Sobia Yah baat qatan galat hay kay pregnant honay kay baad NORMAL PERIODS houn. Lakin yah ho sakta hay kay pahlay mahinay main aap ko SPOTTING ho, lakin wo bhi khaternaak ho sakti hay ager blood ziadaa aay tu. Spotting ka matlab sirf itna hay kay aap ko koi chota sa aik do stain kapray per nazar aa sakta hay, lakin khoon kay katray nahi. Plz Make it clear. Sunehri ho sakta hay yahi kahna chah rahi ho lakin uss say kuch durust alfaaz ka intikhaab nahi ho saka. Baherhaal aap yah yaad rakhain kay periods kisi soorat main bhi nahi aatay pregnant honay kay baad, aur ager kabhi 2,4 drops bhi aap ko blood kay nazer aain tu doctor kay paas foran hi jain, yani samjain kay yah emergency hay.
shuru k months mein yani first trimester mein spotting ho skti hai...isey menses nahi kehtey aur ye menses ki tarhan ki bleeding nahi hoti.....
is ka flow menses k flow se bohat kum hota hai...means thora sa blood hota hai...aur sahi bat ye hai k ye blood ki tarhan bilkul redish nahi hota jese menses mein hota hai....it can be pinkish, brown, light red, in colour....i think sunehri sister bi yahi kehna chah rahi hon gi....
but agar bleeding ziada ho...2-3 spots se ziada ho...ya in colours mein se na ho...menses jesa bleeding ho...to foren Dr ko dikhana chahiye....
i hope u understand now.... |