Please Every One Must Read It
BISMILLAH HIR REHMAAN NIR RAHEEM ALLAH TALA QURAN PAK MEIN IRSHAAD FARMATA HAI "Tum sab Allah k Huzoor Tauba karo, Aye Momino! Taa ke tum Falah paa jao" Surah Noor (Ayat 31) Hum jante hain k Pakistan hum ne Allah k naam per liya tha Aur Allah ne 27 Ramzan-ul-Mubarak ko hame yeh tohfa Ata farmaya PHIR HUM NE KIA KIYA Allah se is mulk ko bachane ki dua to baad mein karenge Pehle apne gunahoon ka aitraaf to kar lein, Yeh jante hue bhi k rishwat lena aur dena , lanat zadah fail hai Apne liye najayaiz sifarish karwana, apne bhai ka haq marna hai Hum ne Pakistan ko in buraiyon se daagdaar kia Allah ne farmaya sood barbaad kar deta hai, Hum ne kaha k sood ke bagair aaj kaun sa kaam hota hai Allah ne bataya k najaiz zameen ka chota sa tukra bhi roz-e-qayamat Gale mein Aag ka Tauq hoga, hum ne najaiz zameen apne naam Lagwane ke liye sar dhar ki baazi laga di Allah ne Farmaya Haraam kamayi be-barkat hai, Azaab hai Rasool Allah (S.A.W) ne Farmaya Jo goasht sakht (Haraam) se paida hua ise aag hi jalayegi To hum ne Haraam ko oorhna bichona kar liya Allah ne Farmaya, Maal aur Aulaad Fitna-O-Azmaish hain Hum ne Maal ko deen aur Aulaad ko Emaan bana liya Jab hamen Pata chala k Be-hayaae Allah aur Rasool (S.A.W) ki Napasandeda baton mein se hai to hum ne Cable, vulgar emails, non-sensse SMS, Movies, Video Songs, Ko Zindagi ka Hissa bana liya Hamen Maaloom hua k waqt ki qadar karo iss ko Zaya na karo Hum ne ghanton mobile per waqt barbaad karma farz samajh liya. Jab Aurat ko Hukum hua k tumhare paon ki jhanjhar ki Awaaz bhi pardah hai Tou Aurat ne Fashion aur Its move in Society Ke naam per had paar kar di. Allah ne Tamaam musalmaan ko apas mein bhai behen banaya Tou hum ne is rishte ko dosti mein badal diya Rasool Allah (S.A.W) ne Umm-ul-Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa (R.A) Ko andar bheej diya ke naa beena (Blind) Sahabi (R.A) per bhi nazar na pare Who pakeeza nigaah k jis ki masomiyat ki gawahi farishte bhi dein Aur Aik taraf Sahabi-e-Rasool (S.A.W) jin ke martabe ko hum jaan hi nahi sakte Yeh sirf ummat ko batane k liye ke Andaaza kar lo, ke Mard aur Aurat mein Faasla aur pardaah kis had tak Zaroori hai Tou hum ne kaha k hum larke aur larki ki dosti to bauhat paakeeza hai Allah ne dosti ke liye Mard ko Mard ke liye aur Aurat ko Aurat ke liye Muntakhib kia Tou hum ne kaha ke dosti to bani hi larke aur larki ke liye hai Allah ne naa mehram per aik nazar uthane se bhi mana farmaya Tou hum ne kaha ke hamari yeh dostiyan , Phone Calls, aur mulaqatein To be zarrar hain Allah ne mousiqi aur Alaat ko Haraam kaha Tou hum ne ise Music, Songs, FM Radio Ki shakal mein Rooh ki Giza bana liya Dil ka Sukoon Quran Paak mein rakha gaya hai to hum ne Haraam Mousiqi mein Dhondne ki koshish shuru kar di. Rasool Allah (S.A.W) ne Farmaya: Ke "Baa Jamaat" Namaaz ke liye na nikalne walon ke gharon ko AAG Laga dene k Dil karta hai Tou hum ne sire se Namaz parhne ke Tasawwur ko hi zehen se Rukhsat kar diya. Allah ne Farmaya ke Duniya k Kheel Tamashon mein parr kar kahen waqt barbaad na kar dena Tou hum ne Entertainment ke naam per Restauarants, shopping, dresses, jewelry, shoes Ko hi zindagi maan liya. Shaitan ne kaha k mein Aulaad-e-Adam ko gumraah karon ga Tou hum ne kaha K hum tumhare sath hain Allah Tala ne Surah Al Ahzaab Ayat 36 mein Farmaya, "Aur na Kisi Momin Mard ko haq haasil hai aur na kisi Momin Aurat ko ke jab Allah aur uss k Rasool (S.A.W) kisi kaam ka Faisla (Ya Hukum) Farma Dein Tou in ke liye (mominoon ke liye) apne kaam mein (karne ya na karne ka) koi ikhtiyaar hoo aur jo sakhs Allah aur uss ke Rasool (S.A.W) ki nafarmani karta hai to who yaqeenan Khuli gumraahi mein bhatak gaya". HUM NE SAB KAAM SAB AHKAAM HI APNE HAATH LE LIYE Mere Maalik! Kis kis gunaah ki muaafi mangu Mera Pakistan Doob raha hai Mere log be aasra hain Mere behen bhai Takleef mein hain Dukh marne ka nahin, maut to barhaq hai Dukh azaab mein ghir kar marne ka hai YA ALLAH! Jo jaan teri raah mein tere Ahkamaat ki pairwi karte hue nikalni thi Who gunahoon k sabab tere Azaab ka shikaar ho kar nikle Tou hum musalmaan reh gaye ya munafiq ho gaye. Phir bhi mere Allah! Tu Muaaf Farma De Mere Maalik! Hum apne gunahoon se Touba kar lete hain Tu hamen Taufiq Bakhsh. APNE PIYAARRE HABEEB (S.A.W) KE SADQE HAMEIN MUAAF FARMA DE Iss seelaab ko Aakhri Azmaish bana kar Guzaar de Kahin yeh Tofaan-e-Nooh (A.S.) ban kar hum ko garaq na kar de Kahin AAD SAMOOD ki tarha aisa na ho k aik pal ki mohlat bhi na mile Hum jante hain k hum per ijtimayi Azaaab nahi ayega key eh Hamare Piyare Nabi (S.A.W) ki dua hai apni Ummat ke liye MERE MAALIK! Hamein Infiraadi Azaab se bhi bacha. "Aye Hamare Parwardigaar! Hamen duniya mein bhi bhalayi Ataa farma aur Akhirat mein bhi bhalayi se Nawaz aur hamein Dozakh ke Azaab se Mehfooz Rakh." Surah Al Baqra (Aayat 201)
|