aksar aisa hota hai keh, aik larka aur larki muhabbat kerte hai, lekin waldain nahi maante. larka aur larki dono poora zor lagate hai keh waldain maan jaye lekin waldain phir bhi nahi mante.
aisi soorat mai beshter larke aur larkia sabar ker lete hai aur waldain ki marzi se on ki pasand ke larka ya larki se shaadi se ker lete hai, (aisi beshter shaadi kamiab bhi hoti hai) jab keh kuch (less than 1%) chup ker court marriage ker lete hai (beshter baad mai nakam ho jaati hai). on ki iss herkat se na sirf waldain ko dukh hota hai balkeh badnami ka bhi samna kerna perta hai.
Generally hamare culture mai isq o mohabbat aur court marriage ko pasand nahi kia jaata, lekin Insani haqooq ki tanzeem (like Asma Jahangir) iss qisim ki shaadi ki bharpoor himayat kerte hai.
mera sawal yeh hai keh kia ishq o muhabbat ki khatir:
waldain ko dukh dia jaasakta hai?
kia hamara mazhab aisi shaadi ko allow kerta hai?
kia hamara culture aisi shaadi ko allow kerta hai?
kia samaj aur waldain se takker lena Insani haqooq ki azadi kehlata hai?
kia koi aisa step (court marriage) lia jaa sakta hai jis se waldain ki badnami ho?
aisi nojawan joro ko sabar ker lena chahiye ya phir court marriage ker lena chahiye?
1. waldain ko dukh ,, kuchh saal pehlay mai bi yehi sochta tha k aik larki ki khatir insan waldain say jhagra karay ye to galat hai,, lekin ab soch thori change ho gaee hai,, mera khayal hai waldain ko bi sochna chahiye k agar larka ya larki kisi ko pasand kartay hain to (bajaey hinduana rasoomat ko follow karnay aur zaat paat ka nizaam ko follow karnay k), apni tasalli karnay k baad bachay ki udhar hi shadi kar dain..
2. court marriage k baray mai religion kia kehta hai ye to muje sahi nai pata,, lekin agar muslim country mai courtmarriage ki ijazat hai to phir gunah agar hota bi hai to country k sarbaraah ko hi hoga jisnay wo kanoon banaya...
4. samaaj aur waldain ko samajhna chahiye k unkay bachay ki kis bat mai khushi hai.... kyon ziddi pan ka muzahira kartay hain..
5. bachay to jazbaati hotay hain, aur tara sochtay hain jabkay maa baap ko tahammal say situation par ghor karna chahiye, aur aisay halaat hi paida na karain k unkay bachay ko court marriage karna paray....
waisay koshish karni chahiye k aisay chori chhupay shadi na hi ki jaey, shadi karni hai koi chori nai, sab k samnay shadi karnay mai jo khushi aur zehni sakoon hai wo is tara chori chhupay shadi mai nai mil sakti...
Jitna kai mujai lagta hai sab sai pehlai to mahool ko aisa rakna chahiyai kai us main aisai kaam na ho.Ham khud hi apnai hatoon sai aisa kar watain hain.Ham main pardai ki kami sab sai khas hai.Dosri baat yai kai ham nai larkai aur khass phir to larki ko ijazat dai raki hai aisai kulai aam ghoomnai ki.Aur phir ham umeed bi raktai hain kai mohabat nahin hogi.Bhayee bagair daikai mohabat hoti nahin.
Hamarai haan Co-Education aam ho rahi hai,Parda khatam ho raha hai,Na-moharam ki izat moharam sai zyada ho rahi hai,Zinnah karnai walai kulai garaibaan ghoom rahain hain,Sharaab pani sai zyada istimaal ho rahi hai,Har cheez araam sai milti hai.To Mohabat aisai mahool main kam hoga ya zyada.Waisai aik baat hai mohabat koyee ajj kal karta hi nahin hai.Mohabat sirf jinsi hti hai ajj kal na kai rohani.
