Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Improtance Of Love

Non Medical Discussion   >>  Society and Culture
 
 
 
fakhra786 Group: Members  Joined: 28th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 50  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2009, 2:40pm
 

Improtance Of Love

Kiya hum ne kabhi yeh jana hai k humko kisi se kitna pyar hai kiyon hai yeh sab kuch? kiya kabhi kisi ne yeh socha k sex ko ek side pe rakh k ek baar aise khushiyon k baray mein sochein jo k long term hain?

Ek aurat jo sara din ghar pe khana bnati hai safai krti hai, bachay smbhalti hai kiya ager usska husbad raat ko ghar jatay huay ager uss k liye at least ek flower ya ek chota sa gift (it doesn't have to be something big or expensive) le k jaye tou ussko kaisa lagay ga? ya ghar ja k wife jab apna kaam ker rahe ho tou ussko surprise karay ek dum se kiss ker k. Wife ka dil kitna khush ho ga no one can measure that.

Jo log kehtay hein k i don't know if i love my wife or not? kiya kabhi unhon ne apne dil mein se sab buraiyan nikaal k ek nazer uss biwi pe daali jo apne ma baap chor k uss k ghar aye hai jis ne apna sab kuch uss k naam ker diya hai jo uss k bachon, uss k liye aur uss k ma baap k liye kaam ker rahe hai. kiya kisi ne ek aise nazer uss pe dali ager nahin daali tou ek baar zaroor dekhna apko uss mein ek masoomiyat nazer aye ge jo aap ne aaj se pehle shaed kabhi nahin dekhi ho ge.

Aur woh biwiyan jinka shohar ghar ko ata hai din bhar k kaam se k ghar ja k relax krta hoon per unka mood biwi ko dekh k he khrab ho jata hai, aur unko yehi shikwa hai k hum khush nahin hai, hamaray se pyar nahin krta, uss ko tv wali aurtein psnd hein in other words he likes watching them instead of her etc

ek baar aap bhi uss k anay se pehle ghar ki safai ker k usska favourite khana bana k tyar ho k us k ghar anay pe ussko surprise karein (ho sakay tou candle light dinner, jo k ik chotay se kamray mein bhi ho skta hai) aur dekhna k aapka pyar kitna young ho jaye ga aur aapka dil buhat ziyada satisfy ho ga jo k sex bhi nahin ker sakti...

ek dusray ko birthday wish karein, flowers and cake le k ayein, per remember k mein kuch bhi fazool kharchi ko nahin keh rahe khushi keemti cheez se nahin per khushi denay walay k jazbaat se measure hoti hai. aap raat ko 12 bjne se 5 minutes pehle uthein, candle light krein cake pe laga k ek knife  k saath kamray mein le k jayein aur pooray 12 bajay unko HAPPY BIRTHDAY nol k wish karein. cake katein apne dil ki batein krein unko btayein k how much they mean to u... yeh sab krne se aaapki zindagi meinkitni khushiyan ayein ge aap nahin soch sakte.

hamaray haan log smjhte hein k yeh wailay nakhray hain per aisa nahin hai aise chezein krna tou pyar hao aur Islam bhi aisa krne se mana nahin krta, aur jo chez kisi ko khushi detti hai ap k azdawajji taluqaat mazboot ker sakti hai  aoh tou kabhi ghlt ho he nahin sakti.

meray pyaray bhai aur behnon aap please iss behan ki baat maan k ek dafa krna tou kiya jaye ga aap ka kuch bhi nahin? kerna aur mjhe batana zaroor k kiya hua...

I will wait...

Plz all brothers and sisters discuss this topic and no offensive or abusive comments.

Izzat karein aur karwayein...Allah hum sabko apne pyaron ko khush rakhne ki, apne Khuda ko khush rakhne ki taufeek ataa farmaye. humhein ghlt rastay ikhtyaar krne se bachaye aur jo jaiz cheezein hamari zindagi mein uss ne ek toha diya hai uss ki qder krna sikhaye.

