Sweaty Hands and Feet Who gets sweaty hands and feet, and why?
paseena aik gland se nikalta hai jis ko sweat gland kehte hai. jism ke doosre hisso ke muqable mai yeh sweat gland haath ki hatheli aur pao ke talwa mai ziadah hota hai. baaz logo mai bahut hi ziadah hota hai (maslan aap).
haath aur pao se paseena ka nikalna koi bimari nahi hai. yeh masla bachpan se hi shuru hota hai. aksar logo mai yeh khandani hota hai. tension ki haalat mai yeh bahut hi ziadah nikalta hai, jab keh raat ko sote waqt nahi nikalta.
Treatment:
is ka ilaj mukhtalif tareeqa se kia jaata hai
- haath aur pao ke skin per lagane ke liye makhsoos solution istemal kia jaata hai.
- tap-water iontophoresis: tafseel skin specialis se pooche
- sweat gland se paseena ko rokne ke liye aik makhsoos injection bhi lagaya jaata hai.
- agar tamam tareeqa fail ho jaaye tu phir surgery ker ke sweat gland ko jaane wali nerve ko kaat dia jaata hai.
mai ne jaan boojh ker solution aur injection ka naam nahi likha hai. kio keh oopar bataye huye tamam ilaj ka side effect bhi hai lehaza khood se ilaj kerne ki zaroorat nahi. ilaj ke liye kis skin specialist se consult kare. |