sabi_123 |
Group: Members Joined: 06th May, 2007 Topic: 3 Post: 8 Age:
26
|
|
Posted on:6th May 2007, 5:11am |
|
|
Depressions And Acid Peptic Disease Only requested to Doctor Rizwan for answer plz ........ A.A , Doctor sahab mera nam saba ha ma had se ziyada perashan hoo mujhe kuch samjhe nahi a rahi ke ma kiya karoo mera problem kuch es tarha ha ke ma 3 saal se ajeeb se bemari ma mubtala hoo jiss ka shaid koi nam be nahi sab doctors kehta hain ke ma teek hoo mujhe sirf depression ha or kuch ye ke meda ka problem ha . mujhe bhook nahi lagti gala bilkul band ha esa lagta ha jesa kesi ne gale ko zoor se dabaya hua ho ya koi jeez gale ma peass gai ha etni shadeed or ajeeb se ghabrahet or feelings hoti hain ke us waqat mujhe sirf aik hi baat mehsoos hoti ha ke ma merna lagi hoo or mera sans nikal raha ha jiss ki waja se mujhe moot se dar legne lag para ha mujhe her waqat or khasosaen us waqat jab mujhe takleef ho rahi hoo moot se bohat dar lagta ha ye sab beach main kuch ersa teek ho gaya tha means normal tha lakin ab pher 1 week se mujhe ye sab ho raha ha mujhe kuch samjhe nahi a rahi ke ma kiya karoo .sab kehta hain ke asal waja ye ha ke tum nashta nahi kerti thi jess ki waja se tumhara meda proper kam nahi ker raha or ye sab problem ha ..., doctor sahab es ke alawa mujhe gase trouble be mehsos hoti ha mujhe lagta ha ke gase mera gale ki taraf ati ha lakin nikalti nahi pher mujhe ziyada takleef hoti ha or esa lagta ha jesa mera sans band ho raha ha ,kabz be rehti ha and sab se akheri baat jo mena kisi doctor ko nahi batai wo ye ke takreeban age se 3 saal pehla mena apne haath se masturbation ki thi us waqat main bikul teek thi weakness to thi lakin ye sab nahi tha mujhe shadi se nafrat ha bachpen sa mujhe nahi samjhe ati ke mena wo kesa kiya bass main masturbation bohat din khuab main daikhti rahi jabke mujhe nahi pata tha ke ye sab be hota ha us waqat ma 2nd year ma thi mujhe sex or opposite relation jesa meia bivi ke bare ma kuch ailm nahi tha mena khab me apne hath se intercourse bohat dafa daikha us ke bad men bajboran use kerna ke liya tiyar ho gai ke akher ye ha kiya mena pencil se or esi hi chezo se masturbation ki mujhe ajeeb sa sakon milta pher jab be mujhe koi perashani hoti to main esa hi kerti or mera damage se wo baat nikal jati pher ma had se ziyada bemar ho gai na raat ko soti or na din ko meri sehat etni down ho gai ke ab jo mujhe daikhta ha kehta ha ke ye tum ho ma bohat ziyada weak ho gai moot ka khuaf or baki sab talefain jo ma biyan be nahi ker sakti kher us ke bad do saal mena wesa kuch nahi kiya ye baat kisi ko nahi pata even ke ma apni friend ko be nahi baat sakti ap ki side ke bare ma mujhe meri friend ne bataya mujhe aik saal se ap ki es side ka pata ha lakin mujhe ma hemat nahi hoti ke ma ap se ye sab kahoo abi be mujhe bohat sharam a rahi ha or mera dill ker raha ha ke ma ye sab na likho mena esa jab bi kiya perishani ma kiya or pher hamesaha toba ki abke ho sakta ha ke ye teek na ho mujhe nahi pata ke ye tek ha ya nahi .2 saal ke bad jab ma teek ho gai thi mena esa pher kiya or tab kerti jab ma bohat majboor ho jati means month ma aik dafa lakin meri tabiat pher wesa hi ho gai ha lakin ab mena takreban aik month ho gaya ha wesa kuch nahi kiya or dill se toba ki ha or her namaz ma ALLAH se mafi magti hoo ke mujhe maf ker dain ager ye sab esi waja se ho raha ha to mujhe teek ker dain. Doctor sahab mujhe ap batain ke ma kiya karoo or meri problem kiya esi waja se ha or ager nahi to pher es ka kiya hal hain ma kesa teek ho sakti hoo main bohat perashan hoo meri sari routine kharab ho gai ha mujhe se koi kam nahi hota namaz be ziyada ter nahi peri jati main student hoo B.A ki lakin meri studies milkul teek nahi ho rahi man na kisi sa bolti hoo na bolne ko dill kerta ha na koi kam kerna ko or na hi perna ko mera sare khuab meti ma milta ja rahe hain mujhe perna ka bohat shuk ha ma kuch bana chahti hoo lakin mujhe se kuch be nahi ho raha plz meri help kerain plz ........................................... main ap ka ye ehsan sari zindagi nahi bhoolon gi plz help me out plzzzzzzzzz I m waiting for ur reply , ALLAH HAFIZ .
|
Dr Rizwan |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 1 Post: 519 Age:
46
|
|
Posted on:9th May 2007, 1:45am |
|
|
re: sabi_123 You are suffering from anxiety associated with some depressive symptoms. For treatment consult any psychiatrist. he/she will give you some anxiolytic drugs, symptomatic drugs and do psychotherapy.
