Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

young age Engagment: I Dont Want To Marry Him?

Social Problem   >>  Culture and Society
 
 
 
sedra Ali Group: Members  Joined: 24th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 89  Age:  26  
Posted on:2nd Apr 2008, 4:10am
 

young age Engagment: I Dont Want To Marry Him?

salam 2 all members,may BSC ka student houn or is foram ko aksar read b karti rehti houn,,masla ye hai ki mary ghar waloun ny bachpan may hi mery cousin k saat magni k huwi hai,,ab may us say shadi nahi karn chasti,wo 1 no ka lafanga or boht hi zalim larka hai,,5 class may shayad 3 dafa fail howa hai or ab driving kararaha hai,aker may us say shadi kaisy karsakti houn,,may tu kisi or say karna chasti houn laikin ghar waly kehty hai ki ye rishta bachpan may hi ty hue hai ab kerni pary gi,,is may masla ye hai ki ager may shadi na karoun tu meri bari behn jis ki shadi usy ghar may huwi hai taliq daingay,,akher may kia karoun .,,,,phir b may karlayti ager wo acha hota tu,us nay kuch para tu nahi laikin us k saat saat her wo buru adat us may hai jis ka jikar kerna nahi chasti,,,,,,,,
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7344  Age:  32  
Blocked
Posted on:2nd Apr 2008, 4:22am
 

problem is problem

sedra jee maray khayal may app  kee shadi ussi ghar may hoo gee kyoo kay app kee ELDER sister phlay hee waha per ha .Agar app kee elder sister app ka sath day too pher problem solve hoo sakti ha.

Agar app kee shadi udher hee hoti ha to app uss insan koo bee acha ker sakti ha.

fatma jhan Group: Members  Joined: 27th Mar, 2008  Topic: 3  Post: 14  Age:  27  
Posted on:2nd Apr 2008, 4:56am
 

listen

tum kise b trha hus larky ko ahtmaad mein le kr kah do k mein kisi aur se muhabat krti hon so mein ium se shadi nahi kr sakti aur hus se kaho k wo apny ghar walon k samny apny trahf se inkar kr de .tum koshish kr k dakho tumare problem k is k sawa koi b solution nahi ha
sedra Ali Group: Members  Joined: 24th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 89  Age:  26  
Posted on:2nd Apr 2008, 6:48am
 

reply

goodman,ap jo kehrahy hai wo mumkin nahi,meri sister k 3 bachy hai or mujy nahi lagta ki ki wo meri wajy sday apny bachoun ko chod dayngi,,
fatima jhan,,ager may us say ye kahuon ki may kisi or say shadi karna chasti houn tu wo mujy jan say mardayga wo boht zalim hai,ager is bary may mery ghar waloun ko b pata chala tu wo b mujy nahi chody gay,,,,,,,,,
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:2nd Apr 2008, 7:22am
 

Sedra Ali

shaadi ke zaroori hai ke ladki ladka donu aak dosre se pyar kare raazi ho jab aap raazi nehin to mere khayal se aap ko shaadi nehin karni chahein..

jab aap abhi se ose acha nehin samujti to mere khayal se shaadi ke baad bhi bhut si baatein janam le gi..

aap ki sister pehle he ladke ke ghar mein hai to mere khayal se aap ko wahan shaadi bilkul nehin karni chahein kyun ke aak ghar mein donu behane shaadi kare to bhut se masle bante hain aur yeh aankhon dekhi baat hai.

aap ki sister k rishte ko kuch nehin ho ga woh apni life wahan guzaar rehi hain inshallah kuch nehin hota

mera mashwara yeh hai ke  aap apne ghar sab kuch bata do khass toor pe apni ami ko aur saaf lafzo mein on se keh do mujhe wahan shaadi nehin karni..ager apa ke ghar wale onko inkaar kar de ge ke hum shaadi nehin karna chahte to ladka kuch nehin kar sakta..aur wese bhi aap ke woh rishte daar hain to kuch nehin hota..aap sirf apne ghar walo ko raazi karo pyar se mohubat se mujhe umeed hai woh maan jaye ge

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:3rd Apr 2008, 4:04am
 

sedra ali

im agreed to veer......

unhon ne bilkul sahi baten ki hain...u must act on his suggestion...

ap apni mother se bat kereyn...unhen samjhayen....us k bad apne father ko ap dono mil ker aitamad mein ley ker is rishtey se inkar kereyn.....

agar us larkay mein itni khamiyan hain to yakeenan ap k ghar waley bi ap ka sath deyn gey.,....ap us larkay k negative points talash kereyn aur phir ap k ghar waley bi unhin negative points ki bases per rishtey se inkar ker sktey hain....

saima arif Group: Members  Joined: 26th Mar, 2008  Topic: 10  Post: 401  Age:  35  
Posted on:3rd Apr 2008, 4:44am
 

Sedra

Marey khyal may app appney sister say is barey may bat karey or un say kahey kay appney husband say bat karey.Or appney husband say pochey kay agar app ney is shadi say inkar kar diya to app ki sister kay husband ka kiya react ho ga agar app ki sister key husband ko koi masla nahi hey to phir app key mana karney par bhi kuch nahi ho ga.or app appney parents ko bhi aram say is barey may bata dey or us larkey ki buri harkatoon kay barey may bhi bata dey.Himmat nahi harni chaya koshish zaroor karni chya.
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7344  Age:  32  
Blocked
Posted on:3rd Apr 2008, 4:51am
 

good

miss saima app nay bohat acha mashwara diya ha.this is the best suggestion.very good.

Shama Jaltay Jain Charag Roshan Hotay Jain Gay

Kabi To Dunya walay Samj Jain gay hamaray prwanay koo.

thanks.

