effect dekhte hai. woh dekh bhi nahi sakte kio keh cell ke andar dekhne ki on ke pas technology aur ilm hi nahi hai. nateeja yeh hota hai keh woh kahte hai keh on ke medicine ka koi side effect nahi hota.
alopathic walo ko jab pata chalta hai keh kisi medicine ke faida ke muqabla mai side effect ziadah hai tu wo aisi medicine ko market mai nahi laate kio keh FDA se aisi medicine ko license hi nahi milti.
ap sab log jante hai keh steroid ka ketna nuqsan hota hai. yeh batai ap ko alopathic theory se pata chala jinho ne is ke effect tamam organ pa dekha. doosri taraf hamare mulk mai sab se ziadah steroid aik mashhoor hakimi adara mangata hai. os se pooche keh tum apni product ko zara scientific way par research karo tu pata chale ga keh tumhari product ke kia nuqsanat hai.
aj ghareeb marezo ke andar bimario se bachao ki qoowat-e-mudafiat (immunity) kam hai. kio keh wo hakimi harbal aur homoeo drugs istemal karte hai. jis ke andar steroids hote hai. aur in hakeemo ki wajah se log immunity deficiency ka shikar ho kar beshumar chronich bimario mai mubtala ho jate hai.
deewaro (wall) par aik khansi ke sharbat ka bahut ziadah ishtehar hota hai. log os sharbat ko peete hai aur on ki khansi aur sans mai fori aram ajata hai. lekin koi bhi mareez nahi janta keh os khansi ki dawa mai steroid hai. jo waqti tor par tu aram pohncha raha hai lekin ahista ahista mareez ki immunity bhi kam kar raha hai. jis ki wajah se woh doosre beshumar jismani masail ka shikar horaha hai.
isi tarah jis jari booti se antibiotic dawa nikalti hai hakim log bhi ilaj ke lia wahi jari booti istemal karte hai. alopathic walo ne research kar ke achchi tarah maloom kia hua hai keh antibiotic ke kia nuqsanat hai aur yeh kab deni chahia aur kab nahi. jab keh hakim sahib ko yeh maloom hi nahi keh woh jo jari booti istemal kar rahe hai os ke andar antibiotic hai.
Mahir-e-Jinsiat: jo log bhi nam nahad mahir-e-jinsiat ke pas gai hai woh jante hai keh in logo se koi faida nahi hota. woh log khood bhi ishtehar mai is ka zikir kartehai. har koi kahta hai keh har jagah se mayoos mareez tashreef lai. yeh log mareez ki history sun kar sari maloomat le lete hai ke inho ne kia kia jinsi ghaltia ki hai.
bad mai ulte seedhe medicine thama dete hai jis ka koi faida nahi hota. agar ap on se shikayat kare tu woh dra dhamka kar aur history se hasilk karda maloomat ka hawala dekar black mail karte huye bhaga dete hai. koi bhi nojawan apne ghar, friends aur police ko nahi batata ke os ke sath in jali sex specialist ne kia salook kia hai. |
abc123 |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 18 Age:
36
|
|
Posted on:21st Aug 2007, 8:09am |
|
|
Steroid and alopethy Kisi bhi cheez ka galat istemal nuqsan pohchata he. Dost bhi agar nadan (bewaqoof) ho to apni nadani se nuqsan ka bais banta he.
Her wo dawa jo insano ke liye banai jati he uska sahi tajarba jabhi hota he jub usay insano pe istemal kiya jata he. Bewaqoof ap ne FDA ki bat ki me usi ki ek misal deta hun yahan.
VIOXX ek anti-Inflammatory drug thi jise FDA ne 1999 me approve kiya aur confirm kiya ke ye insano ke liye BEZARAR he. 2004 me unhe pata chala ke ye HART ATTACK ki ek bari waja he aur is se hazaro log mar chuke hen!!! me ap se poochta hun ke wo lakhon log jinho ne is ko use kiya aur wo hazaron jo is ki waja se apni jan se hath dho bethe KIA WO JANWAR THAY???
Yehi waja he ke me HIKMAT ko ek ESTABLISHED way of treatment kehta hun ke iski theoies aur medinines is tajarbati dor (OBSERVATORY PERIOD) se guzar chuki hen aur 100% mature aur solid hen.
