Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Dunyavi Taleem Zaroori Hai: Deeni Taleem Nahi

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:28th Jun 2009, 5:01pm
 

Dunyavi Taleem Zaroori Hai: Deeni Taleem Nahi

hamare piyare nabi Hazrat Mohammad (PBUH) ne taleem haasil kerne kaha hai, deeni taleem ki baat nahi ki hai. taleem mai dunyavi taleem aati hai. yani dunyavi taleem hasil kerne kaha hai. albatta aap deeni taleem bhi hasil ker sakte hai, deeni taleem hasil kerne se mana bhi nahi kia gya hai.

taleem aap kafir se bhi haasil ker sakte hai, jaisa keh Hazoor (PBUH) ne ghazwa ke taleem yafta arrested kafiro se kaha tha keh woh kisi aik muslim ko taleem yafta bana de tu onhai release ker dia jaaye ga. zahir si baat hai keh taleem yafta kafir kisi musalman ko deeni taleem nahi de sakta. iss ka matlab yahi hua keh Hazoor (PBUH) ne musalmano ko kafir se dunyavi taleem hasil kerne kaha.

waise bhi kaha gya hai keh ilm haasil karo chahe ilm hasil ker ne ke liye China hi jaana pare. zahir hai China mai deeni taleem hasil kerne ke liye nahi jaane kaha gaya hai.

iss ka matlab yeh hua keh aik musalman ke liye sirf deeni taleem zaroori nahi, balkeh dunyavi taleem zaroori hai. albatta dunyavi taleem ke saath saath deeni taleem bhi haasil ki jaa sakti hai.

Harf-e-Dua Group: Members  Joined: 23rd Jun, 2009  Topic: 2  Post: 9  Age:  30  
Posted on:28th Jun 2009, 5:33pm
 

deeni taleem

Ghar me yani ke waldain ke zarye milti hai.jaise ke ek bache ko waldain qaida,quran-e-pak sikhate hain,namaaz ka tareeka...aur baki taleem first class se milti hain deenyat me..

 

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:28th Jun 2009, 5:42pm
 

deeni taleem aur kafir teacher

re: "deeni taleem Ghar me yani ke waldain ke zarye milti hai"

agar waldain taleem yafta na ho tu bahir se hi taleem hasil ki jaati hai. kafir se deeni taleem hasil nahi ki jaa sakti, jabkeh taleem ke liye kafir teacher allow hai. kafir teacher deeni taleem nahi de sakta.

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:28th Jun 2009, 5:54pm
 

yes

agreed with bewaqoof

lekin aap ne title kuch awkward sa likha hai..

Dunyavi Taleem Zaroori Hai: Deeni Taleem Nahi

donon qisim ki taleem zaroori hai..

Harf-e-Dua Group: Members  Joined: 23rd Jun, 2009  Topic: 2  Post: 9  Age:  30  
Posted on:28th Jun 2009, 5:59pm
 

Bewaqoof

unparh waldain bhi apne bachon ko deeni taleem dete hain ya kisi ke zarye dilwate hain.

jab bacha 3-4 sal ka hota hai to use qaida shuru karwaya ja sakta hai ,balke kuch bache 4-5 ki age me quran-e-pak bhi complete kar lete hain.

Nimaaz sikhane ke lye waldain ko parha likha hona zaroori nahi hai,ya islami taleem to hoti hai.otherwise ye taleem kissi se dilwai bhi ja sakti hai.

ek muslim ki basic hi ye hi hai ke use islami taleem mili ho.ye waldain ka farz hai.jo unhe ada karna chahye.

islye dunyavi Taleem ki haisiyat apni jaga bohat eham hai.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:28th Jun 2009, 11:13pm
 

Bewaqoof bhai!

say yehi tawaqqah thee... k woh apni jahalat k baaes ILM aur HUNAR maiN faraq hi nah samajhtay hongay...

onhouN nay aik durust baat ko olaT kar bayaan kia hai... asal baat yeh hai k

Deeni Taleem Zaroori Hai: Dunyavi Taleem Nahi

"deeni taalim" ko ILM kahtay haiN jabkay morawwajah dunyawi taleem jo khalisatan hasoolay rozgaar k liyeh haasil ki jati hai... HUNAR kahlati hai.

agar bewaqoof bhai ki baat durust hoti to  sahabah karam RA ki bhari aksariyat dunyawi taleem k liyeh koshaaN hoti..... magar aksar sahabah nay to koi dunyawi taleem haasil hi nahi ki ... khud nabi karim saw ko to likhna paRhna hi nahi aataa thaa woh dunyaawi taaleem kaisay haasil kartay...... albattah taaleem say moraad deeni taaleem thee jabhi to tamam sahabah karam nay quran o hadees o shariyat ka bharpoor ilm hasil kia aur aksar nay dunyawi taleem ko chandaaN ahmiat nahi dee...

