danishmir |
Group: Members Joined: 27th May, 2007 Topic: 16 Post: 22 Age:
30
|
|
Posted on:28th May 2007, 4:07pm |
|
|
What Are The Demerits Of Marriage In Family
DR_KHAN80 MAIN AAP SAY AUR DOSRAY DRS. SAY PUCHNA CHAHTA HOON KAY KIYA SHADI GHAIRON MAIN KARNI CHAHIAY?AGAR APNOON MAIN KARTAY HAIN TO SEX KARNAY MAIN THORA LIHAZ KARNA HOTA HAI KAY LADKI KIYA SOCHAY GI AUR GHAR WALON SAY KIYA KAHAY GI?
|
V VIP? |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2007 Topic: 12 Post: 27 Age:
37
|
|
Posted on:29th May 2007, 10:21am |
|
|
Kisi se bhi aap shadi karsakte Dear Bro
Aap kisi se bhi shaadi karsakte chahe woh ghair ho ya relatives sex ke secrets yeh aap ke uper depend karte hain aapka jitna relation bonding hoga utna hi wife aur husband main sexual satisfaction hoga.
|
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2047 Age:
45
|
|
Posted on:29th May 2007, 5:02pm |
|
|
re: danishmir shadi kisi se bhi kar sakte hai. medical point of view se 1st cousin ya qareebi relative mai nahi karni chahia. kio ke is tarah bacho mai khandani moroosi bimari hone ka khatra rahta hai.
|
khan_80 |
Group: Members Joined: 09th Mar, 2007 Topic: 8 Post: 2604 Age:
33
|
|
Posted on:30th May 2007, 11:04pm |
|
|
 either u get married in family or out of family, the basic thing is love, care and understanding which can make a couple's married life easy, pleasent and enjoyable.
sex is a couple's personal and extremely private matter, which should not be discussed with anyone (except doctor, for treatment or consultation). its not a thing to be told in friends or family. |
reliever |
Group: Members Joined: 04th Jun, 2007 Topic: 7 Post: 24 Age:
35
|
|
Posted on:14th Jun 2007, 4:08pm |
|
|
 Cousin say shaadi karnay main koi harj nahi hai islami lihaaz say. Lekin, ek to
medically tor par risky hai kay beemaarian mutaqil na hojayain, doosri baat,
buhut say ulema cousin say shaadi ko mustahib nahi samajhtay. Main nay
Hazrat abdul qadir jeelaani (r.a) ki kitaab Ghaniya-tul-taalibeen main parha kay
cousin say shaadi karnay main nuqsaan yeh hai kay agar koi jhagra hota hai
miam biwi kay darmian, to us ka laazmi asar dono families par paray gaa or
nachaati paida hogi jo Islami lihaaz say buhut bara gunnah hai (kay do khooni
rishtay daar aapis main jhagra karain). Agar khala ya mamo ya chacha ya
phopi ki beti say shaadi ki or kal koi an-ban hogai to dono khandaan apis main
larain gai or ek bhai ya bhen dosri behen say laray gi or baat cheet badn
hojaye gi, jo islam main buhut bara gunnah hai kay aisay aadmi ki maghfarat
ramzan main bhi nahi hoti. isi liyee islami lihaaz say behter yehi hai kay cousin
kay bajaiye ghairon main rishtaa kia jaiye. aap log apnay ard gard nazar
daalain, kitnay hi khaandaanon main larai chal rahi hai or bhai or behnain ek
doosray ka moonh dekhna nahi chahtay. Ek baat or bhi hai kay ghairon main
shaadi karnay say rishtadarian or khandaan barhtay hain jo socialization kay
liye buhut zaroori hai. bhai danishmir nau jo baat ki hai lihaaz ki, hazrat
jeelaani (r.a) bhi yehi likhtay hain kay cousin say shaadi karnay main yeh bhi
hosakta hai kay mukammal bekataluffi na ho paye. Phie aap nay sahaba karam
ka hawala diya hai kay un kay zamanay main bhi yeh ek aaam practice nahi thi
or log doosray khandanon main shadia kartay thay.
|
tyrant |
Group: Members Joined: 13th Jun, 2007 Topic: 0 Post: 24 Age:
33
|
|
Posted on:15th Jun 2007, 12:14am |
|
|
 love to kisi se bhi kiya ja sakta hai, sexual satisfaction bhi kisi se bhi haasil ki ja sakti hai. lekin baat love aur sexual satisfaction ki nahi hai. asal cheez hai medical point of view. aur voh yehi hai ke cousin marriage ke asraat bacho ki sehat ke liye khatarnaak hain. ye cheez saabit shuda hai. bohat si beemaariyan aisi hain jo ke cousin marriage ke nateejay mein paida honay waalay bachoN mein bohat zyada hoti hain.
west mein aam taur se cousin marriage nahi ki jaati. au is ko bura samjha jata hai. abhi kuch months pehlay main ne ek case parha tha ke ek couple ke 1 bachay ko koi disease thi to doctors ne us ka test kiya. dusre bachay ko bhi disease thi doctors ne us ka bhi test kiya. isi tarah teesray bachay ka bhi test kiya to us ke saath bhi vohi masla tha. to doctors ne police ko bula liya aur kaha ke dono miyaan 100% relatives hain. aur relatives ki shadi west mein qanoonan jurm hai. baad mein tehqeeq hui to pata chala ke vo dono miyaan biwi actually maa aur betay thay. dekhnay ki baat ye hai ke doctors ko un ko ye kaise pata chala ke couple aapas mein blood-relative hai? sirf bachoN ki disease dekh kar doctors ko pata chal gaya ke couple aapas mein blood relative hai. aur doctors ne sirf bachoN ki test-report ko buniyaad bana kar police ko bula liya. |
|