Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 6:53pm |
|
|
Kali Zuban: Kia Waqi Logoon Ki Zuban Kali Ho Sakti Hai? Assalam_O_Alikum.
Aap sub kaise haein? maein kaffi dinu se aeek sawal karna chah rahe thi. wo ye ke akser logoon se suna gya hai ke fulaan bandey ki zuban kali hai.wo jo koch kehta hae waisa he hota hai. to kiya waqi mein lugoon ki zuban kali hoti hae?is kali zuban ki kiya haqeeqat hae.is ke peeche kiya raaz hae? ya pher kisi ke burrey alfaaz Allah Tala jaldee sunnta hai?
Please detial se batein ke ye kiss tarha sy hoti hae aor kinn lugoon ki hoti hae?
|
dom_man |
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1334 Age:
34
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 7:30pm |
|
|
kaali zuban be happy sahiba
Agar kali zuban ka kaha sach hota hai tau, is forum ki member "kali zuban" ka kaha sach hona tau bohat achi baat hai.
baaz batain wo kehti hain jo bahut kum laug kehtay hain,aur agar puree ho jayan tau bohat achha hai. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4664 Age:
37
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 8:12pm |
|
|
be happy i dont think ke iske piche koi haqeeqat hai,..
kabhi kabhar aisa hota hai ke koi kuch keh deta hai (jaise ke ..ye na ho jaye..ya wo na ho jaye) to jab haqeeqat me aisa ho jayen to log is weham me pad jate hain...ke falan ne us waqt ye bat kahi thi..wo bat puri ho gai hai,islye use kali zuban qarar diya jata hai,
jabke haqeeqat ye hai ke kabhi kabhar hum khud bhi ek bat sochte hain ..jaise ke agar kahin ja rahe hon aur ye sochte rahen ke mai kahin girr na jaun,,to baz dafa insan wakai giir jata hai ,to kya wo us waqt khud ko bhi kali zuban tehrayega??
ye sirf weham hote hain.ya dusron ko blame dene ke bahane...
mai nahi samajhti kissi ki zuban kali ho sakti hai,ke wo jo ghalat bat muh se nikale wo puri ho jaye.. |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 9:06pm |
|
|
Acha to kiya ise hum mehz aeek etefaq kaheyn ge?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 11:32pm |
|
|
"Kali Zuban" Ki Haqeeqat I believe k "kali zobaan" dar haqeeqat admin of the forum hi ka doosra roop hai... jo bataiN admin doc sahab apni zobaan say nahi kah saktay woh kali zobaan k mouNh say kahalwa detay hain lol
Be Happy: mazaq bar.taraf... asal maiN dil say jo baat nikalti hai, asar rakhti hai.... khaah woh baat dua par mabni ho yaa bad.dua par mabni... jiss tarah kuch logouN ki aksar o beshtar dua qabool hojati hai, issi tarah kuch logouN ki bad.dua bhi zeyadah tar qabool hojati hai...... doosray qism k logouN ko hum kahtay hain k oski to zobaan hi kaali hai... yeh by-default hota hai... issay koi opt nahi karsaktaa....
waisay hamaiN bori baat zobaan say nikaaltay howay parhaiz hi karnaa chaiyeh ... k baaz ghaRiyaaN bhi "qabooliat" wali hoti haiN... mouNh say acha nikaalo yaa boraa, qabool hojati haiN
kai zoban, kalaa jadoo ki tarah ki aisee 'haqeeqat' hai, jo shaitaani fail hai... islaam nay in say mana kia hai... yaani kala ajadoo karnay / karwanay say ... aur kalmaah.e.bad mouNh say nikaalnay say... |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 11:56pm |
|
|
Story of Kali Zubaan mera reply kisi story se chota nahi hota na is lie. to start krti hon likhna.lol
wese meri Zubaan bhi thori Kali hai.maine chahe mazaq me chahe ese chahe wese kisi ko kuch kaha to wo wesa akser ho jata hai. wese meri dua se ziyada jaldi bad-dua qubool ho jati hai.
kher kal hi ki baat hai maine apni sis k pas phone kia to batoon batoon me meri sis ne pocha k "kia Abu ab bhi ghussa karte hain? jese pehle buhot karte th.(zamin asman aik kr dete th)"
to maine kaha nahi ab to hum Abu k ghusse ko bhi taras gae hain.(he he he he).. to mera kehna tha k aaj wo din aa hi gya jis ko tras rahi thi. tab jab sab ki bolti band thi tab mojhe meri is bat pe hansi ae ja rahi thi.....k wah kia zaberdast zuban pai hai maine.
