Article: Masturbation Is Not Harmful
Assalamualaikum Doston jab sai mai na yah forum join kara hai mai dekh raha hon ka har koi masturbation ki hi bat kar raha hai. koi pareshan hai, to koi time increase karna chata hai to kisi ko koi masla hai to kisi ko koi. Lihaza maina socha ka kiyu na Prof. Arshad Javed ki book ko read kara jai. Ab jo kuch maina masturbation sai related phara woh mai aik article ki sorat mai yaha pa likh raha hon. Waisa to book mai bohot kuch hai magar mai jitna phar saka utna likh raha hon. Ap sab es post ko pher ka apna apna comments zaror dejiyaga. Masturbation nuksan dai nahi: Haqeqat yah hai ka masturbation ka kisi bhi tarhan koi bura asrat nahi hain. Yani yah amal fard ki zahni, jismani aur jinsi sahat ka liya har giz har giz nuqsan dai nahi hai. Agar masturbation waqai nuqsandai hoti to aksar logo ka haton mai bal hotai, sir ganja hotai, face danoo sai bhara howa hota. Aksar ko mirgi ka dorai partai aur pagal hojatai. Aosatan age kam hoti joka ab 32 sai barh kar 56 year hochuki hai. Penis ki laghri aur kiji ki wajha sai aksar mardon ki biwiyan bhag gai hotin. Charo taraf nazar dorai kiya waqai aisa hai. Zahir hai ka aisa nahi. Baz log kahtain hai ka aik haad taq to masturbation ka koi nuqsan nahi magar yah had sai zada hojai to phir nuksan dai hai. Yah aik aur dhoka, faraib aur jhoot hai. Kiya zada bolna sai insane kamzor hojata hai yah jo shaks kam bolta hai yah khamush rahta hai who zada taqatwar hota hai. Pahli bat to yah hai ka had ka kiya miyar hai. Har insane ki had dosray sai mukhtalif hai. Aik insane ki had week mai aik bar hai jabka dosra ki had din mai aik bar hai. Taham aik din mai 7/8 bar karna bhi had sai guzarna aur ziyati nahi hai. Haqeqat yah hai ka koi bhi insane fitri tor per had say ziyada masturbation nahi kar sakta. Kiyu ka agar woh had sai zada karayga to semen khatam hojaigi, penis per warm ajaiga. Veins mai pain honai lagaiga, penis sai semen ka bajai blood anai lagaiga aur infection ki wajha sai penis mai pain honai lagaiga. Aisa to sayad hi kisi ka sath howa ho. Dilchasp bat yah hai ka aisi sorat mai chand din masturbation chorna say har chez narmal hojati hai aur koi mustaqil kharabi paida nahi hoti, yah fitrat ka self healing system hai. Means kisi elaj ki zarorat nahi. Albata ziyada masturbation aur compulsive masturbation mai difference hai. Compulsive masturbation mai insane baghair kisi khwaish aur zarorat ka masturbation karta hai jis tarhan baz log bar bar hath dhotay hain. Es sorat mai yah aik nafsiyati bemari hai jis ko OCD kaha jata hai. Es ka liya kisi nafsiyat sa elaj karaya jai. Taham kuch log masturbation ka bad kamzori mahsos kartay hai. Es ki bari wajha expectation hai jis ka zikar ham kar chukai hain ka ham jaisa sochtai hain waisa hi hojata hai. Dosra insane masturbation ki wajha sai shaded ahsas gunnah mahsos karta hai jis ki wajha sai who shaded depression aur worry ka shekar hojata hai. Depression mai insane shaded udasi aur afsurdigy mahsos karta hai. Es ka kisi kam mai dil nahi lagta. Tawaja muntashir hojati hai. Chirchira pan paida hojata hai. Jinsi khuwaish khatam hojati hai aur insane ki bhook aur neend bhi khatam hojati hai aur kamzor hona lagta hai. Es ka weight kam hojata hai. Ab insane ko yaqeen hojata hai ka who waqai masturbation ki wajha sai na sirf bemar aur kamzor hogaya hai balka jinsi tor per bhi khatam hogaya hai. Halanka e ski bari wajha expectation aur dusri wajha depression hai na ka masturbation. Kamzori ki aik wajha yah bhi hoti hai ka masturbation ka baad insane bohot zada relax hojata hai jissay who kamzoori samajh laita hai. Halanka yah sirf relaxation hoti hai na ka kamzori. Aisay nojoawan jab kisi 100 sala saniyasi babai ka hatay char jata hain to yah in ko yah bata kar ka who jinsi tor per khatam ho chukay hain es qadar khauf zird kardaitain hain ka yah nojawan ghurbat ka bawajood elaj per hazaron Rs kharch kardaita hai. Yah bangali babai en nojawano ko kashtay waghaira daitain hain jo aksar muzir hotai hain. Meray aisay aik client ko kishta diya gaya jis sai uska gurdai nakara hogai. Sarkari hospitals mai gurday ka ward mai aksar patient esi tarhan ka hotain hain. Ref: Sex Education For All By Prof. Arshad Javed; Page No: 48 your comments required members.
|