Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Love Issue: We Belongs To Different Religions

Non Medical Discussion   >>  Society and Culture
 
 
 
hussain ja Group: Members  Joined: 06th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 222  Age:  26  
Posted on:9th Dec 2007, 8:57am
 

Love Issue: We Belongs To Different Religions

hi freinds,may aj ap ko apni kahani sunata houn,mera naam ahmad hussain hai or may ek larki say phayre karta houn,problem ye hai ki hum donoun k religion diferent hai mujy tu samaj nahi araha ki kia karoun hum dounoun ek dousry say boht phaye karty hai,hum roz phone pay bath karty hai,asal may khani kuch yu hai ki,,,sorry kal sunao ga,is waqt academy jana hai soory bye
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  24  
Posted on:9th Dec 2007, 12:02pm
 

RE:-hussain

SALLAM TO ALL FRIENDS

Bhayee jinti kai mairi sooch hai agar jis larki sai app pyaar kartain hain to pehlai app maa baap ki raza daikoo.Agar wo app kai is pyaar sai razi tai to app shadi kar saktai hoo lakin aik shart hai kai app ko usai apnai deen ki taraf lana hoga.Is kaaam main app kai liyai bara sawaab bi hai aur app ki khushqismati bi hogi kai app ko app ka chahnai wala mil gaya...

NOTE:=sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

Aag Group: Moderators  Joined: 21st Nov, 2007  Topic: 22  Post: 1130  Age:  34  
Posted on:9th Dec 2007, 1:42pm
 

must be muslim

Hussain apka parents apki bat manai yah na mainai , woh us larki ko pasand karain yah na karain magar apka liya yah zarori hai ka ap sab sai pahla us larki ko muslim karin, ISLAM mai muslim men or women non- muslim sai shadi nahi kar saktai.

Meri advice yahi hai ka pahla ap us larki ko convert karain uska baad ap apna love relationship again bharaiii.

Agar meri koi bat ghalat ho to please esko sahi kardain. thanks and regards.

Hangama Group: Members  Joined: 02nd Dec, 2007  Topic: 39  Post: 1296  Age:  37  
Posted on:9th Dec 2007, 2:53pm
 

Re:Agreed

I agreed with AAG. U must convert her to muslim first.
who Group: Members  Joined: 30th Nov, 2007  Topic: 3  Post: 26  Age:  23  
Posted on:10th Dec 2007, 12:43am
 

Hmm....

Assalam-o-Alaikum.

Hussain... first of all i would like to wish you best of luck... secondly... it's right that you should ask her to convert... if she really loves you she will... maybe she asks you the same thing to do... she will say if you love her then convert to her religion... now it's your wish which one to choose... Remmember! don't change your religion for a girl only... if she is a non-muslim don't think about her untill she converts... if she is a muslim but different sect then first learn about both your and hers religion and choose which you find the best... i mean changing the religion is not a child's play... no one does it so easily... so it may take a long time... you've got only one choice... tell her about your religion and prove to her that you are right and she must convert... and i've a question here to other forum members... i've heard that a muslim male can marry with a non-mulsim girl... if she belongs to a "Ahl-e-Kitab" religion... means christian or jew... and if i'm not wrong i've read somewhere that don't give out your girls to non-muslims... but take there girls... cuz the females get influenced easily with their males... (forgive me if i am wrong somewhere)

Take care, Allah hafiz...

knawara Group: Members  Joined: 29th Jul, 2007  Topic: 1  Post: 25  Age:  38  
Blocked
Posted on:10th Dec 2007, 12:48am
 

Not to be a Muslim

It is Wrong concept that girl should be Muslim, NO in Islam  Ihleey Kitaab say shadi jaaiz hai.. simple.. and Ihleey Kitaab main .. Christian,, Jew.. and muslims atay hain .. so u can do it with Ihleey Kitaab. . .

 

Rizwan++ Group: Members  Joined: 15th Nov, 2007  Topic: 12  Post: 243  Age:  25  
Posted on:10th Dec 2007, 2:48am
 

knawara ne sahi kaha

knawara bhai ne sahi kaha kai Ihleey Kitaab se shaadi karna jaiz hai.Ihleey Kitaab wo hote hain jin ko Quran ke ilawa 3 kitabain milin.jahan tak mera knowledge hai muslims ihleey kitab nahin bulkay ihlay Quran hain.

