Naiki Ka Hukm Aur Burai Se Rokna
"Tum behtareen ummat ho . jinhain loogon kee (hidayat) k liye banaya gaya hay . tum naiki ka hukum dete aur burai se rukte ho aur ALLAH TALA per emaan rakhte ho."(Aal e Imran . Aayat # 110) " Momin mard aur momin aurtain ek dosre k dost hain, jo naiki ka hukum dete hain aur burai se mana kerte hain ...( sura e TUBA . Aayat#71) Hadeess e paak (S A W) . Syadna Hzaifa (Razi Allah tala anhu ) se riwayate hay k Piayr NABI (S A W) ne farmaya "Qasam hay is zaat kee jis k haath main mayri jaan hay, tum zaror naiki ka hukum karoaur zaror burai se rowko, warna qareeb hay k Allah Tala tum per apni taraf se koi azaab bhej dein phir tum us se duain karo gay lekin wo qubool nahi kee jain gee " (TIRMIZI)
|