aik bar esa hoa k hum shadi ki tyari kr rahe th tab meri sis apni sari press karne lagi thi tab maine onhe kaha k ye zaror jale gi.jab k wo buhot hi ehtiyat se press kr rahi thi.to janab mera kehna tha k bas kam tamam ho gya.
|
chaman0078 |
Group: Members Joined: 26th Jan, 2009 Topic: 31 Post: 192 Age:
28
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 3:10am |
|
|
Orginal Concept of Kali Zuban Ham Kali zuban say Murad Munhosiyat laitay hain, yani k kali zuban wala jo bora kehta ha wo ho jata ha.
ye bat theek ha, lakin Kali zuban ki Term kis tarha hamray tak pohnchi ye aik bari hi interesting bat ha.
ye bat maray knowledge main by chance ayeee, Kuch arsa phely main apni aik site k liay kuch data search ker rha tha, The History of Datt, ko study kertay howay ye term maray Samanay ayee. jo bohat hi asan words main typer kiay daita hoon.
Is term ka talaq Baray-Sagheer say ha. or Datt History k writer nay likha ha k ye term aik Hindu Najomi " Sawan Kall Kali" say mansoob ha. jo us wakat k Mah-raja ka khas najomi tha. Us ki her wo bat such hoti thi , jo kisi na kisi ko nuksan daitee, ager wo kehta k wo admi 5 din k bad mer jay ga to wo such main mer jata, Lakin us k Good news kabhi sehi nieh sabet hoee.
Kali jis Raja ka Khadem tha, Us ka nam Mah-Raja Dewl Hersen dewl tha. Us ko Harish Pur k Raja "Nanagi Sing sithi " nay aik jung main Shakist di. Jang harnay k bad Dewl nay aik Book likhi, or ye ilfaz kehay jis say kali Zuban ki term niklee:
""Raja Nanagi Sing, nay kaha tha ko wo mujay hara ker maree saltanat per qabza jama lay ga. or is nay aisa hi kia. Ajj mujay wo"" Sawan Kall Kali"" yad aya, jis k Zuban kuch wakat pehly Raja nangi Sing nay bolee thi. or koi shuk nieh k Raja ki Zuban bhi Kali ha."" |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 4:42pm |
|
|
re: kali zuban ki haqeeqat Kali Zuban ki haqeeqat jo kuch bhi ho, os ki shuhrat ki wajah os ke mukhtalif topic per relevant reply aur articles on sex problems hai. agar aap ne read nahi ki hai tu aap bhi read kare. TML clipboard
|
dom_man |
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1334 Age:
34
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 4:50pm |
|
|
kali zuban LOL...great reply..hahah....you are a real champion. |
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4717 Age:
30
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 5:09pm |
|
|
kali zuban ki haqeeqat kali zuban ki yeh haqeeqat hai ke yeh aak male hain.aur mbbs doctor hain. |
dom_man |
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1334 Age:
34
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 5:23pm |
|
|
veer well dunno what he/she is.but i know one thing for sure that the man who pretends be woman online is not sure of his manliness.90% of such Pretenders are easily judged by other intelligent contributers on any forum and get their as* spanked out of the forum.But i still think that its not the person that matters its his ideas that matters most.
To all pretenders i would say;
Life is all about mind and matter; I don't mind and you don't matter. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 10:49pm |
|
|
100 batouN ki aik baat kali zuban aik haqeeqat aik fasanah lol ... as a member or kahawat aik fasanah say zeyadah kuch nahi ... lekin iss forum maiN onki conctribution aik aisee HAQEEQAT hai jiss say koi inkaar nahi karsaktaa... masha Allah sexual issues par aap kia khoob likhti / likhtay haiN... maiN nay onkay taqreeban saray article paRhay haiN aur mostly teen agers aur bewly wedded couples k liyeh bahoot soodmand haiN... |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 11:03pm |
|
|
arey arey (Kali Zuban) Aunty aap to naraz ho gaee.mainey aap ke barey meyn nahe pocha tha ke aap kon hain......bas mainey to yeh pocha hae ke jinn lugon ke burey alfaz jaldi haqeeqat me badal jate haeyn onhe lug yeh kehtey haein ke fulaan bandey ki zuban to je kali hae wo jiss ka bora soche jissey kuch ulta seedha keh dey wo pora ho jata hae.
to maeyn bas us wale zuban ka poch rahe thi....