Soory ager main ne ghalt kaha to... 

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:11th Dec 2007, 1:13am
 

story?

pehle apni story sunayiye ji.............
doctorpk Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 25  Post: 593  Age:  41  
Posted on:11th Dec 2007, 9:37am
 

hussain ja: don't start new thread on same topic

You have started a new thread on this topic. thread was deleted by us. You are requested not to start new thread on same topic again and again.

Your new post was as follows:
ap sub ka sukriya ki ap nay mashwara diya,likin freinds ap meri bath ko nahi samjy,may ye bata doun ki wo b muslim hai or hum dounoun muslim hai,ap meri bath ko samaj rahy hai na,wo b musllim and may b muslim ,problem hai(suni ,shia) ab may ye na batoan tu hi acha hai ki hum may say kon shia or suni hai,kher wo tu keh rahay hai ki may religion change karloun laikin duniya may koi aisa hoga jis nay aisa kia hoga,

ap nay zaroor suna hoga ki mazhab(religion )pay jan b qurban kia jasakta hai tu may kaisy religion change karsakta houn,or may ye b bata doun ki mera asal belong hai goun(village ) say or ap sub ko tu pata hoga ki goun waly mazhab(religion) k mamaly may kitny sakht hoty hai,may nay un k ghar waloun say kaha b tha ki hum shadi karlian gay or meri taraf say koi zabardasti nahi hai ki wo hath band k nimaz pady ya hath khol kay laikin un k ghar waly tu khehty hai ager shadi karni hai tu religion change karna pady ga,

or ye bath jab may nay ghar waloun ko batie tu kheny lagy ki us ko change karni cheye ager nahi karsakti hai tu ap b nahi karlaye na or shadi b nahi hogi,or ye kaha ki ager  tum nay mazhab change karli tu tum hamary nahi huwi or ghar kabi math na ana .jaha jana chasty ho chaly jana,mari tu nahi samaj nahi araha ki may kia karoun,wo larki( my lover) b kehty hai ki hum dounoun  mazhab nahi change kasakty laikin hum shadi karlaingay per klaisy mujyn nahi samaj arahi.

pz i neeed ur openioin ,what can i do ,ek or bath k wo kehti hai ki  hum court marriege karlaygay,or may b karna chasta houn laikin sochta houn ki us k bad kia hoga,ager may nay aisa kia tu mujy 100% sure hai ki mery ghar waly mujy jan say mar dain gay,so plz what can i do?
pinky7861 Group: Members  Joined: 06th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:11th Dec 2007, 10:23am
 

re

   Yah aap nay shia aur sunni ko 2 religion main kaisay taqseem ker dia hay.  Islam main koi firqa bandi nahi hay yah sab ham nay hood decide kia hay.  It is right kay there are different schools of thought in islam, lakin iss ka matlab yah tu nahi hay kay ham nay islam ko different parts main taqseem ker dia hay.  Is ka matlab bas yah hay kay her immam ki apni interpretaion hay aur bas.

    App kay liay sab say acha yah hay kay jo parents kahtay hain wo kerain chahay aap ko galat hi lagay kayounkay hamaray culture main shadi 2 families ki  hoti hay sirf lerka aur lerki ki nahi.  . 

  court marriage ka mashwera main aap ko nahi doon gi kayounkay yah intihai namunasib faisla hay.  Maan baap jo apni sari umer bachoun per lutta daitay hain un ko naraz kernay say allah naraz hi ho ga hoosh nahi.  Un ki jo bhi soch hay galat hay ya theek, lakin ager wo iss baat per razi nahi kay aap uss lerki say shadi kerain tu un ki baat maan lain.  Lakin main aap ko yah mashwera nahi doon gi kay uss lerki ko force kerain kay wo apni thniking aap kay liay change keray.  Wo muslim hay aur ussay poora haq hay kay wo jis tara chahay islam ki practice keray aap yah koi alim bhi ussay uss kay rastay say mana nahi ker sakta unless kay wo koi galti ker rahi hay.

