Poetry In Urdu: Selected Urdu Poetry
KOI PAL Is zindagi mein koi pal to aisa ho jo tera mera ho, jis main koi tesra na ho, hum dair tak aik dusry sy batain krain, yun baton ko sunnay wala koi na ho, baton main hi rat dhal jay, youn hi bethy bethy kisi bhi choti si bat py hum betahasha hans parian, hansty hansty ankho sa ansou nikal parian, in ansoon ko saf karny wala koi na ho bus main or tum hon or kash is zindagi main koi pal to aisa ho jo sirf or sirf [Tera aur maira ho] "Usay kehna" "Usay kehna" Mukkamal kuch nahi hota, Millan bhi na mukkamal hai, Judai bhi adhuri hai, Yahan ik maut puri hai, "Usay kehna" Udasi jab ragon may khoon ki manind utarti hai, Bohot nuqsan karti hai, "Usay khena" Bisat-e-ishq pay jab maat hoti hai, Dukhon k shehar may jab raat hoti hai, Mukamal bus KHUDA ki ZAAT hoti hai. Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota, bay niazi say, magar kanptey awaz k sath, Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota, younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi, Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota, Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka, Warna kajol teri ankhon ka na phela hota Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota _;
|