Masturbation Is Not Bad For Health.
Masturbation And Health:
Bhut se ladke yeh samujte hain ke musht zani health ke liye bhut he nuksan deh hai..aur yeh baat itni logo ke zehano mein beth chuki hai ke nikalni bhut mushkil hai.kyun ke baaz ladke zehni tour par nifsayti mareez hote hain jiney jitna bhi samujaya jaye woh yehi samjte hain ke musht zani health ke liye bhut nuksan deh hai musht zani ke hawale se bhut se baatein suney mein sar-e-aam hain.maslun Musht karne wala juldi bhoora ho jata hai,hatho ki skin naram ho jati hai, neend nehin ati, bechaini rehti hai, aankhon mein halke par jate hain, study mein dil nehin lagta, jism patla aur kamzoor ho jata hai,face k patla aur chicks chipak jate hain, penis necey ke taraf ya dayein bayein ki tarha mor jata hai, penis patla ho jata hai, face be roonak ho jata hai, har time esa lagta hai face par 12 baje hain, juldi discharge hota hai, shaadi ki kabil nehin rehta, urine mein drops ane lagte hain, ehtalam ana band ho jata hai, semen normal nehin rehti, sperms khatam ho jate hain, aur mard mein bacha padia karne ki power nehin rehti. Jab key esa kuch bhi nehin hai. Musht zani ager sehat ke liye nuksan dey ho to aaj jo 10 saalo se musht zani karte aye hain woh ab tak mar jate zindaa na rehte.ager musht zani se koi juldi boora ho jata hai to jo 10 saal se musht zani karte aye hain woh ab tak jawan kyun hain? Ager musht zani karne se hatho ki skin naram ho jati hai to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on ki to skin ab tak patli ho kar gaib he ho jani chahein. Ager musht zani se neend nehin ati to jo 10 saal se musht zani karte aye hain woh ab tak soote he na. Ager musht zani se aankhon mein halke par jate hain to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on k halke dark ho kar ab tak black ho jate. Ager musht zani se study karne ko dil nehin karta to jo 10 saal se jo musht zani karte aye hain.woh ab tak 10th mein he rehte.na ke MA,MBA karte. Ager musht zani se jism patla aur kamzoor ho jata hai to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on ke ab tak jism par skin he na hoti aur woh kamzoor ho kar mar jate. Ager musht zani karne se chicks chipke ho jate hain to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on k chicks ab tak itne ander gus gaye hote ke face ka dhancha nazar ane lagta. Ager musht zani se penis curve hota to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on ka to penis itna curve ho jata ke penis ki cap testis ko touch hone lagti.ya left lege ya right legs par touch hone lagti. Ager musht zani se penis patla ho jata hai to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on ka to penis phir aak jaarou ke tinke jitna patla ho jata. Ager musht zani se face par ronak nehin rehti to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on ka to face dekhne ke kabil he na rehta. Ager musht zani se face pe 12 baje rehte hain.to jo 10 saal se musht zani karte aye hain woh to phir har waqt girte phirte rahte.har waqt soye rehte. Ager musht zani se juldi discharge hone lagta hai to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on ka to 1 sec se bhi pehle discharge ho jata. Musht zani se ager koi mard shaadi k kabil nehin rehta to jo 10 saal se musht zani karte aye hain woh aaj bacho ke baap na bane hote..aur do,do teen teen shaadiya na ki hoti, Ager musht zani se urine mein drops ane lagte hain to jo 10 saal se musht zani karte aye hain on ke to urine band ho kar sirf semen nikalna chahein. Yeh sab jhooti baatein hain..jis ki main waja hai jahaliyat.loog in baato se anjaan hain aur na he kabhi sochte hain ke yeh baatein sehi hain ya ghalat, lekin sochne ke bijaye loog dosro ki baato par amal aur yaqeen karte hain.Jis ki waja se woh wake he kamzoor hone lagte hain lekin naam mucht zani ka lag jata hai. Kamzoor Hone Ki waja: Jab koi musht zani karta hai to body relax ho jati hai aur jism halka feel hota hai.dimaag aur body donu relax feel karte hain jis ki waja se loog ose kamzoori samuj bethte hain.woh yeh samujte hain ke on ki shahyed energy zaiya ho gayi hai. Soch aur tention lene ki waja aur diet achi na hone ki waja se kamzoor hone lag jate hain.health ko kharab deit aur tention karti hai.aak baat zehan mein rakhe ke insaan ke body growth aur achi health diet se hoti hai ager aap ki diet achi ho gi to aap ki sehat bhi achi ho gi ager sehat achi ho gi to sab kuch acha ho ga even sex power bhi. Musht Zani aur Mubashrat: Kuch logo ka yeh bhi concept hai ke musht zani health kharab karti hai jab ke kisi aurat se sex kiya jaye to kamzoori nehin balke achi sehat banti hai.jis ki waja se kuch log musht zani karne ki bijaye bazaari aurato ke pass jate hain aur zana karte hain. Kuch logo ka yeh khayal hai ke musht zani karni hai to es se acha hai aurat se he banda sex kar le kam mas kam health to kharab nehin ho gi.aur hota bhi esa he hai jab woh kisi aurat se sex karte hain to wake he on ki health kharab hone ki bajaye achi ho jati hai.kyun ke onhe yaqeen hota hai ke aurat se sex karne se jaan he bane gi.to woh wake he ban jati hai.jab ke musht zani mein yaqeen hota hai ke jaan he zaiya ho gi to wake he woh kamzoor ho jate hain. esi tarha kuch logo ka yeh bhi khayal hai k aurat se sex kare ge to zana ho ga.lekin kisi male ya shemale se sex karna zana nehin khelaye ga.to kuch loog aurat k bijaye male ya shemale se zana karte hain.lekin zana to zana hota hai chahe woh male se ho ya phir female se ya phir shemale se. musht zani mein bhi semen discharge hoti hai aur mubashrat mein bhi semen he discharge hoti hai.vagina se esi koi cheez nehin nikalti jese penis suck kar ke ya penis k zariye se body ko energy male aur sehat achi ho. Yaad rakhe ke Allah ne insaan ka mou khana khane ke liye banaya hai aur wohi se woh rizak khata hai aur os ko tawanayi melti hai jis se os ki sehat banti hai.mou ke ilawa esi koi jaga nehin jahan se sehat bane. Penis sehat banana ke liye nehin.penis sirf urine karne aur intercourse ke liye bana hai.ager musht zani kar ke insaan tention na le aur yeh na sochey ke woh kamzoor ho giya hai to os ki health ko kuch bhi nehin ho ga. musht zani karne wale hazraat bilkul normal hote hain.lehaza onhe kisi qisam ke ilaj ki zaroorat nehin. Continue...........
Written By Veer
NOTE: musht zani aak buri adat hai.jo ke nehin karni chahein.es article ka yeh matlab nehin ke ese read karne ke baad musht zani ki jaye.article likhne ka maksad sirf itna hai ke yeh concept clear ho jaye ke musht zani health ke liye nuksan deh nehin hai.
My Other Articles:
|