Merd Aur Ourton K Liay Azeem Ajer Ka Wada Bismilla Al-rehman Niraheem
Merd,Ourton k liay Azeem Ajer ka Wada
Surrah Ahzab aaya No 35 "Beshak muslim merd our muslim ourtain our imandar merd our imandar ourtain our bandagi kernay walay merd our bandagi kernay wali ourtain our sachay merd our sachi ourtain our mehanat sehnay walay merd our mehanat sehnay wali ourtain our dabay rehnay walay merd(apnay ALLAH say darnay walay) our dabay rehnay wali ourtain(apnay ALLAH say darnay wali) our hairaat kernay walay merd our hairat kernay wali ourtain our rozadar merd our rozadar ourtain our thamnay waly merd apni shewat ki jaga(apni sharmgah ki hifazat kernay walay) our thamnay wali ourtain(apni sharmgah ki hifazat kernay wali) our yaad kernay walay merd ALLAH ko bohat sa our yaad kernay wali ourtain rakhi hay ALLAH nay un k wastay maafi our barha ajer(azeem silla)."
Shan-e-Nazool: Isma binate Umais jab apnay shoher Jafer bin Abi Talib k sath habsha say wapis aain tu Azwaaj-e-Mutahrat Nabi Kareem (PBUH) say milnay gai our un say poocha k ourton k bab may koi aayet nazil hoi tu unon nay framya k nai,tu Isma nay Nabi Kareem (PBUH) say arz ki YA RASOOL ALLAH (PBUH) outain baray tootay may (TAJUB) may hain,APP nay poocha kyun?arz ki kehti hain k in ka zikar khair k sath hota he nai jaisa k akser merdoon ka hota hay,iss per ye aaya kareema nazil hoi jis may ourton k 10 mratib merdon k sath zikar huay,our in k sath in ki maddah(hosla fazai) ki gai.
NO 1; in sab say pehla martaba Islam hay(musalmaan hona),yaad rehay k kisi b naik amal ki jaza emaan k sath mashroot hay(yani Islam lana)yoon tu naik kaam yahood o nasara b kertay hain,ajj k dor may amrica,uk,germani,japan,chaina jaisay kai ghair muslim mumalik naik amal,logon k sath balai kernay our zaroorat mandon ki zarooratain poori kernay k dawedar banay huay hain,tu kya in sab ghair muslims ko in ka ajer milay ga,nai her giz nai,Quran may ALLAH PAK nay irshad farmaya hay k mushrak logon ka Qayamet may koi hissa nai hay.gharz iss aayet may ALLAH TABAREK TALLAH nay ourton ka ziker kertay huay farmaya beshak muslim merd our muslim ourtain,yani aik martabay ka sath zikar kia,SUBHAN ALLAH musalmaan hona b kitna barha martaba hay k ALLAH PAK quran may jab merd ourton k martabay ginwata hay tu sab say pehla no muslman honay ka hay.
NO 2; dosra martaba hay emandar merd our emandar ourtain,yani itqaad ka deruset hona,eqeeda o emaan pukhata hona,insan ka zahir our batin aik hona.KHUDA k haan ye b aik buland martaba hay.
NO 3; teesra martaba qanoot yani bandagi hay,ibadat KHUDA ki.SUBHAN ALLAH ager hum ibadat b kertay hain tu us ka b martaba hay MOLLA k haan.iss ka silla kya hay agay zikar aay ga.
NO 4; 4tha martaba siddeq(sachai).nieyet o afaal may sachai ka hona,qool o fail ka aik hona.jo zubaan say adaa ho us per amal b ho,wo outain our merd jo hamaisha sach boltay hain sach kertay hain un ka khas martaba hay.sillah kya hay agay zikar aay ga.
