Ectopic pregnancy Normal pregnancy
normal pregnancy mai fertilized egg uterus mai enter ho kar grow karta hai
Ectopic pregnancy
is qisam ki pregnancy mai fertilized egg uterus k bahir grow karta hai 98% casses mai ye egg Fallopian tube mai hi grow karna shuru ho jata hai is lye is pregnancy ko "tubal pregnancies." b kaha jata hai.
Answers of ur Questions:
Q 1: Ectopic pregnancy kitny weeks main detected ki ja sakti hy?
A 1: Normally ye pregnancy zara late hi detect hoti hai ziyada tar casses mai periods guzar janay k 4 / 5 weeks k baad detect ho jati hai.
Q 2: kiya ectopic pregnancy main HCg level low hota hy?
A 2: HCG ( human chorionic gonadotropin) jab pregnancy detect ho jati hai ti is k baad doctors HCG test karnay ko kehtay hain is mai hormones ko measure kiya jata hai. pregnancy k early weeks mai is ka level har 2 din mai double ho jana chahiyee agar double nhi hotay to doctors ultrasounds wagaira karvatay hain aur treatment change kartay hain
Q 3: kiya ectopic pregnancy main pregnancy test early weeks main negative hota hy? yani pregnancy detect karna difficult hota hy?
A 3: early days mai kiya janay walay pregnancy tests negative aa sakta hai yahan tak k ultrasound mai b negative a sakta hai is k bad doctors patient ko completely examine karnay k liye har 2 din mai bulwatay hain. ye pregnancy detect karna is lye mushkil hota hai kyoun k baby fallopain tube mai grow karna shuru ho jata hai.
MADAM umeed hai ap ko ap k questions k answers mil gai hon gay
ap say duaoon ki darkhuwast hai
SUGGESTION:
mai to ye suggest karon ga k agar kisi ko ye masla hai to wo kisi acchay GYNOCOLOGIST say consult karay
THANKS
|