reply...hard stools... apko bohat zada zaroort he k apne stool ke hardness ko kum kejeye
apka stool jab anus se pass hota he tu sakhti ke waja se ragar khai jati ha
wahan par zakham banta he jo abhe tu bohat mamoli aur upper upper ha
waqt ke sath gehra ho kar anal fiisure yani gehra zakham bana sakta he jis mai bohat he zada pain hoti ha aur blood ata he...
ap pani bohat peeyen jitna mumkin ho uss se bhe zada ha
isapghol ka chilka 2-3 martaba din mai .....iss ko aisey khana he k pani jo sath peeyen wo zada ho...
zada oily aur mirchi wali ya muragan gaza se parhaiz karain...
taza vegetables lain...
whole wheat ka ata, jo ka daliya aur dalaiyan aur fruits and vegetables zada khayee....salad wagaira...
ANJEER(figs)...bohat achey hotey han..raat ko 3 pani mai bhego dain...subha wo phool jain gey wo kha lain
agar phir bhe stool soft na ho tu medicine lain pani mai dalneye ke leye qatrey miltey han wo zaroor lain
ye apko bawaseer nahe ha...
bawaseer mai anus se kuch baher ko nikalta huwa mehsoos hota he....aur bawaseer ya piles asal mai anus ke he lining hoti ha jo baher ko nikal ati ha aur iss mai veins ka gusha sa hota he....
iss ke 4 category han....ap inn ke tafseel ko rehney dain...
hard stools zada arsa rahey tu bawaseer ho sakta he |