Sweetie Sister Sometimes parents are afraid to talk about their feelings or ask their child how she or he is feeling. However, if you don't talk about depression, your child may feel even more alone. yahan kuch points discuss kerna chahonga.
un ko ehsas dilain aap un ka khyal rakhti hein, jaisa keh, ( I love you / You are important to me / I care about how u r feeling )
Un ki feelings ko samjheen, un ki feelings ko apney questions sey open kerney ki koshish karen, for example :
Kabhi kabhar log depressed hotey hein, tu Udas hojatey hein, ghusey kertey hein, akeley hojatey hein, ya phir chup key rootey rehtey hein, tu beta jani aap kia kertey ho ?
jab aap ka pyara bacha aap ko apna react batana start kare ga, tab aap aur hosla badhaein us ka aur kahen keh ; shabash mera chand aur batao mujhey.
Kuch bachey depression mein apney ko akela feel kertey hein, is soorat mein aap ko apney bachey key qareeb qareeb rehna chaheyeah aur us ko kahein ;
"Tum akeley nhi ho, mein tumharey sath hoon is problem mein", ya phir ;
"hum is problem ko sath mil ker solve karen gey, mein tumharey sath hon"
Jab aap ka bacha depressed ho tab us sey aisey question mat karen " keh tum her waqt rootey kion rehtey ho" ya "tumharey Udas honey ki kia wajah hey" aisey batein karen jo un ki feelings ko dosri taraf ley jaen, kion keh aik he depressed feeling ko control kerna bachon key control mein nhi hota.
Aur kabhi bhi apney Past ki feelings apney bachey per zahir na karen jab woh depressed hoon jaisa keh " jab mein choti thi aur mujhey ghusa ata tha tu mein cheezein utha ker phenkti thi" ya " khana nhi khati thi" ya " phir ksi sey baat nhi kerti thi".
hamesha us ko yeah ehsas dilain aap us ko Note kerti rehti hein; keh tumhari bohat fikr horhi thi , bcz tum roona shorow hogai thi akeley mein , mein ney note kia tha.
mein note ker rhi hoon keh aaj kal aap kuch ghusey mein aur na khosh nazar arhi/ arhey ho.
Mein udas hoon tumhari wajah sey kion keh mujhey lagta hey tum enjoy kerney kerney apney dosteon mein nhi jatey ya un keh sath nhi kheltey.
aur yeah keh tum dehan sey nhi chaltey ya kheltey mujh fikar lagi rehti hey kahin tum ko chot na lag jae.
Is tarha bachey ko yeah ehsas rahe ga koi hey mera jo mera khyal rakhta hey aur mujhey khosh dekhna chahta hey.
Aur waisey bhi Mother he bachey ki parwarish ki zimeydar hoti hey, bcz Maan ki achi parwarish sey he 'aik bacha qabil aur kamyab insan banta hey' .
Jab keh khrab parwarish ' aik masoom bachey ko nakam aur khrab insan mein change kerdeti hey"
SO PLEASE BE CAREFUL ABOUT YOUR CHILDREN. |