NO 5; panchwaan martaba mehnat sehna, kon c mehnat,kaisi mehnat? saber kerna aisi batoon per k jin ko kernay ko tu dil ker reha ho our na kerain kyun k un k kernay say un ko un k KHUDA nay mana ker deya hay.hud ko rok lay aisay kamoon say chahay nafs per kitna he graan guzray.ye hay hud ko menat may dalna,nafs ki talab k bawajood mamnooa kaam say ruk jana he tu mehnat ka sehna hay,ye tu KHUDA ki raah may mushaqat hay.our razaay ILAHI k mutabiq apnay amaal sanwarna he tu mehnat sehna hay.
NO 6; 6tay no per Khashoo(khof-e-KHUDA) hay,ataaton our ebadatoon may Qaloob o Jawarkh k sath mutwazay hona,apnay dil may khof-e-dunya ki bajaay khof-e-KHUDA ko basana,aj k dor may hum kisi baray officer,chuhadarry sab,namberdar sab, thanedar,mazim,mna, mpa, wazeer, safeer,sader yahaan tak k apni biviyon say b dab jatay hain,kya hum KHUDA say b dab k rehtay hain,dunyadaron say dab k koi martaba nai balkay dabnay k bad hum neechlay darjay pay aa jatay hain,Qurban jain us SHAN-e-KAREEMI per k jis say hum dab jain,dar jain tu humara martaba neechay nai hota balkay martaba buland hota hay.may dast badasta app sab say iltaja kerta hon ay meray behan bhaiyon plz ghor kero iss baat per k humain kis say dab k rehnay hay KHUDA say k jo apnay agay dabnay walay ko neecha nai kerta balkay us k martabay ko buland kerta hay ya us dunyadar k agay dabna hay jo humain neechay kerta hay.
NO 7; 7twaan martaba un ka hay jo sadqa khairat kertay hain,ALLAH k deye huay maal may say usi ki raah may kharch kertay hain,Quran may ALLAH pukarta hay apnay bandon k hay koi jo muje qarz day?NABI PAK(PBUH) say poocha gaya ALLAH ko kaisa qarz?Farmaya us k deye huay maal may say us ki raah may kharch kerna.ye aik aisa mozoo hay k iss per aik ilag say taweel mazmoon likhnay ko dil kerta hay,try keron ga ager parnay waloon ko graan na guzray our forum ki admen ki ijazat hoi tu.
NO 8; soom ka zikar.rozay rekhnay walay merd our ourtain un ka martaba bohat buland hay.manqool hay k jis nay aik week may aik derham sadqa kia wo mutsadqeen may ho gaya our jis ourat nay her maheenay k haiz(amanses) k 3din k rozay rakhay wo saaimeen may shumar kia jata hay.
NO 9: jo merd our ourtain apni sharmgahoon ki hifazat kertay hain un ka martaba bohat buland hay.iss ka zikar may apnay pehaly article may ker chuka hon.her muslim merd our ourat ko jinsee mamlay may apni had may rehnay ka hukam hay.
NO 10; ZIKAR-e-KHUDA ka kasret say kerna aala martabay k bais banta hay.ALLAH ko yaad kernay walay merd our ourtain aala martabay k haqdar hain,apnay dilon ko ALLAH k zikar say abaad kero.ajj humari ourtain film o dramay ka zikar tu bahat kerti hain ALLAH ka zikar kitna kerti hain ye wo hud sochain.kisi film ka zikar kernay say martaba tu buland na ho ga but ALLAH ka zikar kernay say iss dunya may our aakhret may kitna muqaam buland ho ga iss per inshallah aik poora mazmoon likhon ga.Hadees hay k sab say afzal zikar LA ILAAHA ILALLAH hay our sab say afzal Dua ASTAGHFIRULLAH hay.
madarja bala nashaniyon walay merd our ourton k liay iss aayet may farmaya hay k may nay un k liay maafi rakhi hay our aakhret may un k liay ajer-e-azeem hay.ye wada ALLAh hum say ker reha hay k jis nay Quran may farmaya hay k ALLAH apnay waday say kabi nai pirta.
tu ab humay faisla kerna hay k hum nay apni dunya our aakhret ko sanwarnay k liay kya kerna hay.
ALLAH KAREEM |