Social Problem: Ghar-Damaad: How To Gain Respect And Love?
Dear brothers & sisters aur khawateen O Hazraat Mere ek khareebi dost jo mohelle ko hi ladka hai paise ki laluch main ek rich family ki jo Na qaabile Qubool ladki se shaadi karke ghardamaad tho bangaya lekin saal 2 saal baad usko itna pachtawa hua ke woh sirf bebas aur lachaar banker rahgaya .....please read this very intersting fact story and reply right suggestions. Hua yoon K mera dost jo Shareef imandar Graduate middle class family se belongs karta hai.. Ittefaq se usko ek rich family ki ek ladki jo maazallah nahi kahna chahiye lekin majburan kahna parraha hai Jo Na qaabil E qubool ladki ka rishta aaya aur yeh hamarey dost yeh samjhe K dunya main khoobsurti hi sub kuch nahi lekin pyar mohabbat paisa hotho bas hai yeh kahkar us ladki se shaadi karliye ab shaadi ke baad hua yeh K 6 months one year tak Dulhe miyan ki bahut Qadr khaatir respect hoti rahi Dulhe raja ko bahut khushi mahsoos horahi thi lekin dil main ander hi ander kuch Nadamat Sharmindagi bhi feel karrahe the Jo zaaher nahi horahi thi khair shaadi se pehle inko kuch net amount bhi mila ab ek saal ke baad hua yoon K aahista aahista Be Izzati hone lagi job bhi nahi hai job search karrahe hai lekin tentions badhgaye ab koi job bhi nahi milti time par susral main damaad Ka Hashar ab jo horraha hai ab inko zindagi bhar pachtawa sa hogaya hai haan tho main kahraha tha K susraal main inki Izzat kam hote jarrahi hai koi baat sahi nahi karta ab natija yeh hogaya K Alag se ghar lekar apni biwi aur ek ladki ko lekar rahen ab biwi bhi na tho izzat karti na response karti hai Ab bechara mera dost Na ghar ka hua Na Ghaat ka Kuttey jaisi zindagi hogayi kahta hai meri biwi jo dunya ka koi bhi aadmi shaadi na karsaka itni bad shakal aurat ab mujhe khoobsurat lagne lagi hai.. Mera dost finally ab kahta yeh hai K meri zindagi barbaad hogayi rupiye paison aur pyar mohabbat ki laluch may main andha hogaya tha lekin mujhe na paisa mila Na khoobsurat biwi mili na susraal ki mohabbat mili ab main bebas lachaar apne aap ko gunah gaar samajhne laga hoon ab main Kiya karoon mere dosto meri madad aur sahi Rahnumaai karo Allah aapko khair karega...
|