Assalam O Alikum
Mubasrat kerne se pehle ye dua karain
"Bismillaahee Allahumma Jannibnashaitaana Wjannibi Shaitaana Marazaqtana"
translation "Allah k naam k saath Ya Allah door rakh hum ko shetaan seaur ye k rukay rakhiye shetaan ko is bacchay sejo naseeb karain AAP hum ko "
1 *Aulaad k liye "Rabbi Hablee milladunka zurriyatan tayyabatan innaka sami udduaaaa"
Tranlation "YA Rab ! mujhay apne pass se pakeeza aulaad ata farma beshak tu dua ka sunnay wala hai "
2 * Aulaad k liye " Rabbi Hablee minas saleeheen"
Translation "Ya rab mujhay naik bakht auld Ata farma "
3 * Aulaad e Nareena (baby boy ) k liye khaas dua
" Rabbi la tazarnee fardan wa anta khairul wa riseen "
Translation "Ya Rab ! mujhay tanha na chourna aur tu behtareen Waris hay "
Note:1 : Dua mangte hoye har dafa ye khayaal rakhna chaheyye k aap jab bhi dua mangay jis maqsad k liye bhi har dafa dua mangne se pehle aur aakhir main Durood shareef ( Dorood e Ibrahim jo hum namaz main parhte hain) zaror parhain
2: Allah se gir gira ker dua karain
3 : dua mangte hoye na tu koi word aesa use karain aur na dil main ye khayaal lain k bass Allah tala jitni jaldiii ho sakay ye qubool karay, humesha Sabar k saath dua mangain
4 : aur koi bhi Dua mangne se pehle Sura e Baqra ka aakhri Ruko bhi parhain us kee buhat fazeelat hai
(us ka tarjuma zaror parh k dekhiye ga jab aap parhain gee tu aap ka khud ba khud dil chahay ga us dua (Sura e Baqra k aakhri ruko ko) ko bar bar parhnay ka)
Allah Tala aap ko naik naseeb Aulaad ata farmaye Aameen
Safeena
|