Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Membaran se mashwara about proper hijab acc. To shariah.

Religion and Culture
 
 
 
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 14  Post: 150  Age:  20  
Posted on:8th Jun 2013, 5:01am
 

Membaran se mashwara about proper hijab acc. To shariah.

Assalam o alaikum. Meri 1 dost ajkal proper hijab krna chah rahi hy according to shariah yani wo agr hijba kre gi to tamam na mahrim mardo se magar wo engaged hy or apny hony waly shohar se mbl py in contact bh or wo usse kabhi kabhi mil bhi leti hy. Wese to wo bahir jaty hue pardah krti hy mgr apny hony waly shohar k khny py he sharai pardah krna chah rahi hy mgr masla ye hy k agr usne aisa kea bh to wo apny hony waly shohar se nhi pardah kry gi. Apse mashwara ye hy k use abhi sharai pardah krna chahey ya shadi k bad??? Do reply plz..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 117  Post: 6898  Age:  54  
Posted on:8th Jun 2013, 5:20am
 

aaj aur abhi say

Walekum Assalam,

1. koi insaan jab shariyat pay chalnay ka azm karlay to ossay fauran aur ossi waqt say aghaaz kardena chaahiyeh ... apki dost ko chahiyeh k woh aj aur abhi say sharayee pardah start karday

2. aik baat osooli taur pay yaad rakhiyeh k aaj ham maiN say koi bhi 100% islamic shariyat pay mokammal amal nahi karsakta ... kisis bhi maamlay maiN... khaah hijaab ho ya namaaz, ya deger maamlaat ... lehaza jiss had tak easily woh karsakta hai, etna to woh karlay

3. yehi haal hijaab ka hai... aaj k iss ghair islamic mo'aashray main... jahaaN chaarouN taraf bay hijaabi hai... koi bhi muslimah 24 Hrs 100% hijaab k qawaaneen pay amal nahi karsakti...illa masha Allah ... lehaza apki dost ko chahaiyeh k har lehaaz say hijaab start karday ...magar jahaan kaheeN naaguzeer ho to wahaan woh relaxation lay sakti hai ... lekin dil main naa.pasand kartay howay ... jaisay honay walay husban d say kam say kam contact karay ... akelay milnay say avoid /bahanah karay... logouN k saamnay mil lay ... baat cheet main as ajnabi baat karay aur woh bhi zaroori had tak...romance etc say avoid karay.... mokhtasaran yeh k jahaan tak oskay liyeh "majboori" ho... hijba ko as minimum as possible break kartay howay dil aiN Allah say daray...insha Allah ossay ajar milega

4. yeh to koi bhi mashwarah nahi dega k hijaab shadi k baad start karay...hijaab Allah ka hukm hai, husban dka nahi... balkay husband hijaab chornay ka hukm day to bhi nahi manna chahaiyeh , magar hikmat k saath

wallaho aalam bissawab
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 14  Post: 150  Age:  20  
Posted on:8th Jun 2013, 5:28am
 

JazakAllah myrizvi sb:)

Duao main yad rkheyga
A.A.J Group: Members  Joined: 16th May, 2013  Topic: 7  Post: 39  Age:  21  
Posted on:9th Jun 2013, 3:53am
 

do not adree with point 2...

zindgi guzaar sakta hai bnda sunnat k mutaabik 100% aur guzaarnay walay be kaafi hain

hijaab aaj say ni abi say he start kr laina chahiay
aurhonay walay shohar k saath milna be jaiz ni hai phone pay baat kr saktay hain aur shohar say milna aur nkaab utaarna bilkul be theek ni....honay wala shohar hai abi hua to ni.........hmaaray haan aaj kal yai rwaaj be hai k rishta aata hai to larki ko tea bnna k laani parti hai aur larka daikhta hai ussay yai be theek ni hai.........aur jab parda kr lia to wo chahay na guzeer lgay kisi jga per be utaarna ni hai na mehram na mehram he hota hai chahay cousin ho
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 14  Post: 150  Age:  20  
Posted on:9th Jun 2013, 11:30pm
 