    Sab say achha tareeqa hay istikhara kerain.  Aur allah say dua kerain kay ager yah shadi theek rahay gi mushkilat kay bagair tu aap kay liay rasta assan ker day aur ager nahi tu aap ko saber day.  Yaqeen kerain kay aap ka masla hall ho jay ga inshallah. 

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:12th Dec 2007, 2:42am
 

my suggestion

ap aisa kereyn k sub se pehle to ap Istakhara kerwayen kisi achey aalim se...aur sirf ek bar nahi...2-3 bar kerwyaen aur alag alag logon se kerwayen...sirf ek admi se na kerwayen...dekheyn k Istakharey mein kia ata hai...

agar to sahi nahi nikalta hai...to phr to saaf bat hai k Allah bi ap k rishtey se raazi nahi hai...phir to ap ko usey bilkul bhoolna ho ga...bcoz yahi ap k lie behter ho ga

agar bilkul sahi nikalta hai...to phir bi ap court marriage bilkul na kijiye ga, us k liye behter hai k ap apne ghar walon ko samjhayen aur wo larki apne ghar walon ko....us k bad agar ap dono k parents man jayen to khushi khushi shadi ker lijiye ga,....aur agar wo nai mantay, to phir ap shadi na keryn aur larki ko bhool jayen...bcoz parents ko naraz kerney se Allah naraz hota hai aur unhen dukh dey ker ap kabhi us larki k sath khush nai reh payen gey....

hussain ja Group: Members  Joined: 06th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 222  Age:  26  
Posted on:12th Dec 2007, 6:30am
 

thanks

ap sub ka thanks ,laikin may pinky ko ye bata doun ki may nay shia suni ko taqseen nahi kia,or na hi aisa kabi socha tha,mujy sub kuch pata tha us larki k bary may,mujy pata tha ki she belongs 2 a differnt reliogion liakin mujy nahi maloom tha ki bad may ye sub kuch hoga,ager shai suni ko taqseen karta tu may us say phayre na karta,hum dounoun ko pata tha ki we hv differnt religion,laikin humy ye bilkul b nahi pata tha ki hamary ghar waly humy religion change karny per majboor karien gay,or jaha tak estikhara ki bath hai tu may nay ye b kar kay dekha hai is may kuch ulaat hi ata hai,2 3 say estikhara karwaian tu shadi hamary liye sahi nahi thi laikin phir may nay or karwaya us may sahi thi,or jaha thak ghar waloun ki bath hia ki mam bap k raazi honi ki tu mujy nahi lagta ki wo kabi raazi hongay,chahe estkhara hamary fever may hi kiyon na ho.
pinky7861 Group: Members  Joined: 06th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:12th Dec 2007, 9:05am
 

re

   Ager aap ko mairi baat samaj na annay ki waja say bura lagga to I appologize for that.   Maira kahnay ka matlab yah hay kay SHIA aur SUNNI 2 alahda alahda RELIGIONS nahi hain Aik hi religion kay 2 different interpretations kay naam hain.  Iss liay in ko different religion na kahin kayounkay is tara to aap aik hisay ko islam say baher ker rahay hain.

 

    Doosra istikhara kay baray main aap ko thori galat-fahmi hay.  Istikhara ka matlab yah hota hay kay aap nay allah say aik baat poochi hay.  Ab ager allah kay nazdeek wo baat aap kay liay theek hay to hood-bahood aap kay liay rastay khul jatay hain, matlab ager parents pahlay nahi mantay thay ya aur rokawatain theen to aisay sab kuch change ho ker aap kay haq main ho jata hay kay aap hood hairan rah jatay hain.

   ager allah ko patta hay kay wo baat aap kay liay bahter nahi hay tu aap kay rastay main ziada rokawatain aa jati hain aur ziada maslay paida ho jatay hain, jin ka matlab hota hay kay aap iss kaam ka picha choar dain. 

