ghurbat...... hamaray mazhab mai to ye hai k muslims apnay country mai zakat ada karay aur ghair muslim (non muslim) jo muslim country mai rehtay hain un say Tax lia jaey... phir zakat aur tax k paiso ko ghareebo ki falaah k liye istamal kia jaey...
muslims ki deen say doori bi ghurbat ki waja hai,, yehi waja hai k ghareeb , ghareeb ko loot raha hai,, chori , rah-zani aur dakaiti ki wardatain... police k rishwat cases... phir namaz ka na parhna...
mainay yehi observe kia hai k koi bi insan rishwat ya galat tareekay say paisay hasil karta hai to bazahir usay lagta hai k bohat paisa aa gaya aur faeda ho gaya,, lekin hakeekat mai aisa nahi hota, aik najaez tareekay say thora paisa aata hai lekin kuch hi arsay bad us banday ka kisi na kisi waja say us say double tripple paisa chala jata hai, kharch ho jata hai..... uskay paisay mai say barkat khatam ho jati hai... is liye chor aur dakaito ko mera mashwara hai k wo braey-meharbani ye sab ghalat kam karna band kar dain... |