Know The Facts About The Hymen
Hymen Women sexual health ka aik important part uss ka apni body ko understand kerna hai.society es baray main bahot kuch kahti hai jaisay ke virginity aur biological terms hymen aur vagina ke baray ma topics aik young girl ko kaafi scare ker daitay han.ye article hymen ki definition ko define keray ga aur women sexual health ma es ke role ko ye aaksir es ko women virginity se kuin associate kiya jatta hai. Hymen aik tissues ka thin piece hai jo ke vagina ki entrance ko partially block ker daita hai.es ko kabhi kabhi maidenhead ya cherry bhi kahtay han.es ka koi biological function nahi hai jab ke es ka name Greek se aya hai. Although kuch women hymen ke binna paeda hotti han aur zyada ka aik hymen hotta hai, aur hymen size aur shape ma women to women vary kerta hai.hymen usually vagina ki entire opening ko cover nahi kerta.aisa way hai vagina ma jidhar se menstrual fluid ya period body ko leave kerta hai. Hymen — A Marker of Virginity?
Hymen historically women virginity ka marker raha hai.ye believe ke hymen women ki vaginal opening ko block rakhta hai aur ye intact rahta hai jab tak women sexual intercourse na keray ye baat bahot zyada phaili hai khaas torr per un cultures ma jidhar women virginity ki bahot value hai. Ager aisay cultures ma aik unmarried girl ka hymen nahi hotta tha tu past ma her culture ke customs ke motabik baray burray es ke consequences hotay thay. kuch Australian tributes ma ye custom that ke aik older women shaadi se aik week pelhay bride ka hymen perforate kerti thi.ager ye patta chalta ke hymen pelhay se hi nahi hai tu women koburra aur ghalut sumjha jaata public ma aur torture kiya jaata kabhi kabhi tu uss ko marr daitay thay. Laikin ye scientific fact hai ke hymen sexual intercourse na bhi ho tu rupture ho sakta hai.ye rupture ho jaata hai jab body stretch ho ye periods ma tempons insert kernay se bhi rupture ho saktta hai ya masturbation ma fingering se laikin kabhi kabhi ye kisi non apparent reason se bhi rupture ho sakta hai. Hymen na hoonay ya already rupture hoonay ka ye meaning nahi hai ke ladki virgin nahi hai ya uss ne sexual intercourse se pelhay hi virginity ko loss ker diya hai.even kuch women jin ka hymen husband se sexual intercourse ma rupture nahi hotta wo child birth se pelhay hymen ko surgically remove kerati han kuin ke ye bahot flexible aur small hotta hai. Jab hymen first intercourse ma ya bahd ma rupture ya remove hotta hai tu slight bleeding aur little pain hotta hai.dono pain aur bleeding normal hottay han aur kuch time ke bahd khud hi stop ho jaatay han.kuch women es process ma bilkul bhi discomfort nahi feel kerti han. ye yaad rakhna zuroori hai ke women pregnant ho sakti han even uss ka hymen bhi break na ho aur vagina ma penis ko bhi insert na kiya jaye.ager sperms lebia aur vagina ke general area se contact ma ayain.ye vagina ki opening se move kertay han aur pregnancy cause ker daitay han.aik unruptured hymen ko birth control ki form nahi consider kerna chahiay. Know the Facts About the Hymen: Normalize Fears
Jaisay ke sexuality per aaj kal bahot information hai tu women ko hymen ke baray ma kaheen na kaheen se ilm ho jata hai but es matter per adults ko parents aur physicians bahot kam supportive aur sensitive manner ma inform kertay han.ager es ke baray ma ilm ho jaye tu women bahot parayshaan aur apni hi body aur behaviors ke baray ma uncertain ho jaati hai. Ager women ko hymen ke baray ma facts patta chal jayain aur ye myth mind se expel ho jaye ke ye virginity ka sign hai tu un ko popular mythology ke negative effects se free kiya ja sakta hai.hymen ke baray main accurate information women ke uss ki body ke baray main fears ko normalize ker daiti hai aur uss ma greater self-acceptance paeda kerti hai.
|