Impotence and Erectile Failure Impotence and Erectile Failure
What is impotence?
Impotence erection achieve kernay me failure hai,aisi condition jis ko zyada men face kertay han.un potential problems ko diagnose kernay ke liay jin ki wajja se ye problem hotti hai,ye useful ho ga ke describe kerain erection hasil kernay ke liay kon si condition hooni chahiay.erection hasil kernay ke liay first component normal,inact male sexual organ hai.secondly circulating hormones ki normal amount.thirdly man ka intact nerve supply aur blood flow male sexual organ me.finally normal erection ke liay arousing stimuli ke liay healthy psychological response aur relaxed mind.in me se aik ya zyada components ka failure erectile failure cause kerta hai,laikin zyada common cause psychological hai.impotence aam torr per curable hai-right treatment ke liay aik sex therapist se consult kerain.
What causes erectile faliure?
Psychological causes
Psychological disorders ke liay psychological causes ko often mistaken kiya jaata hai.erectile failure ke zyada likely causes mental aur emotional problems han.in me sub se common performance anxiety hai.jab erection achieve kernay me man pressured ho tu wo commonly sexually demanding situation me anxious aur nervous ho jaata hai.anxiety erection achieve kernay me conflict kerti hai aur phir failure hotta hai jis se aur bhi nxiety hotti hai.ager aap ki se problem phir bhi dour nahi ho rahi tu kisi sex therapist se help lain aur es reversible problem ko overcome kerna siekhain.physician se referral ka poochain.
Neurological disorders
Koi neurological disorder jo nerve supply se interrupt keray.erectile tissues ki nerve supply erectile failure cause kerta hai.kuch thori si hi nerves han jo erection cause kerti han aur es liay ye predict kerna difficult hai ke kis tara kuch nerves me damage erectile failure ko effect keray ga.
Blood Flow
Ager genitals me bloo flow na ho,dair se ho yak am ho tu erectile failure hotta hai.vascular disease pelvis ya penis me arteries kiblockage ya constriction cause kerti hai.blood jo normally penis me rush kerta hai stop ho jaata hai.vascular disease veins aur arteries me leak bhi cause kerti hai aur es se bhi erectile failure ho sakta hai.
Peyronie's disease
Peyronie's disease aik fibrous scarring hai jo ke inflammatory process se develop hotta hai.es process ki cause abhi tak understood nahi hai.jab erection hotti hai tu penis ki bending hotti hai jo often painul bhi hai.ye ejaculation me bhi interfere kerta hai aur kabhi kabhi erectile capacity me bhi.effective treatment available hai ager bendning aik side per ho tu.es ko Nesbit's operation kahtay han.apnay physician se consult kerain ke Nesbit's operation aap ke liay effective hai bhi ke nahi.
Priapism
Priapism aik condition hai jis me man permanent erection develop kerta hai.es condition ke sub causes abhi tak ilm me nahi han,jab ke kuch potential causes me blood thieckining aur aisi medication ka use hai jo erection cause kerti han. Priapism aik uncomfortable aur kabhi kabhi painful condition hai,kabhi kabhi painful condition jis ke liay surgery ki zuroorat hotti hai.ager aap ki erection unusual time ke liay ho tu nearst hospital me directly emergency department me jayain.although ye embarrassing ho ga laikin zyada wait kernay se permanent damage ho sakta hai.
Hormonal Deficiency
Hormonal deficiency erectile failure ki aik aur potential cause hai.younger man me e ski cause physical se zyada psychological hai jis ki wajja se endrogen produce nahi hotta.later life me pituitary gland stimulating hormone produce nahi kerta jo testicles se testosterone output ko encourage kertay han.furthermore, thyroid aur adrenal gland hormone ki production me failure bhi associated hotti hai.ye impotence aur sexual interest ka low level cause kerta hai.older men me ye hormonal deficiency hormone injection se correct ki ja sakti hai.
Infection
Penis aur surrounding tissues ka infection man ki erection ability ko limit kerta hai.ye infections older men me zyada han laikin er age ke men me temporary impotency cause kertay han.testis ka vital infection discomfort cause kerta hai aur successful erection se prevent kerta hai.es ke saath bacteria bhi urethra aur surrounding skin ko ko inflame kertay han jo erection me interfere kertay han.finally prostrate gland infection ke doraan inflamed ho jaata hai,jo genital region me bahot pain cause kerta hai.prostrate ko infection aur inflammation ke caeses me massage aur antibiotics se treat kiya jatta hai.prostrate area me discomfort zyada serious illness ko indicate kerta hai;apnay physician se immediately consult kerain.
Diabetes
Diabetes bhi erectile failure cause kerti hai.impotence high blood sugar level se closely related ho sakti hai. Aur ager ye level low ho tu patient ko sexual potency me improvement kerni ho gi.
Is there a cure for impotence?
Impotence psychological phenomenon hai jaisa ke stress,anxiety.aik sex therapist aap ki help ker sakta hai es problem ko overcome kernay me.impotence jo psychological factors se hotti hai Viagra se treatr ki ja sakti hai.doctor se check up kerwayain her option ke baray me jaanay ke liay.
|