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 11:17pm |
|
|
Be Happy aap nay post tile hi aisaa lagayaa k majbooran members ko har 2 qism ki kali zuban k baray maiN batanaa paRa. lol waisay aap ki zehanat ka bhi jawaab nahi... kuch bhi nah kahaa aur kah bhi gaye... kuch kahtay kahtay rah bhi gaye haaa haaaa |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 11:23pm |
|
|
myrizvi uncle pehli baat tou ye ke maeyn aek teeer se do shikaar karna chahti thi.LoL
dosri baat ye k acha hoa aek sath 2 batoun ka pata lag gaya.
aap pher esa kareyn is ka title khod change kar dein ya pher karwa dein. Jazak Allah
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6864 Age:
54
|
|
Posted on:18th Mar 2009, 11:43pm |
|
|
weldone Be Happy no need to change the title ...... maiN sirf fahash aur gandi words walay title hi change kia karta houN...... zoo.mani yaa aik teer say 2 shikaar walay tittle nahi haaaa haaaa |
Be Happy |
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:19th Mar 2009, 11:20pm |
|
|
myrizve uncle kai zoban, kalaa jadoo ki tarah ki aisee 'haqeeqat' hai, jo shaitaani
fail hai... islaam nay in say mana kia hai... yaani kala ajadoo karnay
/ karwanay say ... aur kalmaah.e.bad mouNh say nikaalnay say...
thanx maeyn Aapki es baat sey etfeaaq karti hon.ke hume kisi ke liye bura na-he sochna chaey na-he burey lafaaz kehney chaey.
maeyn to kali zubaan meyn aisi pari ke jiss wajah sey maeyney yeh topic start kiya tha woh bhol gae aor baqi batoun meyn par gae.
thanx to all of u
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4664 Age:
37
|
|
Posted on:20th Mar 2009, 8:04pm |
|
|
hmmm kuch years pehle ,takreeban 4 sal pehle humne ek new car li thi,jis ka ek mahine ke andar hi accident ho gaya tha..aur humne uski full insurance nahi karwai thi...aur mere husband ne mujhe bataya us accident ke bad,ke wo mere ek cousin se bat kar rahe the ghadi ke silsile me aur mere cousin ne us se kaha ,ke ap logon ne ghadi ki full insurance nahi karwayi ,agar koi accident ho gaya to bohat bada nuksan ho jayega ..aur mere husband ne unhe ye kaha ke pehle kabhi mera accident nahi hua.to ab bhi inshallah nahi hoga..unhon ne mujhe batate hue ye kaha,ke uski kali zuban hai usne ye bat kahi aur dekho humara accident ho gaya..
kehne ka matlab yehi hai ke jab kissi ki kahi bat puri ho jaye jo ke napasandida hai to use hum kali zuban ka darja de dete hain...halanke kabhi kabhi insan khud kuch soch raha hota hai ,aur agle pal wahi bat ho jati hai jo wo soch raha hota hai., issi lye kehte hain ke hamesha muh se ache ilfaaz nikalne chahyen,aur acha sochna aur bolna chahye.
mere nazdik ye sirf weham hain jin me ulajhna nahi chahye |
Najma36 |
Group: Members Joined: 20th Mar, 2009 Topic: 4 Post: 56 Age:
40
|
|
Posted on:20th Mar 2009, 9:17pm |
|
|
sunehri very well said.....yah insaan ka wahem hai,auur islami taur per bhi is ki koi hasiaat nahin hai,isay sagheera shirk kaha gaya hai.
May Allah save us from these superstitions. |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2175 Age:
35
|
|
Posted on:23rd Mar 2009, 1:51am |
|
|
ok marey khyal say kali zaban ki hi bat nahi hey ku key bhout si asie batein hoti haien jo key hum achi hoti haien or wo bhi pori ho jati haien
it's all power of spoken word
app agar achi bat kahien gey ya achi bat sochien gey tu acha ho ga
or agar buri bat kahien gey tu bura ho ga
that's why we should always watch what we say |
|