   Jahan tak parents ka taluq hay aik baat aap ankhain band ker kay yaqeen ker lain kay wo jo bhi kahtay hain ager islam kay hilaf na ho to un ki baat mann laini chahyay.  MAira experience hay kay HAMAISHA, aur I mean it kay HAMAISHA hi allah uss ko aap kay liay bahteri main badal daita hay.  Main nay apni zindgi main jab kabhi bhi parents ki baat jhutlai hay hamaisha hi nuqsan uthaya hay.  aur un ki razamandi say main hamisha kamyab hoti hoon.

   May allah guide u in the right direction

 

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:12th Dec 2007, 10:02am
 

@pinky7861

main yahan pe koi fatwa nahi quote karoon ga laikin jahan tak main ne dekha hae shia aor sunni ka aqeeda aor mazhab totaly diffrent hae aor in main se eik completly ghalt aor gumrah hae lehaza ye kehna ke koi firqa bandi nahi aor bas sirf imam ke tareeqay ka farq hae aisa har giz nahi hae , ye haqeeqat se aankh churanay ke mutradif hae, koi eik aqeeda bhi aisa nahi hae jis pe sunni aor shia ka ittefaq ho, Toheed, Nabuwat, khatm-e-nabuwat, quran, hadeeth, Sahabah Karam, Ahl-e-bait, har cheez pe shia ka sunni se alag aqeeda hae , eik Muslim Sahabah karam ki izzat karta ho, Allah ke Akhri Rasool (peace be upon him) ki wives ko apni maan (mother) samjhta ho jab ke doosra "muslim" in ko ghaleez tareen galian deta ho to kya ye sirf imam ke tareeqay ka ikhtilaf hae???? eik muslim Quran ko akhri kitab aor sachi kitab manta ho jab ke doosra "muslim" ye kehta ho ke asali quran kisi aor ke paas hae aor jab tak woh nahi aa jata ham ye ghalt quran parrhanay pe majboor hain , to ye sirf eik chota sa ikhtilaf hae????us Allah ki qasam jis ne Hazrat Muhammad (peace be upon him) ko akhari rasool bana ke bejha jo bhi Allah ke Rasool (peace be upon him)  aor Sahabah Karam ke raste aor tareeqe se hat  ke koi aor rasta apnai ga woh gumrahi ke raste pe chale ga.. us ka rasta Islam ke raste se hat ke he ho ga aap be shak is ko firqa bandi kehti rahain....... Sahabah Karam ne apni olad , maal , jaan ,watan sab kuch Allah ki rah main qurban kar diya ..aaj un Sahabah karam ko kafir kaha jata hae .. aisa zulm karne wala aor aisa bakwas karne wala Muslim kehlai jane ka qabil hae ???? aap khud socho ?????????main kahoon ke Sahabah mere Imam aor rehber hain woh kahe ke Sahabah Karam to kafir thay .. to kya hum dono eik jaise muslim hain???? faisla aap pe chorrta hoon .......

pinky7861 Group: Members  Joined: 06th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:12th Dec 2007, 10:22am
 

re ch baber

      App ka concern apni jagga theek hay lakin aap bhi nahi samaj rahay kay main kia kahna chah rahi hoon.

     Baat yah hay kay Nabii Karim kay janay kay baad different immams nay apni apni ahliyat kay mutabik hadeesoun ka majmooua ikhata kia takay annay wali naslain un ka faida utha sakain.  Ok ab her immam nay apni original kitaboun main jo interpretations ki hain un main aisi baat kahin bhi nahi hay jo aap yahan bayan ker rahay hain.  Nauz-billah kisi nay hazoor ya suhaba kay hilaf koi ghtya baat nahi ki thi.  tu yah baat taay ho gai kay un sab ka maqsad apnay apnay andaz say islam ko theek tareeqa say ham jaisay lougoun kay samnay paish kerna tha ok.

    NOw....yah ham hain kay un sab batoun ko kia samajtay hain, aur kaisay doosroun ko treat kertay hain.  Main na tu shia hoon na hi sunni na wahabi.  Maira aqeeda yah hay kay sab immam ki baat perho aur jo bhi dil ko laggay kay thhek hay tu ss per ammal ker lo larai hatam.