Note: next time write your question only in few lines. no one has enough time to read so long question.
|
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:9th May 2007, 3:44am |
|
|
Re. problem misc025: Mr. agar aap waqai sincere hain tu aap is ka hal yahan bhi bata saktay hain. yeh koi larkion sai dosti bananay ki jagah nahin jahan aap apna number dai rahay hain. aur i think agar kisi sister ko koi pareshani hai tu is ka matlab nahin kai unhain aqal nahin. aaj kal sab ko maloom hai kai kia acha hai aur kia bura.
sabi_123: Sis aap ko mashAllah koi problem nahin, aap bilkul theek hain, jis tarah doctor sahib nai kaha hai us tarah karnay ki koshish karain aur bas apnay khayalat ko positive rakhain aur bas yeh sochain kai aap bilkul theek thak hain. yeh sirf aap ki will power ka khail hai, apnay nafs ko qaboo karna jihad e akbar isi liye kaha gaya hai. bas namaz aur quran parhain, religious aur achi books parhain, aur apni studies per concentrate karnay ki try karain, apni general sehat ka khayal rakhain, aap bilkul theek thak hain. yeh jo guilty feeling hai isay khatam karain aur achi diet aur achi activities main rahain. dekhaina ap bilkul theek aur fresh ho jayen gi. agar koi confusion hai tu yahan question karain. InshaAllah yahan buhut saray helping members aur doctors hain woh aap ko zaroor reply karain gai. kisi ko phone ya email per contact karnay ki zaroorat nahin. aap buhut nice , shareef, gairatmand aur apni family ki izzat ka khayal rakhnay wali larki hain, aur Allah aap ki madad karay ga, kisi ko personally contact karnay ki koi zaroorat nahin. thanks |
sabi_123 |
Group: Members Joined: 06th May, 2007 Topic: 3 Post: 8 Age:
26
|
|
Posted on:9th May 2007, 10:36am |
|
|
but......... thanx faisee bhai i understand what u want to say . personally i have no interest to talk with boys n like this never ever mena aje tak kisi larke se baat nahi ki or jesa ye keh rahe hain how it possible mena apna problem jesa doctor sahab ko bataya ha ye ma janti hoo esi liya mena sirf unhain reply kernna ko kaha pher kisi or se es topic per baat kerna no way .............. .
kher thanx for ur guideness but doctor sahab app ne kaha ke main kisi psychiatrist se consult karo to mena ye be kiya takreban 6 month mena treatment kerwai unho ne mujhe anxiolytic drugs den jen ma (xanix) be shamil thi but after that unho ne ye kaha ke esa ye problem nahi ager hota to ye teek ho jati she will alright no anxiety problem.mena wo drugs bohat mushkil se chori hain plz mujhe koi or solution batain reh gai baat diet ki to mujhe bhok hi nahi lagti then what can i do ..........? |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:9th May 2007, 2:48pm |
|
|
anxiety and depression ap ka etna lamba post read karne ka time nahi hai. do bimari ke alamat likh rahi ho ap ise read kar ke batai keh kia yeh alamat ap ke andar hai.
Depression: mayoosi aur udasi hoti hai, dunia achchi nahi lagti, kisi kam mai dil nahi lagta. rone ko dil karta hai. har kam karne ke bad aur koi bat kahne ke baad guilt feeling aur pachtawa hota hai. khoodkashi ke khialat ate hai. marne ko dil chahta hai. har waqt susti kahili aur thakawat aur kamzori mahsoos hoti hai. insan double minded hota hai. dil aur dimagh ki jang chal rahi hoti hai. yani dil kuch aur dimagh kuch aur kah raha hota hai. neend nahi ati, wazan kam hojata hai, chehre ki ronaq khatam ho jati hai. aisa lagta hai ke kisi ne jadoo aur taweez kar dia hai ya koi asrat hai.
Anxiety: palpitation hota hai. sans rukti hui mahsoos hoti hai. aisa lagta hai keh dam ghut raha hai. aisa lagta hai keh dam nikal jai ga. khof hota hai keh mar na jaoon.
anxiety mai khoodkashi ke khial nahi ate aur na hi kisi bat par guilt feeling hoti hai.
dono bimari mai hazma kharab ho sakta hai. bhook khatam ho sakti hai.
ab ap khood hi faisla kare keh ap ko anxiety hai ya depression ya dono ya in mai se koi nahi. ap ke jawab ke baad hi ap ko munasib ilaj bataya jai ga.
