re: auditory halucination kaan mai bila wajah awaz aane ko Auditory Hallucination kehte hai. Auditory halucination ki kai wajoohat hoti hai maslan mania, schizophrenia, severe depression.
mera khial hai keh aap ki aunty ko severe depression hai. kio keh 50 years age mai generally severe depression ki wajah se kaano mai awazain aane lagti hai. depression ki doosri alamat yeh hai: bhook na lagna, wazan kam ho jaana, ghussa, chirchira pan, tention, raat ko neend nahi aana, rone ko dil kerna, zindagi se bezari waghaira. mareez mai sare alamat bhi ho sakte hai aur koi aik ya do alamat bhi.
aap ko mashwarah hai keh aap kisi psychiatrist se ilaj karai. psychiatrist ke paas jaane ka yeh faida bhi hai keh agar yeh auditory halucination nahi hua tu bhi woh proper mashwarah de ge keh onhai kis doctor ke paas jaana hai. |