STEROID ko introduce karne ka sehra ALOPETHIC ke sir he. kon nahi janta ke ise istemal bhi sub se ziada alopethic me kiya jata he khas tor pe wo doctors jo gali mehello me chote chote clinic bana ke bethe hen aur un me se aksar wahan tablets aur injection ki shakal me CORTISONE (steroid) de rahe hen!!! jis se mareez bohot jaldi faida mehsus karta he lekin kia unke is amal ki waja se poori MEDICAL SCIENCE aur alopethy buri ho gai?? yaqeenan nahi balke unka ye amal unka zati amal he aur wahi is ke qusoorwar hen.
Hikmat me STEROIDS ki sakhti se mumaneat he kiyun ke ye ek ALOPETHIC drug he agar koi is alopethic drug ko hikmat me use kar raha he to uska wo khud zimedar he HIKMAT ka is se koi talluq nahi he.
Bewaqoof agar apko thori bhi knowledge hoti hikmat ki dawaon ke bare me to apko shayad kuch ilm hota he hakim log apni medicine ke bare me kia jante hen aur kia nahi.
Apka ye kehna sahi he ke hikmat me jo dawain hazaron salon se use ho rahi hen unki ehmiat ka andaza ab alopethy me bhi hone laga he.Withania somnifera, Cassia obtusifolia, Alovera, Psyllium, Chamomille, Licorice, Valerian, wagera iski chand misalen hen.
Me hamesha mashwara deta hun ke hakim ya doctor jis ke bhi pas jain wo QUALIFIED hona chahiye. jali hakimo aur doctors se bachen.
Wasalamm |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:21st Aug 2007, 9:40am |
|
|
re: abc123 piare bhai abc123 assalam-o-alaikum ap ka post read kia. is ka mere pas behtareen reply hai. lekin afsos ke reply piar muhabbat wale style mai nahi dia ja sakta. jab keh mai ne ahad kar lia hai keh ab kisi ko bhi reply karoo ga tu piar mohabbat se warna nahi. agar mere friends khas kar Kim84 aur safeena mujhe apne purane style mai reply karne ki ijazat de tu phir tumhare post ka reply dene ka socha ja sakta hai. tumhare post ka reply shareefana style mai nahi dia ja sakta. is lia meri taraf se sorry. bewaqoof
|
abc123 |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 18 Age:
36
|
|
Posted on:22nd Aug 2007, 4:13am |
|
|
Khisyani Billi : Dear Bewaqoof
Tumhare pas aur behtreen reply!!! achha latifa he :)
Jub kisi bhi bewaqoof ke pas reasonable answer nahi hota (jo ke obviosly nahi hota) to usay gussa ata he aur wo ulti seedhi baten karna shuru kar deta he jo is waqt tumhara dil chah raha he karne ka.
Agar tumhare pas koi solid answer he meri baton ka to zarur batao agar tumhari bat reasonable hoi to chahe jis andaz me karo me mind nahi karoga.
Lekin agar tumhara maqsad betuki baten karke logon ka waqt zaya karna he to yaqeen rakho ke tumhare her andaz ka bohot solid feed back tumhe mile ga. just go ahead.
tumhari halat mujhe is waqt esi lug rahi he jesi wo kia khub misal he ke "Khisyani billi khamba noche"
Good Luck |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:22nd Aug 2007, 5:01am |
|
|
you are right yar tum theek kahte ho keh mai aik khisyani billi hoo aur khamba noch raha hoo. ab tu tum khoosh ho gai. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:22nd Aug 2007, 5:52am |
|
|
Against Jaali Hakeem! very interesting topic, ye jali hakeems khulay aam kaam kar rahay hain, or bohat say jali log majma laga kar kharay hotay hain or logo ko so called sex say related medicines detay hain, jo na hi kisi laboratory mai test ki gaee hoti hai, or na hi ye pata hota hai k ye insan ko faida pohnchaingi ya nuqsan. govt. should take strong action againt such people. or jali hakeem hazraat newspapers or deewaro par sarko par har jaga apni sex medicines ki publicity kartay hain or aisi aisi symptoms batatay hain k acha bhala insan bi ye feel kaRta hai ye problems to muje bi hai...
abc123 ap koi aam insan nahi ho, apki wording or style or information regarding masturbation & medical theories aam insan say ziada hai. (i am talking about aam Ordinary Insan, not about the doctors) may i know, is your profession related to any medical science?? if u dont want to share with us then its ok. or apki batain bohat interesting hoti hai.