     Yah sab jahil loag hain jin ki waja say yah shia sunni ki larai shuru hoti hay.  main nay bohat say sunni aur shia aisay daihkay hain jo bilkul theek chaltay hain balkay aapas main bohat dosti bhi rakhtay hain kayounkay wo religion ko issue nahi banatay.  aur bohat say aisay hain jo kay itni ajeeb herkatin kertay hain kay yaqeen nahi aata.  Main nay kai sunni bhi aisay daikhain hain jin kay gher iss baat per larai hoti hay kay jo nai bahoo lay ker aay hain wo sunni tu hay lakin namaz bilkul un ki tara nahi perti, ya daswain chaleeswain per nahi jati wagaira.  Halankay, inn sab traditons ka islam say koi taluq nahi hay.  lakin aisa hota hay.

   Baat sirf itni si hay kay allah aur allah kay nabbi ya kisi immam nay aapas main lernay ko nahi kaha.  balkay HAQOOQ_UL_IBBAD per issi liay itna zore dia gaya hay kay ham doosroun kay mamlaat main tang arranay say pahlay kai baar sochain kay ham kia ker rahay hain.  her insan ko apnay aqeeday kay sath jeenay ka haq hay.  Uss ko allah ko jwab dainay dain, main ya aap ya aur koi kayoun kisi say jwab mangta hay?????kia hayal hay??

 

   

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:12th Dec 2007, 10:52am
 

Sunni Shia: totally different!

zabardast ch babar, mai apsay itefak karta hon or apnay pinky ko bohat acha jawab dia hai, mai jahan tak pinky ko samajh saka hon ye apnay matlab ka masla kisi bi firkay say nikal kar satisfy ho jati hain. kabi sunni logo ka kabi wahbi logo ka or kia pata shia logo ko bi follow karti hon. aaj shia logo k baray mai inkay khayalat jaan kar mai mohtaat ho gaya hon (pinky jee plz dont mind)

Hussain aik to mai ye kehna chahta hon k sahi lafz baat hota hai bath nai hota , so plz dont write bath again n agian.

dosri baat ye k shia or sunni mai bohat ziada difference hai, even shia hazraat Muhammad (SAW) ko utni importance nai detay jitni k sunni hazraat daitay hain,, insan k musalmaan honay ki shart hai k kalima parhna parta hai,, jabkay shia or sunni hazraat k kalima mai bi thora sa difference hai , shia logo nay apnay pas say ya jaisay bi, par unho nay pehlay kalimay mai kuch words add kar liye hain. In short sunni or shia mai bohat ziada fark hai.

teesri baat ye k religion comes first, muje nai pata ap shia ho ya sunni ho, agar tum sunni ho to us larki ko convince karnay ki koshish karo, usay achi batain batao or is say pehlay tum khud islam ko study karo, study karnay k baad us larki ko guide karo, wo tumhari zindagi mai bohat important insan hai, yakeenan tum aisa nai chaho gay k wo ignorance ki waja say jahannum mai chali jaey, is liye usay guide karo or usay sahi rasta dikhao. jab wo sunni ho jaey or sahi kalima parh lay to phir hi us say shadi karna , warna na karo to behtar hai  (bachon ki tarbiat mai unki maa ka ziada kirdaar hota hai, ho sakta hai ye larki tumharay bacho ko bi shia bana day)

agar tum shia ho to muje umeed hai k tum sunni larki ko shia nahi kar sako gay or ye khayal apnay dil say nikal do to acha hai. or us larki ko bhool jao. na usay pareshan karo or na khud pareshan ho.

tumharay naam say yehi lagta hai k tum shia ho, to meri request hai k ya to larki ka pechha chhor do ya phir sachay dil say sunni ho jao.
(waisay mai personally shia firka ko galat samajhta hon)

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:12th Dec 2007, 11:07pm
 

Shia Sunni!

tamam members Pinky say hoshyar rahain, Pinky said "Main na tu shia hoon na hi sunni na wahabi.  Maira aqeeda yah hay kay sab immam ki baat perho aur jo bhi dil ko laggay kay thhek hay tu ss per ammal ker lo"
ho sakta hai kabi ye koi aisa masla batain jo sunni muslims k liye theek na ho lekin shia logo k hisab say theek ho. is liye tamam members ko mera mashwara hai k insay thora careful ho jain.

