migrain abhi tak medicaly iski koi actual reason identify nahi howi aur nah hi iskaa koi proper treatment daryaaft howaa hai... koyal nay jo medicine batlaaye haiN woh just 'pain-killers' haiN... migrain start hotay hi koi saa pain killer khaa laiN to afaqah hojata hai... magar yeh koi 'elaaj' nahi.
mujhay bhi baras haa baras tak migrain (aadhay sar ka dard) rahaa hai... lekin alhamdolillah maiN iska "elaaj" karnay maiN kaamyaab rahaa houN. pahlay aksar o beshtar mujhya migrain ka attack hota thaa jo asar taa raat gaye tak rahtaa thaa aur maiN sab kaam kaaj choR kar 3/4 ghantay bed rest karnay par majboor hojata thaa.... ab kai baras say koi attack nahi howaa...
migrain k baray maiN kafi paRhaa / physicians say rajoo kia magar koi afaqah nah howaaa... aik martabah aik doc sb tv par aaye onhouN nay batlayaa k ab tak iski koi real cause pataa nahi chali aur nah hi iska koi treatment daryaaft howaa hai... dr hazraat sirf pain killers hi detay haiN..... lekin onhouN nay aik ajeeb o ghareeb baat batlaayee....
onhouN nay migrain mareezouN say kahaa k onhaiN jab bhi migrain attack ho to is attack say pahlay waali kaafiyaat /halaat ko note down karaiN... yani iss attack say just pahlay aap kia kiaa kartay rahay, kia khatay rahay, kis non-routine environment main time guzaraa etc etc.... jab 5/6 martabah k attacks say qabal k halaat /data ki soorat main yakjaa hojayaiN to aap dekhengay k inmaiN say ki aik yaa 2 baataiN aisee haiN jo common haiN.... yaani jab bhi aap in makhsoos halaat /activity /khanay etc say aap ka waastah paRta hai to aap ko migrain attack hojata hai.... bus yehi aap ki root cause hai... yeh root cause har fard ki alag alag hoti hai.
bus aap ayandah on halaat say avoid karaiN. insha Allah aap ko migrain attack nahi hogaa.... agar kissi ko masterbation k baad migrain attack hota hai, kissi ko dhool miTTi maiN khelnay say attack hota hai, kissi ko koi makhsoos smell /khoosh.boo say attack hota hai to woh in cheezouN ko choR kar dekh lay...... mujhay baaz chemicals ki smell say yeh attack hota thaa... jab yeh identify hogayee to maiN mohtaat hogayaa aur in chemicals say kam say kam duration maiN touch main rahtaa houn to migrain say bacha rahtaa oun. |