re to saboor jo transparent qatra nikalta hai us ko mazi kehtey hain, is se wuzu toot jata hai pr ghusul farz nahi hota. agar mazi ik dirham se kum miqdar main kaprey pr lagi hai to us main namaz ho jaye gi.agar ik dirham k barabar hai to kaprey ko dho layna musthab or afzal hai ro agar ik dirham se ziyada hai to baghair kapra pak keye namaz nahi hogi.or agar yeh samjh k namaz parhi k kuch nahi hota ho jaye gi namaz to insan murtad bhee hosakta hai.
sahari istalah main ik dirham ki miqdar is ko kehtey hain k jab ap apney hatheyli jo spread karein or us main pani dalein or jitna pani us main ruk jaie us ik dirham ki miqdar hai.agar ghalazat is se kam hai to us main namaz ho jaye gi.or mazi ka qatra ik dirham se kam he hota hai to us kapre main namaz ho jaye gi.
ap ne jo majbori ki baat ki agar ap ko itney qatrey aatey hon k ik namaz k waqt se ley kar dosrey namaz k waqt tak wuzu qaim nahi rehta yani k ap mazi ka qatra saaf kar k wuzu kartey hain or wuzu k doran he dobara qatra aajata hai or yeh silsila for example zuhur se ley kar asr tak chalta rehta hai to ONLY then ap shari mazoor kehlain gay or srif us waqt ki namaz ap us he halat main namaz phar saktey hain. agli waqt ki namaz k leye ap ko dobara taharat or wuzu karna hoga.
ap ne jo condition batai us main ap sharaeee mazoor nahi lagtey to ap ko paki hasil karni hogi.mazi ka qatra nikalney se wuzu toot jata hai layhaza agar doran-e-namaz qatra aya to namaz bheee toot gaye pr agar qatra ik dirham se kam hai to penis ko dho kar wuzu kar k namaz phar lain.kapra dhona lazmi nahi.inshALLAHazawajal ap ki namaz ho jaye gi.
mazeed malommat k leye bahar-e-shairat read karein.
wasalamu alikum |