Agar ham aisai mahool ko rook dai aur pardai ka barpoor kyaal rakai.Aur na-moharamon ka milna julna sirf zaroorat kai tahat kardain.Wo chahai ristidaar hoon ya paraiyee.Ham nai apnai behnoon aur bahiyoon ko internet ki sahoolat dai raki hai.Khabi ham nai yai nahin daika kai internet kis maqsad kai liyai use ho raha hai.Mobile hatoon main dai diyai hain bagair kisi wajah kai.To mujai lagta hai aisai mahool main larka aur larki kai pass shadi karnai ka yahi chara reh jata hai jis sai kai badnaami hoti hai dono ki.
Ham apni behnoon ko larkoon kai saat school main dakhil kar watain hain.Halankai larkiyoon kai liyai alahida schools,colleges hotain hain.Lakin hamari yai sooch hoti hai kai wahan parayee teeq nahin hoti.Asal baat azadi ki hai jo kai ham nai kuch zyada hi dai raki hai.Abb to hokomat nai 18 saal kai umar main larkai ya larki ko apna ikhtiyaar dai raka hai.Yai aik aur asani jo kai court marrige main madad kar sabit hoti hai.Aur har insaan apni ankoon sai daik raha hai magar kuch kar nahin raha.
mere bhai Allah tala nay pasand ki shadi karnay ki ijazat di hai, nikah k time larka aur larki jab tak pasandeedg / kabuliat ka iqrar na kar lain tab tak shadi nai hoti... aisa kabi nai ho sakta k larkay ki taraf say uski maa ya baap 3 bar kabool hai kahay aur shadi ho jaey,, aur na hi aisay ho sakta hai k larki ki taraf say larki ki maa ya baap kabool hia keh dain ya haan mai aur sharma kar sir hila dain jis say log samajh jain k larki ko shadi manzoor hai..... ye hakk sirf aur sirf larka aur larki ko hai k wo aik dosray ko accept karain ya reject karain..
kuch ulmaa to ye bi kehtay hain k larkiyon ka face chhupana zaroori nai hai, aur wo aisay hi shadion par jain, family gatherings mai jain, ta k log unko dekh sakin aur agar kisi ko pasand aa jaey to us larkay say mazeed baat ki jaey.. aur larki bi dekhay agar usey koi larka pasand hai to waldain ki mojoodgi mai larka aur larki aik dosray say discussion bi kar saktay hain (NOT in alehdagi) ... larkay aur larki ko apnay liye life partner select karnay ka pura right hai...
aur ulma ye bi kehtay hain k larka ya larki agar shadi karna chahtay hain to unkay parents ko rukavat nahi ban-na chahiye aur apni pasand bachon par thopni nahi chahiye (lekin sath ye bi k agar maa baap raazi na hon to bachon ko laraee jhagra nahi karna chahiye)
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
Posted on:11th Mar 2008, 11:44pm
Bewaqood Bahi app k Sawalaat or BeautyStar k Short Jawabaat
mera sawal yeh hai keh kia ishq o muhabbat ki khatir:
waldain ko dukh dia jaasakta hai?
Never .... Kisi surat ma bhi nahi.
kia hamara mazhab aisi shaadi ko allow kerta hai?
Nahi... Shadi hamesha Ali-O-Elaan hone chahiyah.
kia hamara culture aisi shaadi ko allow kerta hai?
5% only. Rest... "NO"
kia samaj aur waldain se takker lena Insani haqooq ki azadi kehlata hai?
Nahi... Yah tou Waaldeen ki Na-Farmani kahlaey gee.
kia koi aisa step (court marriage) lia jaa sakta hai jis se waldain ki badnami ho?
Kabhi Nahi...!
aisi nojawan joro ko sabar ker lena chahiye ya phir court marriage ker lena chahiye?
Sabar karlena chahiyah... jo kah Mushikil hai per Na-Mumkin... Waqt k
saath saath sarey dard or zakhan khudh hi bhar jaatey hain.
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.