Re: khoobsurat Assalam o Alikum
main sooch rahi thee Dr. khan is ka reply kerain gee tu wo ziyada authentic hoga lekin ye post neechay chali gai thee may be un kee nazar nahi gai is per
main apna experience jis main diffrent Drs. kee advice bhi shamil hay bata deti hon (ye alag baat hai k Drs. kee advices ek dosre se kabhi change bhi ho jati hain :) )
1. young baby k face per powder lagane ko mana kerte hain doctors baz doctors diaper rash k liye kehte hain powder use karain aur kuch Drs. diaper wali jagha per powder mana ker dete hain khair garmi main body per lagaya ja sakta hay
OIL ka massage tu best hota hay sab k liye lekin weather ka khayaal rakhte hoye choose karain oil cold weather main olive oil aur warm main mustard young babies k liye baby oil hee use karain tu accha
2. surma / kajal bhi mana kerte hain lekin ager ORIGNAL SURMA HO TU LAGA SAKte kion k PIYARE NABI sallallahu Alaihee Wa sallam kee sunnat hay hai Surma lagana lekin young baby ko avoid kerne ko hee kaha hay surma / kajal k liye kion k eye infection hone ka dar hota hay(ziyada choute baccho ko )
3. new borns 1 din main bacchay 6 time bhi kerletay hain aur baaz bacchay 3 , 4 times bhi itna normal hai ziyada karain tu Dr. ko batana chaheyye
lekin day by day kami aati jati hay 1 - 2 month k bacchay 4 to 5 time karain tu normal hota hay (jesa k doctor ne mujhay bataya thaa bcz main pareshan hoti thee 5 time kerne per)
4. baccho kee neck (gardan) set hone kee normal age 4 months hai
baz bacchay thora pehley aur baz thora baad main bhi set hote hain
(lekin 2-1/2 months k bacchay ko aap ulta letain tu baccha apna head utha ker dekhnay lagta hay ) |