Bewakoof muje tumhara khamba nochna bohat acha laga.. tamam khambay noch dalo, balkay kha jao, na rahay khamba or na tumhe nochna paray. (hope u didn't mind bcoz mainay mazak say kaha hai, yaad rakhna ab tum bohat achay ho chukay ho) |
abc123 |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 18 Age:
36
|
|
Posted on:25th Aug 2007, 5:13am |
|
|
Lets educate people Dear faisee
Sorry for appreciating you so late on raising such an important issue. I always find your posts quite mature.
jali/ishtehari hakeemo (Quacks) ki karastanion sey kon waqif nahi in ki waja sey na sirf beshumar logon ki sehet ko nuqsan pohoch raha hey balkey ye HIKMAT key mathey per ek badnuma dagh hen.
Hamare nojawano ka in QUACKS key pas janey ki apney jo wojoohat batain wo bilkul sahi he lekin ek aur bari waja yey bhi hey key agar kisi ko koi sexual problem ho maslan peshab ke sath qatre aate hen ya kisi ki vegina se bager kisi sexual excitement ke pani aata rehta he ya koi aur masala he to uska hul doctors ye dete hen ke ye normal he "don't take any tention, it's quite normal".
ab usay doctors ki bat pey kitna hi bharosa kiyun na ho, wo ye zarur sochta ya sochti hey key agar ye normal hey to sub key sath esa kiyun nahi ho raha??
Kia ye ek achha hul (solution) nahi he ke ye qatrey ya pani aana hi bund ho jai!! Phir usay khud lagega ke haan me bilkul normal hun !!!
Unani way of treatment me in problems ka bohot asan aur sada treatment mojood he aur yehi wo bat he jisay QUACKS nay logon ko lootnay ka zariya bana liya he.
Hamey logon mey ye shaoor ujagar karney ki zarurat hey key sahi aur galat mey tameez kar sakain.
wasalam |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:25th Aug 2007, 5:50am |
|
|
Share Sada Treatment With Us! abc mere bhai, ap boht acha explain karty ho, or i think jisnay bi apkay replies read kiye hain wo ye samajh chukay hain , jo ap unko samjha rahay ho. bcoz your way of explaination is good enough.
wakaee ap koi sada or asaan treatment jantay ho to yahan wo sari tarkeeb likho or khidmat-e-khalq karo, ta k bohat say log us say mustafeed ho sakain. or un quaks k pas na jain... bcoz har jaali hakeem apnay apko asli hakeem hi kehta hai or 100 sala purana sanyasi baba hi batata hai, hazaro publicity boards lagay hain is kisam k hakeemo k or deewaro par baray baray haroof mai har hakeem, newspapers or sunday magzines isi kisam k logo k ishtaharon say bharay hotey hain.. or ye log masoom logo ko gumrah kar rahay hain or paisay bana rahay hain.
agar kuchh likho gay to kisi ready made medicine ki ya kisi hakeem ki publicity na kaRna otherwise apka msg edit ho jaeyga, or apko koi faida bi nai hoga, or sirf gussa ayega, forum walo par...
as far as i remember, mainay dr. sab ki kisi book mai bi parha tha k kisi hakeem k pas wakaee koi bohat acha nuskha hai to wo testing k liye forum par likhay or doctors bi us par research karain gay. or sab ko uskay faiday batain gay ... |
abc123 |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 18 Age:
36
|
|
Posted on:25th Aug 2007, 5:53am |
|
|
Further To BEWQOOF
Mere bhai bewaqoof kisi bhi cheez ko bager janay aur samjhay huwey bekar aur fuzul kehdena kahan ka insaf he?? me yahan koi jung jeetney nahi aya balke tasweer ka doosra rukh dikhana chahta hun.humay her maamlay me insaaf ka daman haath se nahi chhorna chahiyay aur in jali hakeemo ki waja se poori UNANI TIB ko bogus kehne se ehreraz karna chahiye.
