Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:29th Feb 2008, 5:01pm |
|
|
Ba-perda Ishq ka Kia Tareeqa Hai
jab bhi ishq aur muhabbat ki baat hoti hai tu yahi samajh aajata hai keh aik larki achche fashionable dress ke saath kisi larke se tanhai mai piar o muhabbat ki baatai kerti hogi.
lekin jo log Burqa ke haami hai, aur Burqa wali larki se shaadi kerna chahte hai tu woh log shaadi se qabal burqa wali larki se kis tarah ishq kerte hai?
aur agar woh ishq kisi beghair burqa wali se kerte hai aur shaadi burqa wali se tu aap ka iss per kia comments hai?
|
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:29th Feb 2008, 8:56pm |
|
|
Bewaqoof bhai is Topic par sub say Best Reply Raaz Daar Bhai de ge,,,,hehhehehe |
Heart |
Group: Members Joined: 15th Mar, 2007 Topic: 13 Post: 83 Age:
|
|
Posted on:1st Mar 2008, 12:31am |
|
|
Re: Mein Burqa ka haami hoon aur jiss larki say mujhe Ishq hay, woh bhi burqa karti hay. I met her in home.......was inspired by her religiousness and khana dari..........and i talked to my parents about her..........they said complete ur studies and get a job......rest they will handle............and now We will be marrying soon InsaAllah in 3-4 years!
Ishq ho gya...........I love her.........Respect her and want to make her my wife.........Na to mein uss kay saath kamrey mein AKELA betha aur romance kiya aur na hi chaskay liye.......I like to meet her and met her in front of my and her family.......ankhoon say baatein hootein hein......haath par haath marna bhi hota hay......Aur iss say ziada kuch naehin kiya....Izzat ke nazar say dekhta hoon larkion ko :-D
Another point to be noted here is that different people have differnt views regarding Love and Ishq......Kuch kehtay hein going through couple of girls and finiding the best one in them.....is called.....ishq with that Girl.........Kuch ki meri tarah aik par he soi atak jati hay........going through mein bohat kuch ho jata hay aur hota hay.......▬╣&○éâ├8╩44ت4.4♦913
♦♦♦♦♦♦♦♦╣╣╣╣╣╣╣╣╣╣╣╣╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩♦♦♦♦♦♦♦ Please.......This was my personal experience and I wrote it down........I dont want to judged on this.....Thnxxx in Advance. ♦♦♦♦♦♦♦♦╣╣╣╣╣╣╣╣╣╣╣╣╣╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩╩♦♦♦♦♦♦♦ |
raazdaar |
Group: Members Joined: 18th Nov, 2007 Topic: 38 Post: 369 Age:
24
|
|
Posted on:1st Mar 2008, 1:05am |
|
|
RE:-Nelish Sister SALLAM TO ALL FRIENDS
Nahin main to kuch nahin keh sakta.Q kai bewakoof bhayee nazar ho jatain hain jaldi.So is liyai koyee aur hi kahai to behtar hai.Waisai phir bi naik irada hi insaan ko karna chahiyai aisai kamoon kai liyai na kai sirf time pass.....
Aur members ka kya kyaal hai is barai main.....??
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ
|
Rizwan++ |
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:1st Mar 2008, 4:04pm |
|
|
burqa aur ishq lanat hai aise burqe par jo ishq ko na rok sake. |
nadeem AOL |
Group: Members Joined: 26th Nov, 2007 Topic: 8 Post: 265 Age:
30
|
|
Posted on:1st Mar 2008, 5:11pm |
|
|
Rizwan++ ! Yar agar lanat bhejnay ko itna hi dil karta hay na, tu mirror k samnay kharay ho ker repeat kertay raha karo, perday ko ya burqay ko lanat dena munasib nahin hay buddy !!
Cheers.
|
Heart |
Group: Members Joined: 15th Mar, 2007 Topic: 13 Post: 83 Age:
|
|
Posted on:1st Mar 2008, 8:36pm |
|
|
Re: Khum Kha lanat bhejni nahi chahiye......kiyon kay wapis apnay upar he atey hay! I agree with Nadeem AOL.
Rizwan++ Zukam,Shirk Aur ISHQ,yeh aise cheezain hein jo ho jate hein aur insaan ko sirf us waqt he pata chalta hay jub symptoms samney atey hein aur tub tak kaam ho chuka hota hay! Mujhe to aisa lagta hai jaise apnay vaccincation karwai hoye hay.......Ishq ki!
App ISHQ ko define kaisay karte hein? Mein nay pehlay kaha tha kay har insaan ka alag point of view hota hay ishq kay baray mein.........agar app ishq ko..........Flirting kah rahe hein........to its ur view..........AND DO NOT EVER TRY TO FIX UR VIEWS ON OTHER NEVER FORCE ANYONE TO FOLLOW UR VIEW........agar kuch karna hay to convince karo..............na kay lanat bhejo........TC!