May Allah bless u all. AMEEN SUM AMEEN

plzzzzzz mjhe btana zaroor!!!

fakhra786 Group: Members  Joined: 28th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 50  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2009, 2:50pm
 

re: to all

  • Sorry all buhat typing mistakes hain, i forgot to check it before submitting...
tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  29  
Posted on:8th Apr 2009, 4:03pm
 

hello miss fakhra

aap nay apni age 20 year show ki he or aap ki baaten itni bari bari hen...

aap itni fikar mut karen.. taali dono hatho sy bajti he.... aurat pyar kary gi to badly men pyar mily ga... same is the case with man.. sirf aurat hi hameesha mazloom nai hoti. murd hameesha aik loving wife chahta he... or agar auraat us sy pyar kary gi to wo bhi reponce men pyar day ga. wo bhi insan he.or ye insaan ki nature he k wo pyaar k aagay zyada dair teher nai sakta......
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:8th Apr 2009, 4:45pm
 

rE: Improtance Of Love

App abhi age k us dorahay per hain jahan khuahishaaat ka tofaan thatay maar raha hota hai, apki baatain baja hain bilkul magar zahir hai ye apki apni soch hai jismain app ne husband ko tankeed ka nishana banaya hai ....aur wifes ko mazlom zahir kiya hai,........yani appne totally wife k liyain sochah hai husband kis khatay main jaye ga.......sab husband ek jese nahi hotay.......aur sab wifes bhi ek jesi nahi hoti..........kamiyaab shadi main dono ka kirdaar ehem hai sirf mard ya aurat ka nahi


khair apko kuch batain clear karna zarori hai........


Kiya hum ne kabhi yeh jana hai k humko kisi se kitna pyar hai kiyon hai yeh sab kuch?

Pyaar karne walay jantay hain achi tarha, jo nahi jantay wo pyaar nahi kartay...

kiya kabhi kisi ne yeh socha k sex ko ek side pe rakh k ek baar aise khushiyon k baray mein sochein jo k long term hain?

Sex ek need hai khushiyaan nahi hai, khushiyaan apke apne haath main hai.......har lamhay main mojod hai, jisay apko talaash karna hai, app khud khush rahain tou apko samnay wala bhi khush lagay ga, app khud udaas hongi tou apko pori duniya udaas lagay gi
misaal k tor pe apke husband khush hain par app khush nahi tou husband ki khushi bekaar gae kya ?..........


Ek aurat jo sara din ghar pe khana bnati hai safai krti hai, bachay smbhalti hai

beshak islaam main aurat ko yehi faraiiz ada karne ka hukum hai na k bahar jakar jobs karne ka, aur husband ko kama kar lanay ka hukum hai, kamana bhi asaan nahi hai,  app ne aurat ka tou keh diya hai husband jo bahar rehta hai ghar k araam se dour uska kya banay ga........kehne ka matlab ye hai k dono ek hi thaali k carrot aut cucumber hain......


kiya ager usska husbad raat ko ghar jatay huay ager uss k liye at least ek flower ya ek chota sa gift (it doesn't have to be something big or expensive) le k jaye tou ussko kaisa lagay ga? ya ghar ja k wife jab apna kaam ker rahe ho tou ussko surprise karay ek dum se kiss ker k. Wife ka dil kitna khush ho ga no one can measure that.

Beshak wife ka dil khush hoga agar usko husband se zyada flower ya kiss ka wait ho......wife husband ki masehaah hoti hai aur huband wife ka guardian, wife ko husband ka wait karna chahiyai aur husband ko wife ko time dena chahiyai ghar akar.........