Pinky as u said "main nay bohat say sunni aur shia aisay daihkay hain jo bilkul theek chaltay hain balkay aapas main bohat dosti bhi rakhtay hain kayounkay wo religion ko issue nahi banatay."
to apko kon keh raha hai k sunni logo ko shia ka sir phar dena chahiye ya unko goli mar deni chahiye ?? manay bi bohat log dekhay hain jo kafir logo k sath bi baray achay tareekay say chalay hain, chalnay ka matlab ye nahi k kisi kafir say shadi hi kar li jaey. or apni naslon ko kafir bananay ka beej bo dia jaey.

as pinky said "wo religion ko issue nahi banatay"
jis banday nay relgion ko importance na di wo kia insan hai. religion comes first. dost kehta hai zana karo, religion kehta hia zana karo gay to jahannum mai jaogay,, jis insan nay religion ko preference di wo kamyab hai or jo insan religion ko issue nahi banaey ga uska thikana pata nai kaha ho ga.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4664  Age:  37  
Posted on:12th Dec 2007, 11:52pm
 

@i think

maine ab sabki podt nahi parhi,lekin i also think the main point is islam.shia bhi muslim hain sunni bhi muslim hain....jo in me choti mote differents hain, wo itne improtant nahi hain ke shia ko suni se shadi ke lye apna mazhab change karna pade..

mazhab sab ka ek hi hai,aur jab har ehl-e-kitab se shadi ki ijazat hai,to suni shia both are muslim,ye koi itna bada problem nahi hai. 

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:13th Dec 2007, 12:52am
 

Imam ka farq

Please eik baat achi tarah samjh lain jin imam sahibaan ne Hadeeth ka majmooa akatha kia hae woh aor hain aor shia ke imam aor hain (Imam Bukhari, Imam Abu Hanifa, Imam Malik, Imam Shafi, Imam Ahmed) ye hazrat apne ilam aor taqwa ki waja se imam kehlai jate hain , imamat in pe nazil nahi hoi .... jab ke Shia ka aqeeda imamat aor cheez hae wahan nabuwat ke baad khialafat nahi hae imamat hae aor imam nabi ka naib hae aor imamat ka aqeeda shia mazhab ki bunyad hae imamat ka aqeeda khialafat ka inkar hae , khatm-e-nabuwat ka inkar hae , hazrat Abu Bakar, Hazrat Umer, Hazrat Usman ki sahabiat ka inkar hae ...aap ki nazar main ye mamooli sa ikhtila ho ga laikin 1400 saal se ulema ne aisa aqeeda rakhne wale ko kafir he kaha hae , main ne jo likha tha ke ye log Sahabah Karam (Allah un se razi ho) ko galian dete hian to ye aaj se nahi hae jab se ye mazhab wajood main aaya hae tab se ye silsila jari hae agar muje ijazat ho to main yahan books aor writers quote kar sakta hoon aor shia log jante hain ke ye sab kuch likhne waloon ka un ke haan kya maqam hae ziada arsa nahi howa Iran main bhi in ka eik imam paida howa tha aor poori dunya ke shia ne us ko apna imam mana us ne jo kuch apni books main likha hae us ke baad bhi in ke kufr main shak hae???? ye alag baat hae ke Hazrat Ali aor un ki olad main se jin ko shia hazrat ne imamat ke mansab pe faiz kia un ka is se koi taulaq nahi tha aor na woh aisa aqeeda rakhte thay woh sab hazrat Sunni thay ... Allah kare meri baat aap ki samjha main aa jai

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:13th Dec 2007, 4:54am
 

main yahi kahun ga

bus main yahi kahun ga

k ap ne 2-3 jaga se istakhara kerwaya hai...aur wo sahi nai nikla

it means ap ko ye shadi nai kerni chahiye

plz bhool jaiye us larki ko aur ap k parents jesa kahen wesa hi kijiye

1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013