:/

Now confused. Double minded:) what shud i do now??
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 117  Post: 6898  Age:  54  
Posted on:9th Jun 2013, 11:39pm
 

confusion ka postmortem :)

1. do not agree with point 2...zindgi guzaar sakta hai bnda sunnat k mutaabik 100% aur guzaarnay walay be kaafi hain

Ans: agar koi aaj quran o sunnat k motaabiq 100% zindagi guzaaray to iska matlab yeh hoga k woh MASOOM minal.khataa hai, gonaahoun say yaksar paak hai. yeh hasiyat to nabi ki hoti hai, kissi ghair nabi ki nahi :)

2. hijaab aaj say ni abi say he start kr laina chahiay
Ans: agreed

3. aur honay walay shohar k saath (TANHAA) milna be jaiz ni hai phone pay baat kr saktay hain

Ans: agreed

4. aur shohar say milna aur nkaab utaarna bilkul be theek ni....honay wala shohar hai abi hua to ni.........

Ans: agar koi laRki iss waqt sire say hijaab /pardah karti hi nahi (niqaab to door ki baat hai) to woh step by step hijaab ki taraf baRh sakti hai. jab abhi tak tamaam naa.mahramouN say be.hijabanah mil rahi hai ... to 1st step maiN chand naaguzeer qareebi naa.mahramouN ko choR kar baaqi naa.mahramoun say hijaab karna start karday jo easy aur practical hai... abhi nah abaya pahanti ho, nah scorff aur nah niqaab to 1st step maiN abayaa /scorff hi start karlay... aagay Allah taufeeq day to 2nd /3rd step par bhi amal karlay.... 

jaisay aaj agar koi bay.namaazi hai aur woh kahta hai k fajir ki namaaz k liyeh meray liyeh oThna bahoot mushkil hai lehaza jab 5 times namaaz nahi paRhsakta to 3/4 waqt ki namaaz kaisay paRhouN??? yeh shaitaani waswasah hai jo bay.namaazi ko namaaz say yaksar door rakhega. durust amal yeh hai k bay.namaazi agar din maiN easily 2/3 namaaz bhi paRh sakta hai to pahlay woh start karday... insha Allah batad reej 5 times bhi paRh lega

5. hmaaray haan aaj kal yai rwaaj be hai k rishta aata hai to larki ko tea bnna k laani parti hai aur larka daikhta hai ussay yai be theek ni hai.........aur jab parda kr lia to wo chahay na guzeer lgay kisi jga per be utaarna ni hai na mehram na mehram he hota hai chahay cousin ho

Ans: Allah k Rasool saw nay nikaah say qabal aik doosray ko aik nazar dekh lenay ki ijazat di hai ...tanhaa milnay /dating ki ijazat nahi hai ... rishtah k moqah par hi nikaah ka faislah kia jata hai... laRkay walay laRki dekhnay aatay haiN... agar onkay saath larka bhi aa.jaa.ay to yeh ain islamic hai k woh with family laRki aur oskay gharany ko dekh aur onsay mil saky... sab k samnay do char zaroori baat karsakay.... jab Allah k rasool saw nay nikaah say qabal larkay laRki ko aik nazar dekhnay ki ijazat day di hai to ham kaun haiN, onhain aisa karnay say roknay walay... ab yeh laRki ki marzi hai k woh mashriqi sharm o hayaa ki wajah say tea pesh karnay k bahanay iss majlis maiN aa.ay yaa youN hi aan kar mahfil maiN baith jaa.ay... donoun maiN koi harj nahi hai

wallaho aalam bissawab



A.A.J Group: Members  Joined: 16th May, 2013  Topic: 7  Post: 39  Age:  21  
Posted on:10th Jun 2013, 1:38am
 

do not agree........