waaki jo loag aesa kehtay hain "i don't know if i love my wife or not", wo acha nahi kartay, ya tou wo shadi na karan, agar shadi karain tou khayal karain apni wife ka har tarha se, likin jo wife aesi batain karti hain
  'jo apne ma baap chor k uss k ghar aye hai jis ne apna sab kuch uss k naam ker diya hai jo uss k bachon, uss k liye aur uss k ma baap k liye kaam ker rahe hai. kiya kisi ne ek aise nazer uss pe dali ager nahin daali tou ek baar zaroor dekhna apko uss mein ek masoomiyat nazer aye ge jo aap ne aaj se pehle shaed kabhi nahin dekhi ho ge.".
...............aesi wife bhi ghalat karti hain, kyunke shadi ek new relation/ new life ka naam hai na k kisi nokri ya pabandi ka naam hai k wife usko apni duty samajh kar anjaam de, ghar ki zimidaari aur bachon ki dekh bhal wife ka farz hai aur jis ghar main wo aye hai wo uska apna bhi ghar hai aur jin bachon ko paal rahi hai wo iske apne bachay bhi hain................hain na ?

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:8th Apr 2009, 5:01pm
 

Continue........

ek dusray ko birthday wish karein, flowers and cake le k ayein, ap raat ko 12 bjne se 5 minutes pehle uthein, candle light krein cake pe laga k ek knife  k saath kamray mein le k jayein aur pooray 12 bajay unko HAPPY BIRTHDAY nol k wish karein. cake katein apne dil ki batein krein unko btayein k how much they mean to u... yeh sab krne se aaapki zindagi meinkitni khushiyan ayein ge aap nahin soch sakte.

shayad app future k scientific  insano ki baat kar rahi hain jinki birthday har week ati hogi aur wo ek dosre ko har week wish kiya karian ge , ajkal tou saal main ek baar ati hai, yani wait karna parega candle light dinner k liyain 1 saal ......



abhi apki shadi nahi hoe hai jabhi apko ye sab acha lag raha hain, ya phir shuru days main sab acha lagta hai shadi k, jab app experience karain gi tab apko malom hoga............
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 75  Post: 1334  Age:  34  
Posted on:8th Apr 2009, 6:42pm
 

candle light dinner

(ho sakay tou candle light dinner, jo k ik chotay se kamray mein bhi ho skta hai)

fakhra ji fikar na karain,aaj kal jitnay candle dinners pakistan mein ho rahain duniya mein kahin nahin, WAPDA walon ne aik bherpoor romantic mahoal create kiya hua hai.

fakhra786 Group: Members  Joined: 28th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 50  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2009, 7:16pm
 

hitman and tena

mjhe lagta hai k u both need specs becoz meinne sirf mardon k khilaaf baat nahin ki, i talked on behlaf of both men and women. so next time u reply read carefully ok. aur mjhenahin lgta k jo mein ne kaha hai impossible hai aur na he iss mein koi aise mehnat krni prti hai. u r all sad ppl so forget it. im indeed 20 years old per im an educated person who has experienced the world and seen it on a broader scale and i you can compare my knowledge with any 50 years old. Hope u knw wht i am saying
fakhra786 Group: Members  Joined: 28th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 50  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2009, 7:23pm
 

this is unfair

  • mein ne men k baray mein bhi likha tha but editor ne woh poora nahin diya. that is why u all ppl are taunting me. mein ne kisi ek mrd ya auat ki side nahin li. i talked on behalf of both...........
  •  
  • to editor> this is just unfair if u couldn't publish the full topic u should have published the important bits and not have gotten me into trouble
  •  
  • so all u people plz stop giving out ok
fakhra786 Group: Members  Joined: 28th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 50  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2009, 7:30pm
 

hitman and dom-man read it

i dont need uneducated pathetical comments ok. i never said k birthday is celebrated every week. but yahan pe koi tou parhay ga na jisk partner ka  birthday abhi anay wala hoga. so u need to open up ur mind. ager kuch likhna hai tou pyar se likho.......

bas aap logon ko tanay sunanay k ilawa kuch aur shaed ataa nahin ek baat ka ek acha jawab bhi diya ja skta hai and my posts are nothing sexual ok. i respect ppl an want the same in return...

dom-man aap ko mazak he krna hai tou kahin jokes mein reply krein, u r always disagreeing wd ppl.......

i know there is no set rule and i m not imposing any such rule uppon anyone. there are alway exceptions and ppl have to go on with tht.

thanx

dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 75  Post: 1334  Age:  34  
Posted on:8th Apr 2009, 7:39pm
 

fakhra ji

i am sorry i didn't mean to hurt your feelings. I was just kidding.in fact before reading ur last post i was going 2 apperciate your article.it is very well written and there is not even an iota of doubt in what u said.very true and very nice.