islam maiN dunyawi taleem hasil karnaa manaa nahi balkay targheeb dee gayee hai k asri aloom BHI hasil karo... lekin deeni taleem ki qurbani dekar nahi, issay turk karkay nahi balkay pahlay deeni taaleem haasil karo aur iska aghaaz muslim bachay ki paidaaish walay roz hi  hojata hai..... shayad bewaqoof bhai ko iski khabar nahi k muslim bachaa jab paida hota hai to sab say pahlay oskay kaanouN maiN azaan day ker "deeni taaleem" ka aghaaz kardia jata hai

DOST_YAR Group: Members  Joined: 18th May, 2009  Topic: 16  Post: 124  Age:  25  
Posted on:29th Jun 2009, 12:35am
 

Agreed To Myrizvi

Agreed with Myrizvi 100%

ILM AUR HUNAR DONO ZAROORI HAIN.

Jesa Ke Hazrat Muhammad PBUH ne fermaya ke wo shakhs kabi muflis nahi hosakta jiske haath main hunar hai.

Deni taleem to farz hae hi jo ke jhole se qabr tak hasil ki jate hai. Taham dunyawi taleem bhi ibadat hai. Agar kisi ko is baat se itefaaq na ho to main dalayl de sakta hun.

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:29th Jun 2009, 1:30am
 

Taleem

duniyawee taleem fikr-e-ma'ash ke leye ke jate hai jaab k deene taleem akhrat banane k leye ke jate hai.
Bewaqoof app kehte hai ke deen taleem haseel karne ka islam mein nahi kaha gaya app sahi mein bewaqoof hai hadees ke books parhe jao fazael aur marateeb deene taleem haseel karne wale k leye lekhe hue hai wo duniyawee taleeem haseel karne k leye nahi lekhe hue.
duniya ke 95% muslim deene taleem k peche baghte hai... deene taleem k leye bahut he kaam muslim tayyar hote hai...
hamare school ka nisab bhi illa Mashallah ketna acha hai k matric kar ke jo bacha nikla hai uss se poche k beta namaz ke ketne sharait, faraiz aur wajib aur sunnate ketne hote hai...
pata chal jai gaa k jes ne school mein 10 saal jaag maree uss ne kya sekha...
deene taleem srf seprate aur madarsee mein he haseel ke ja sakte hai sirf 1 islamiyat k period rakhne se kuch nahi ho jata...
phir yehe bache baree ho kar apne bacho ko wo namaz ka tareeqa sekhate hai jen parhte parhte zindagi nikal gaye ho aur kese k paas bhejna gawara nahi karte... kabhi apne namaz kese ne parha kar sunna kar kese aleem se conform ke hai k main jo namaz parhta ho apne bacho ko sseekhata ho kya yeh sahi hai ya nahiii.

1 hadees ka khulasa hai k 1 sahab ko pata chal gaya k unn ke zindagi ka last hour reh gaya hai unn hoo ne Sarkar Sallallaho Alahe Wasllam se zikar kya unnho ne farmaya Elmm-e-deen sekhne mein laag jai.
jo huruf علم mein hai wo he huruf عمل mein hai agar elmm hogaa tu amal ho sakta hai warna amal kese kaam ka nahi rahee gaaa.

duniyawee zindagi chand dino ke hai akhraat ke zindaigi la mehdood hai ess leye elmme deen farz aur afzal hai duniywee elm duniya mein he raah jai gaa elmme diin sadwa-e-jaria hai ellme deen haseel karee seekhai aur amal kareee.

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:29th Jun 2009, 8:34am
 

@bewaqoof

ap nay jo question ka andaz apnaya hai us main is bat pe stress hai k deeni taleem zarori nahi
wase aik bat hai k waqee main he deeni taleem ko priority hai lakin aj kal asri talem k baghair hum nahi chal sakty aur ap nay ghazwae badar ki bohat achi example de hai kion k insan ko dunya k sath chalna chaye aur hamara deen islam isi liye deene fitrat hai k is main koi kaid nahi hai
simplelife Group: Members  Joined: 14th Feb, 2012  Topic: 9  Post: 140  Age:  26  
Posted on:24th Feb 2012, 5:22am
 

both are necessary ...

DEENI TALEEM insan ko muhaZzab bnany aur Allah kay qareeb karny kay lia zaroori ha aur DUNYAVI TALEEM insan ko is muashray mai is dunya mai aik acha maqam hails karny ky lia zaroori ha ..........


mai ny dono traf ki peak per ja ky dekha ha dono hi zaroori hen .......sirf deeeni taleem ap ko is spciety mai fit nahi kar sakti aur .......sirf dunyavi taleem ap ko acha insan nahi bna sakti Allah ky qareeb nahi kar sakti .....is lia dono hi zaroori hen
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013