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:3rd Apr 2008, 6:02am
 

yes

gud suggestion from saima also
janooji Group: Members  Joined: 03rd Apr, 2008  Topic: 0  Post: 4  Age:  37  
Posted on:3rd Apr 2008, 6:24am
 

i think

i think you have to secrifiz for you sis becoz if you will not get marri with that man may be you sis life will be blast so you have to do thia baki allaha koi rasta nikal day ga

 

Rizwan++ Group: Members  Joined: 15th Nov, 2007  Topic: 12  Post: 243  Age:  25  
Posted on:3rd Apr 2008, 8:42am
 

hmmm

is liye forum ke title par urdu story likha hua hai.
sedra Ali Group: Members  Joined: 24th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 89  Age:  26  
Posted on:3rd Apr 2008, 1:12pm
 

thanks 2 all

ap sub ka thanks,may kosis tu kar rahi houn,,asl masla ye hai ki jijaji es waqt nahi hai jab wo agayegay tab hi kuch bany ga,mery ghar waly b nahi cahty ki mery shadi us larky say ho,,ap sub ka boht shukirya,,may is foram may ati rehti houn,,or ap suy ye kehna hai ki plz ap mery liye DUA karna,,,bye
Hangama Group: Members  Joined: 02nd Dec, 2007  Topic: 37  Post: 1261  Age:  37  
Posted on:3rd Apr 2008, 3:34pm
 

sedra Ali

2 advices.

  1. Yah to shadi karloo aur apnai dil sai us larka ka khayal nikaldoo
  2. Yah phir apnai parents ko batadoo aur ussi larkai sai shadi karoo.

yah 2 advice es liya de hain kiyu kai agar ap nai apnai mangaiter sai shadi karli aur apkai dil mai wohi larka raha to na ap shadi kai baad khush rahaingi aur na hi apkai husband... Es liya bahter yahi hai kai ap apnai parents sai khul kai bat karain aisa na ho kai baad mai ap ko pashtawa hoo. Sab hi members nai achi advice de hain.

known_boy Group: Members  Joined: 25th Sep, 2007  Topic: 4  Post: 87  Age:  27  
Posted on:3rd Apr 2008, 5:28pm
 

very bad.....

sister ye sirf ap akeli ka masla nhi bal k boht si larkiun ka hy. pta nhi ye system kab or kese khatam ho ga. i can feel ur problem but cant help u. ap inkar b nhi kar sakti or shadi b nhi kar skti. or jese ap ne apne fiance k bary me bataya us se to pir bat kerna be apne liey or problems banana hy.

ager ap ki sister wahan per bilkul khush hy or unhe kisi kism ki problem nehi to pir to ap ko shadi ker leni chahie hy lkin ager wo already problems me hy to pir ap kun apni life b barbad karti ho inkar ker do. lkin ager ap ko lagta hy k ap k parents boht ghusa hon ge or zaberdasti kara de gein to phir to kerni hi pare gi.

us k bad koshish karen k ap shadi k bad apne husband ko change kar den or isi ko apni zindagi ka maqsad bana lein.

wo jo kahe un ki her bat mana kareyn itni khidmat karein k wo aap per zulm kare b to us ko sharam ajaye. nimaz parha karein or boht sari duayein maang lia karein, un k samney Quran-e-Pak ki tilawat kia karein is se un ko umeed hy k ghusa nhi aye ga bal k dil me narmi peda ho gee.

sister mere khayal me yahi sab se behtar tariqa hy. her insan chahe jitna b bura kun na ho pyaar chahta hy, ap us ko itna pyar kero k wo badal jaye. wo jitna b ghusa kare kabi aage se kuch nahi kehna bal k sir neeche kar k khari reho or kaho aynda esa nhi karun gee....

ok i think its enough........bus nimaz parhe or Allah per sab kuch chor dein, inshAllah sab kuch theek ho jaye ga, pareshan mat hon....mey or baaqi members be aap k liey dua kare gein.....

Allah hafiz
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:3rd Apr 2008, 6:40pm
 

Re

Mein known boy ki baaton se agree karti hoon. Hamari society mein still aisay problems hein jin ki waja se larki bohat bebas ho jati hai. Ziada masla wahan hota hai jahan parents apni baitiyon ko woh maqam nahin detay jo un ka haq hai, or bas un ki jald se ald shadi kar ke bojh utarnay wali baat kartay hien.

Sedra ne jo situation batayi hai, is mein bohat problamatic hai is saray case ko handle karna. Aik taraf behan ka ghar hai tu dosri taraf apni zindagi hai, maan baap ki izat ki bhi baat hai. Lekin known boy ne bohat achay tareeqay se is maslay ko hal karnay ki suggestion paish ki hai. Aap ko yeh dekhna ho ga k agar aap ki behan wahan khush hai tu aap ki shaadi k baad woh aap ko achay tareeqay se support kar sakay gi or aap ko apnay would be husband ko change karnay mein un ki help milti rahay gi. Aap ko as himat se or sabar se kaam lena ho ga.. inshaALLAH ALLAH aap ki madad zaroor karay ga.  But agar aap ki sister hi wahan pareshan hai tu aap apni mother se baat karein or kahein k aik baiti k baad ab dosr baiti ki zindagi tu kharab mat karein. Agar baat sir yeh hai k zaban di hoi hai or izat kam ho jaye gi tu kisi ki life se barh kar kisi zaban ki koi value nahin.. May ALLAH help you.. ameen.

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:4th Apr 2008, 2:18am
 

sedra

very wise reply by known _boy

very gud yar

u r a v sensible person :-0

1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012