And to ur last comment;

madam, there are set rules it  just depends how deeply  v dig out those issues to get the real truth.Disagreement just for the sake of the disagreement is stupidity but if is done with logic and facts and in the context of what both parties agreed on(like,Quran) than it is a healthy activity.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 98  Post: 5392  Age:   
Posted on:8th Apr 2009, 9:56pm
 

Fakhra aunty

aapki post qabil e ghoor hai.aap mind na karein kisi k joke ko aur aap isi trha se ache ache topics post krti rahein...ab akhir mardoon ne bhi to apne bare me kuch na kuch kehna hi hai na.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Apr 2009, 10:10pm
 

dom bhai

aap ki 1st post hae jo read kar k bohat hi acha laga , (candle light dinner wali:)
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 75  Post: 1334  Age:  34  
Posted on:8th Apr 2009, 10:36pm
 

thanks maryam

shukur hai maryam baji akhir aik aap hi hain jinaih oos ka baat ka sahih matlab tau nazr aaya,Allah khair karay,fakhra ji tau mujh se naraz hi honay lagi thin.
fakhra786 Group: Members  Joined: 28th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 50  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2009, 10:58pm
 

tina hitman dom-man s4u and maryam

There seem to be a lot of issues with u ppl regarding my topic. to prove that i am not biasd i am goin to post a new topic tht is about men; which editor didnt post the last time.do read it ta k apki ghlt fehmi doooooooooorrrrr ho jaye..

Kind regards,

Fakhra

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Apr 2009, 11:00pm
 

fakhra

fakhra aap ki post bohat achi hae main to aaj hi aik candle light dinner arrange karti hon . really very nice post:)
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 75  Post: 1334  Age:  34  
Posted on:8th Apr 2009, 11:12pm
 

maryam ji lOl

maryam ji aap ki her post ka aik aik lafz se aap ke haqeeqi lehjay ki jhalak aati hai:) ye kamaal kum loagon mein hi hota hai.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Apr 2009, 11:26pm
 

dom bhai

aap apni baat ko explain karain gay plz main zara mazeed khush hona chahti hon:)
fakhra786 Group: Members  Joined: 28th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 50  Age:  24  
Posted on:9th Apr 2009, 12:03am
 

hey all

my remainig part of the topic is posted in religion and culture section
dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 75  Post: 1334  Age:  34  
Posted on:9th Apr 2009, 12:08am
 

Maryam ji hehe

Maryam ji,mere explain kernay ke baad aap tau keh sakti hain ke nahin mera ye matlab nahin tha,tau saree "explaination" mujh se mansoob ho jaye gee. aur waisay bhi yahan ka temprature thora high hai:).oh,lo bijli chalee gaye.

khair koi baat nahin,din mein baghair candle ke bhi romance ho sakta hai:)

Noman Tari Group: Members  Joined: 06th Apr, 2009  Topic: 0  Post: 5  Age:  26  
Posted on:9th Apr 2009, 1:59am
 

Nomi

Salam to all members!
                                     Miss fakhra pale bat ya k mohbat aik roh say dosri roh k malnay k nam ha jis main importance roh ki hoti ha na k jism ki,main na be kisi say mohbat ki the us ki roh say na k us k jism say,aur mohbat ki hamiat jatany k leay kisi gift k sahara nai lea ja sakta,blaka us ki hamiat k andaza us waqat hota ha kisi ko hamari mohbat ki zarort ho aur hum us ko mohbat dain.thanks.
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013