Divorce Due To 2nd Marriage Of Husband: Is It A Right Decision
hamare forum ki aik member reeba ki dukh bhari kahani -- mera tamam membran se request hai keh thande dil se ghair jazbati ho kar jawab de keh reeba ka yeh faisla sahi hai ya nahi. aurat ke andar yeh khoobi hai keh woh shohar ke beghair barso zindagi guzar deti hai, jaisa keh pakistan ki lakho aurta jin ke husband barso se mulk se bahir ya city se bahir hai, kuch log sal mai aik mahina ke liye, kuch do sal mai aur kuch tu 5 sal se bhi oopar ho gaye hai lekin ghar nahi aaye. lekin reeba alaihda hone ka soch rahi hai. mera zati khial hai keh areeba apne shohar ke beghair bhi zindagi guzar sakti hai, lekin woh iss liye alaihda hona chahti hai keh on ke shohar ki doosri bivi on se bardasht nahi ho rahi hai. aur woh apne husband ko share nahi kar pa rahi hai. doosri taraf os ka shohar bhi areeba ke saath insaaf nahi kar paraha hai. mera tu zati khial hai keh agar tu areeba ko koi aur munasib shohar mil jaye jo ke namumkin tu nahi lekin kuch mushkil zaroor hai, tab tu alaihdgi ka faida hai. warna mera zati khial hai keh woh shohar ke beghair zaroor zindagi guzar de lekin divorce na le. agar bap ma alag alag ghar mai rah rahe ho tu yeh bachcho par otna bura asar nahi karta jetna ke divorce lene ke baad ho ta hai. aur agar ma doosri shaadi kar le tu bachche ka tu bera hi gharq ho jaata hai. lehaza mera zati khial hai keh reeba apne shohar ki ziadti par sabar kar le, aur tasawar kar le ke os ka shohar ghar se door hai jo kai barso ke baad aaye ga. iss tarah bacho ko nafsiati jhatka nahi lage ga keh os ke ma bap divorced hai. divorce na hone ki soorat mai, mai yaqeen se kahta hoon keh 5-10 years ke baad sab aik ho jaate hai aur sab aik doosre ko maaf bhi kar dete hai. aisi soorat mai bachcho ko ma aur baap dono ka piar milta hai, warna abhi ma baap dono ki khahish ho gi keh bachche onhai favour kare jab keh mera zati mashwarah hai keh bachcho ke dil mai ma aur bap dono ki mohabbat rahni chahiye. mera post lamba ho gia, lekin kia karoo, mujhe aisa lag raha hai keh yeh aik emergency masla hai jis par jald se jald discussion honi chahiye.
|