Umeed hay app ko samajh a gaye ho ge :-D |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 1:59am |
|
|
ba-perda ishq..... meri nazar mai Ba-parda ishq ye hai k kisi ko dil mai chaha jaey pasand kia jaey par larki say direct izhar na kia jaey.... or moka lagay to shadi bi usi say kar li jaey (matlab k maa baap say baat kar k rishta maang lia jaey, jaisay mr. heart nay parents say baat ki aur unko raazi kia) |
Rizwan++ |
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 2:58am |
|
|
burqe ka maqsad sorry bhayon! main samjh raha tha ke burqe ka maqsad yeh hota hai ke kisi baparda aurat ko dekh kar kisi mard ke dil main kisi kism ke jazbaat paida na hon. aap ki batain sun kar pata chala ke burqe ka aisa koi maqsad nahin hota. burqe ka maqsad shaid sirf yeh hota hai ke us ko pehen lo aur phir azadi manao. ishq karo aur maze arao. |
Rizwan++ |
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 3:18am |
|
|
pehle ghalat likh diya tha aur nadeem aol bhai. aap ne mere pehle reply ka ghalat matlab liya. ya shaid main ne likha hi ghalat tareeqe se tha. mera maqsad parde ke bare main koi ghalat baat kehna nahin tha. mujhe yeh likhna chahye tha ke lanat hai aisi parde wali par jis ke parda kerne ke bawajood log us se ishq kerne lagain.mera matlab hai ke is soorat main wo aurat hi ghalat ho gi. sorry main ne pehle ghalat tareeqe se likh diya tha. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 3:24am |
|
|
Burka... no Rizwan, burqe ka wohi matlab hai jo tumhe pata laga, ta k burkay mai orat ko dekh kar kisi mard k dil mai koi jazbaat paida na hon aur na hi burkay wali khatoon say nadani mai koi ghalti ho sakay...
lekin burka ya nakab wohi ziada sahi hota hai jo insan khud apni azaad marzi say karay.. kuch families mai burka zabardasti pehan-na parta hai.... is liye aisi khavateen jinko zabardasti pehan-na parta hai,, unko jab moka milta hai to phir wo ultay kaam bi kar jati hain... aur phir wo apnay dil mai dabi tamam khuahishaat ko pura karny ki koshish karti hain jinko zabardasti dabaya gaya tha...
burka bohat shareef khavateen bi pehanti hain aur kuch aik khavateen bi burka pehanti hain to k wo lovers say milain ya koi galat kaam karain to kisi ko pata na lagay k wo kon hain,, lekin is say hamai koi gharz nai honi chahiye k kiska irada kia hai,, jo burkay mai ho uski respect karni chahiye... or khavateen ko burka /chaadar / dupatta lena chahiye aur apnay jisam ko chhupanay ki koshish karni chahiye...
kuch log burkay ko bohat bura kehtay hain ta k khavateen burka lena band kar dain... aisa kehna galat hai... jo burka pehanti hai bohat achi bat hai,, agar wo kisi lover say bi milti hai to bi uskay burkay ki waja say bohat say dosray log usay dekh kar galat baat aur galat soch say bach gaey (sivaey 1 k jiskay samnay wo bina burkay mai jaeygi).... |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 4:38am |
|
|
Josh Aaap ne jo kuch kaha us ke baad to mazeed kuch kehne ki gunjaish baqi nahi hae, parda hona chahye aor parday ke taqadus ka bhi khyal rakhna chahye na ka parda is liye kia jaye ke ghar se bahar jo kuch kia jaye us pe parda parra rahe. |
Heart |
Group: Members Joined: 15th Mar, 2007 Topic: 13 Post: 83 Age:
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 6:19am |
|
|
Re: Rizwan you are crossing your limits, Tum nay meri honey wali BV par lanat bheji hay. Magar mein kuch nahein kahoon ga, This is your last chance,UNDERSTOOD!!! and seeing ur wife before marriage is also allowed in Islam as long as you stay in the limits. I think you just start typing with out knowing WTF ur typing! MIND IT!!! and please define Ishq!
Josh bhai app nay sahi kaha hay.
Burqa ghult nahien hay magar burqa ka ghult istimall zaroor hay aur hota hay. Jiss tarah aik bandooq mulk ki hifazat kay liye istimaal hote hay,wohi bandook dehshat gardi kay liye bhi istimall ho saktey hay. Bilkul issi tarah Aik shareed larki apany ap ko buri nazar say bachati hay,bilkul usi tarah aik jism faroosh aur awarh aurat burkhay say apna ap chupati hay!