TO JOSH
Dear josh apne jin khiyalat ka izhar kiya mere bare me uskey liye bohot shukriya lekin me bhi ek bilkul aam insan hoon. Medical thoeries aur hikmat ke bare me janne ki waja doctors aur hakeemo ki sohbat me kafi time gazarne aur bohot discussion karne, dekhney aur samajhney ka moqa milna he jisko me apni khushqismati samajhta hun. wasalam |
justSalman |
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 7 Post: 174 Age:
29
|
|
Posted on:25th Aug 2007, 7:46am |
|
|
Parents + media + wall signs Sab members hazrat ne bauht achi discussion ki hai aur yeh acha topic hai. Actually aaj ki problem Jaali Hakeem nahi hain balka advertisement hai aaj kal cable per dekain ye dewaroon per deken to zaida tar inhi hakeemo ki numaish hoo rahi hoti hai young generation bauht jali pisal jati hai jab in ko koi problem paish aati hai tu woh waleedein se discuss nahi karta balka t.v per deka huwa yah kisi wall sign per amal kerta hain aur seeda in jali hakeemo ke haata char jata hain aur phir woh in ka galat istemal kerta hain aur in ko galat kamon ke taraf mutwajah kerta hain , tu zrrot is cheez ke hai waaledein apna bacoon ko achi taleem ke sath sath umer ho jana per thora thora jinsi taleem be deen ta ke woh batka nahi aisa bauht se waqya howa hain jin ko biyan karna ki zaroot nahi .
Purana hakeem theek tha who agar kuch sah nahi kerta tu kuch galt nahi kerta tha 1980 ke baad ke hakeem sahi nahi aap tu Medical itni tarki ker cuki hai ke in hakeem o ki zaroot nahi.
hum sab ko yeh chayiya ke agar hum chaiye tu mahool ko badal sakta hain we sshould try to har ko agaa kerna chaiya ke hakeem ke paas na jain agar hum kuch ko hee baca lein tu "Hamduillah" Jaisa Dr.Rizwan ne is website ke zariya hamen bachya hai.
Thanks............................. |
abc123 |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 18 Age:
36
|
|
Posted on:25th Aug 2007, 8:29am |
|
|
Mizaj RE: JOSH
Mere bhai josh, nuskhey me janta hun ya nahi lekin kisi bhi hikmat key nuskhey ko janney sey pehley hikmat ki ek theory ko samajhna behter hoga kiyunkey ye QUACKS bhi isi qism key kuch nuskhey jantey hen jo ye sub ko use karatey hen isi liye faida nahi hota kiyun key hikmat mey ek bohot important cheze hey aur wo hey MIZAJ, aur isko wahi samajh sakta hey jisney hikmat ki baqaida taleem hasil ki hoti hey.
Yani ek dawa jo kisi ek MIZAJ key shakhs key liye faidamand hoti hey wahi agar bager poori maloomat key doosrey ko istemal karai jay jiska MIZAJ mukhtalif ho to faidey key bajai nuqsan ka baais bun sakti hey.
Ye bilkul isi tara hey jesay apney her alopethic dawa key oopar likha dekha hoga key doctor key mashwarey sey istemal karen.
maslan ANTIBIOTIC dawa ka ye usool he ke kum as kam 3-5 din tak istemal karai jati hey chahey mareez ek din mey hi kiyun na theek ho jai. agar ek shakhs doctor key mashwarey key bager istemal karega to ek din me theek ho jane per mazeed use nahi karega jiska nuqsan ye hoga ke chand bar esa karne se wo particular antibiotic dawa us shakhs pe asar karna chor degi.
Yehi wo waja hey key ye QUACKS logon ki sehet ko nuqsan pohcha rahey hen kiyun key ye hikmat ki kisi theory ko nahi samajhtey aur chund nuskhey pata chalney par sub ko bewaqoof bana rahey hen.
Is me shuk nahi ke sahi tashkhees key baad unani dawa ki chand khurakon (doses) sey in bemarion sey chhutkara hasil kiya ja sakta hey lekin agar mey esay kuch nuskhey yahan blindly batata hun to kia ye QUACK banna nahi hoga, jinsey mujhey sakht chirr hey :(
Qualified Unani tabib abhi napaid nahi huay koshish sey pata chal sakta hey unkey qualified honey ka. sirf Karachi mey qaim ki gai jadid Tibbia University her sal hazaron nahi to sekron qualified tabib (Males and Females) produce kar rahi hey.
Wasalam |
abc123 |
Group: Members Joined: 06th Mar, 2007 Topic: 2 Post: 18 Age:
36
|
|
Posted on:26th Aug 2007, 2:42am |
|
|
Just for information This post has been edited by MODERATOR and three posts from MyReply and almost the same number of posts from me have been removed. All posts mentioned above were submitted yesterday in the afternoon !!!
Any ways, Ek bat jo mey ap logon sey shere karna chahta hun shayad kuch logon key ilm mey na ho key Unani way of treatment (Hikmat) aur Homeopathy ka doctor/Tabib banney ke liye 4 years ki digree leni parti hey jesey alopethy mey doctor banney key liye MBBS ki 4 years ki degree he !!
Wasalam |
|