zindgi guzaari ja sakti hai 100% sunnat k mutaabik broother aur guzaarnay waalay be hain laikin ghalti to hoti hai her insaan say kion k insaan to khata ka puttla hai aur Allah ko be yai baat pasand hai insaan ki k pehlay ghalti ho jaati hai us say aur phir wo maafi maangta hai Allah say yai he baat to insaan ko ashraful mahlookaat bnaati hai
aur jab shariat k mutaabik chalna ho to phir step bay step ni sirf aik he step laina hota hai brother
baynmaazi nmaaz start krray to ussay paanchun parhni chahiain kion k paanchun farz hain yai ni k aik din aik doosray din 2 teesray din 3 is trah ni nmaaz shaitaan churvata hai laikin ager dil main Allah ka khoaf aa jay aur bnda sachi toba kr lay to phir bnday ki aankh tahajjud ki nmaaz k liay be khul jati hai aur jab parda start kr dia to ab honay walay husband say ni milna chahaiay aur na nkaab utaarna chahiay
aur meray hyaal say to islaam nay shadi say pehlay larki ko daikhnay ki ijazat ni di daikh saktay hain larki ko laikin ager wo kaheen ja rahi hai to rastay main daikh lia is trah to theek hai laikin is trah tea bnna k laana aur saamnay baithna theek ni hai
larki ka tea bna k laana aur saamnay baithna theek ni yai baat main ni keh rha yai baat aik mash hoor aalam TALIB UR REHMAAN sahab nay jumma k hutba main kahi hai
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 14  Post: 150  Age:  20  
Posted on:10th Jun 2013, 2:12am
 

A.A.J

Ap kh re hn k hony wala shohar larki kahi jaty hue dekh le.. Lakin kese dekhe kahi jaty hue jab wo larki hijab main hogi uska chehra he nhi nazar ae ga.. Ye bat apki mje smj nhi aa rhi.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 117  Post: 6898  Age:  54  
Posted on:10th Jun 2013, 2:35am
 

nikaah say qabl dekhna

kissi aurat ko nikaah ka paigham dena ho to issay aik nazar dekh lena gonaah nahi hai (Masnad Ahmed, sunan Ibn majah)


A.A.J Group: Members  Joined: 16th May, 2013  Topic: 7  Post: 39  Age:  21  
Posted on:10th Jun 2013, 3:03am
 

read it

myrizvi aik nazar daikhna gunaah ni hai
laikin ap to keh rhay hain k honay waalay shohar k saamnay na guzeer lgay to nkaab utaar lain aur step by step challain
in ka honay waala shohar to kaheen baar daikh chukka hai
aur hazrat UMAR R.A ka fermaan hai jis ka mafhoom hai k mard ki aik nazar ager larki pay parti hai to doosri baar ager phir wo larki ko daikhay ga to pahli nazar to us ki ho ge laikin doosri nazar shaitaan ki ho ge
aur mera ni khyaal k ghar waalay in ko ijazat daitay hon gay larkay say milnay ki....

A.A.J Group: Members  Joined: 16th May, 2013  Topic: 7  Post: 39  Age:  21  
Posted on:10th Jun 2013, 3:05am
 

bint hawa

ap ki 4nd k husband nay ussay daikh lia hai ussay pasand aa gae hai larki to bs theek hai na wo baar baar kion daikhna chahta hai shaadi k baad daikh lay ga je bhar k
A.A.J Group: Members  Joined: 16th May, 2013  Topic: 7  Post: 39  Age:  21  
Posted on:10th Jun 2013, 3:06am
 

myrizvi

brother medical discussion main aik topic hai is it possible us ka answer day dain please......
fahad hussain khan Group: Members  Joined: 26th Apr, 2012  Topic: 7  Post: 927  Age:  24  
Posted on:10th Jun 2013, 4:32am
 

Jazak ALLAH

Bint e hawa..........rizwi bhai k rep k bad koi kumi nh hore asnr dene k....wo koi angle kch nh chortr....pore bat hi clear kr dete hain......
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 14  Post: 150  Age:  20  
Posted on:11th Jun 2013, 3:55pm
 

A.A.J n myrizvi sb

thanks for ur kind responce. ALLAH hm sb ko pardah krny ki toufeeq de. aameen.
A.A.J Group: Members  Joined: 16th May, 2013  Topic: 7  Post: 39  Age:  21  
Posted on:11th Jun 2013, 11:14pm
 

welcome......bint hawa

welcome

1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013