|
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 7:13am |
|
|
Heart
User Name |
Heart |
|
Age |
2008 years |
Gender |
Female |
Marital Status |
Married |
Qualification |
Qualification |
Occupation |
Occupation |
City & Country |
City & Country | Aap ki kis baat pe yaqeen kiya jaye?????????????????? |
Rizwan++ |
Group: Members Joined: 15th Nov, 2007 Topic: 12 Post: 243 Age:
25
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 7:15am |
|
|
sorry if my words hurt anyone
heart bhai main ne wo kab kia jo aap ne kaha? aap to mere bhai hain aur aap ki hone wali wife meri behen hain. aur aap ko to jaise aap ne likha ke apni hone wali wife ki khana dari aur relligioness pasand thi. mere kehne ka matlab tha ke jo aurtain burqa karti hain sirf waldain ke kehne par aur un ke samne wo achi aurtain nahin hotin. ager main ne phir kuch ghalat kah deiya hai to pehle hi sorry ker leta hon. lagta hai ke mujhe bhi ab har post ke aakhir main likhna pare ga:
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |
Heart |
Group: Members Joined: 15th Mar, 2007 Topic: 13 Post: 83 Age:
|
|
Posted on:2nd Mar 2008, 8:07am |
|
|
Re: Soory Rizawan++,Misunderstanding hoye.....Im really sorry..........mein tap gya tha!. :-DD
Ch Babar I personally like to stay anonyomus and share my views,knoweledge and experiences...........is liye profile jhooti hay.........waisay bhi is topic par pehle baat ho chuke hay............
Sorry Rizwan buddy...........I hope u understand............:-)
|
iaamir411 |
Group: Members Joined: 29th Feb, 2008 Topic: 4 Post: 74 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Mar 2008, 11:21pm |
|
|
rizwan rizwan tum abhi bache ho bat karni nahi aati halan ke tum kehna kuch bhi chahte ho lekin tumhari bat man wazan hi nahi ha ishq ka matlub larki ya boy ke sath yaari lagana hargiz nahi.khuda ke bando ishq to bara gehra lafz ha jo khuda ne hamare nabi hazrat muhhammad(pbuh)se kia.
rahi bat burqa ki to dost burqa pehan kr ishq kion nahgi kia ja sakta ishq apne khuda se to kia ja sakta ha na .
han albata mun dhanp lene se parda nahi ho jata.parda to insaan ke dil man hota ha .chehra dhanp kr bahir gali man larkon se afair karna yeh khuda ko dhoka dene wali baat ha . asi orat pr lanat ki ja sakti ha jo apni haya ka soda kare.
umeed ha ab app samagh gae hon ge.or ab app ko safai dene ki zaroorat nahi.tum se yeh ilfaz gher danstan nikle hon ge. |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:5th Mar 2008, 8:51pm |
|
|
Rizwan Uncle ap ka dil bilkul larkiyon ki tara hain.aray yahan rehne ke liye sher
jitna dil chaye . apna dil bara karo. kisi ki baat dil per na lo.
yahan sab apne aap ko samjhdaar samjhte hai. dusron ko bewaqoof. yahan
sab samjhte hai main theek hoon baqee sab ghalt aap bhi aisa karo.
ainda choti choti baton per sorry nahi bolni. yahan aik choti si baat ker do to sab gale mein phansi ka phanda daalne lagte hain. tum ne ye kyun kaha wo kyun kaha . bhai hamari zuban hum jo marzi kahein kisi ka kya jata hai. kisi ka bill nahi aata .tum larkiyon ki tarah her baat mein sorry sorry na kya karon.. samjhe.
|
paree1 |
Group: Members Joined: 16th Feb, 2008 Topic: 3 Post: 58 Age:
27
|
|
Posted on:7th Mar 2008, 7:17am |
|
|
hey burqay wali say ho ya fashion wali say payar payar hota hai aisa jazba jo app ko baybuss kar dauen ab bundha yeh samj kar payar karien burqay wali say karoon ga ya fashion wali say my brothers and sisters aus ko payar naheen apni desir kahien gay ashiq pakiza jazba haa agar app ki chahat khalish hai tu app ko apna payar bhi mil jay gaa payar ka jazba agla bhi samj jay gaa aur yeh appnay app per depend karta ha ho chaty hain who apni love ko bana laien burqay waly ko fashion able aur faishion wali ko babi hajan yeh ishaq hi tha jiss ki waja say ALLAH TALAH NAY apnay PAYARY NABI MUSTAFHA (PBHU) kay liya kainayt tahkliq ki yeh ishaq ha MAAN kay qadmoo talay jinnat banai YEH ishaq hi ha ankar kali ko zindha dafnay gaya lalia majnoo heer rahnja ect payar aik afaqi jazba haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii sadiyaoo say chala aa raha qaymat tak rahy gaaa behnoo aur bhiyoo me ini cheti likaya waa baqool hitman kay roman urdu likahi samj andi tay theek nai tay doobara parh liYOO meray payara soha rub ALLAH TALA tumamm muslmanoo ko apni hafzat mei rahkien adhiyat daien pakistan ki hafzat karien Pakistan han tu hum hai sub ko chaiye pAkistan say mohabbat rahkien |
|