|
sabi_123 |
Group: Members Joined: 06th May, 2007 Topic: 3 Post: 8 Age:
26
|
|
Posted on:12th May 2007, 4:48am |
|
|
 A.A;
jo alamaten app ne anxiety ki batai hain wo sab hain es ke elawa dill khabrana, pore badan main dard or khas ker left side main pesli ke nicha her waqat pain rehta ha jo jab ziyada hota ha to esa feel hota ha ke pore dill ko kisi ne zoor se paker liya ha or badan bilkul bejan sa rehta ha es ke elawa mujhe main blood deficiency bohat ziyada ha es ke elawa mena apni her feeling apni pehli post ma explain ki thi take ap ko koi problem na ho. death se mujhe had se ziyada dar lagta ha jab kisi ki death ka sun loo to meri tabiat wesa hi bigar jati ha .ab ager ap kehain ke mujhe anxiety problem ha to mera khaiyal se nahi kioun ke ager esa kuch hota to mena es ki treatment mukamal kerwai thi lakin ma teek nahi hui jess per doctor ne yahi kaha tha ke esa ye problem nahi overall ap batain ke kiya problem ha or es ka kiya hal ha plz meri madat kijiya i m very thankfull to u ..... |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:12th May 2007, 6:03am |
|
|
psychiatrist agar ap ko anxiety hai tu ap kisi ache psychiatrist se ilaj karai. pahle ap ka ilaj kio nakam hua is ki kai wajoohat ho sakti hai. ho sakta hai keh ap ne doctor ki hidayat par mukamal amal na kia ho. ho sakta hai keh ap ne jis se ilaj karaya wo psychiatrist hi na ho. yeh bhi mumkin hai ke os ke hath mai ap ke lia shafa na ho. ap ko mashwara dia jata hai keh ap kis ache psychiatrist se os waqt tak ilaj karai jab tak ap mukammal sihatiab na ho jai.
|
sabi_123 |
Group: Members Joined: 06th May, 2007 Topic: 3 Post: 8 Age:
26
|
|
Posted on:13th May 2007, 2:18am |
|
|
tell me..... A.A ;
mena doctor sahab ki book main parah tha ke badan pey safaid lakerain hone ki kiya waja ha . unhoo ne kaha hain ke ye Pregnancy ke bad badan per mukhtalif hisoo per ban jati hain lakin main ye pouchna chahti hoo ke mera sath be yahi problem ha halake meri to abi shadi be nahi hui meri chest,pate or legs per safaid lakerain hain plz batain ke ye kioun hain or kiya ye teek ho sakti hain plz ............................... |
Dr Rizwan |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 1 Post: 519 Age:
46
|
|
Posted on:13th May 2007, 2:35am |
|
|
re: sabi_123 Please post your new question as a separate new topic
|
baba301063 |
Group: Members Joined: 30th Apr, 2007 Topic: 0 Post: 2 Age:
50
|
|
Posted on:13th May 2007, 7:46am |
|
|
Pls help me my dear sister frist of all aap bulkul apney zain say nikal do khey aap bemar hu.
Band aap ko TIBEY NABVI say eiak davi bata hun Mujhey apney ALLAHA per pora zakeen aap theek hu jo gi. ALLAHA per barosa kar kay shorun kar do Allaha ney caha tu eiak du din mayn hi afaqa nazar ahgey ga.
Davi ka Tareka kuch eis tara ka hay
Room Temputer ka eiak glas PANI lo aour us mayn eiak chamca shaid (hony) ka hal kar kay Suba jub Fajar ke Nemaz kay leyey utho to nehar munh with out bursh your thet eis ko pe lo pher wash room jaho wozo karo Nemaz paro aour jub Theek hu jaho tu muj ko doa may zad rakna
|
asadiqbal |
Group: Members Joined: 29th Apr, 2007 Topic: 0 Post: 25 Age:
45
|
|
Posted on:13th May 2007, 8:12am |
|
|
SUNO MERI BAAT dekho tum shadi karlo yehi tumhara ilaaj hai dost plz..............shadi se sab theek ho jayega?? warna tum is meinphasti chali jaoogi ............??? |
sabi_123 |
Group: Members Joined: 06th May, 2007 Topic: 3 Post: 8 Age:
26
|
|
Posted on:14th May 2007, 3:53am |
|
|
thanks baba301063... thank u bhai for ur such a nice post . ma ap ke tareke per zaroor amal karoo ge and mujhe yaqeen hain ke jab ALLAH or apne PIYARE NABI (PBUH) per suche dill se yaqeen or bharosa ker liya jae tu wo kabi be kisi ko khali hath nahi lotate wo hameri madat zaroor kerain gey .bus ap be mere liya dua kijiya ga .may GOD bless u .......... |
zab ali |
Group: Members Joined: 11th Jun, 2007 Topic: 0 Post: 1 Age:
27
|
|
Posted on:11th Jun 2007, 3:01pm |
|
|
please help me!!!!!!!!!!!!!
aslam o alekum:- dr sahib mera problem hia k mai 2 year pehle "MUST zani"karta tha,ab mujeh 4 month ho gae hai mai ne yeh kaam choar diya hai.keya ab mai army ke leye apply kar sakta hoo?ghar wale zoor de rahe hai ke army join karo.i am really very worry about that.if i reject in army due to .....so whats happan? reply me fast....i shall be very thanksful to you. zab ali Moderator note: Irrelevant reply to the original post. Please don't post irrelevant reply. If you have any question then post as a new topic.
|
|