SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:23rd Jun 2008, 7:32am |
|
|
Nasal Hypersensitivity Reaction Due To Air Condition
Assala moalikom Mara sawal Doctors Hazrat sa hai keya AC ke Air sa infection hota hai pahla kabhe moj ko aysa nahe howa koch din sa aysa horaha hai infecton moj ko Nose ma yane naak ma horaha hai naak ma zakham hojata hai aur naak dard karna lagte hai kabhe blood bhe nekalta hai tablat khana sa sahe rahta hai warna pher hojata hai waysa Ac ke air sahat ka leya mufeed nahe hai pata hai isleya mai awid karta hoo koch din sa itne garme hai yaha par 53* digre tha abhe koch khadar kam hai ap ko to pata hai Saudiarab ma kitne garme hote hai bina Ac pagal hojata hai mai Doctor ko bhe dekhaya woh bhe yahe kaha ka ap Ac ka samna na baitha mai Ac ka samna nahe baita hoo mai mahsos keya ka agar moj ko Ac ke hawa laga to moj ko ya prablam horahe hai. Waysa aek baat ya bhe hai ka mai jab bhe koe theke cheez jis ma Mirch zeyada hoo agar khalo to mare naak sa khoon nekalta hai ya moj ko bachpan sa hai mara leya ghar ma alag sa salan banta hai kahe yahe prablam to nahe waysa Doctor Sahab moj ko ya bhe pochna hai ya Mirch khana sa aysa keyo hota hai moj ko iske keya wajah hai tafsel sa bataeya. Jazakallah
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:23rd Jun 2008, 7:56am |
|
|
AC Infection... Mere sath bhi yahi problem hai kah jab ma AC k kareeb baith jaata hoon tou Nose ma Nazlah Zukaam ho jata hai... mujhey kisi ne yah wajah bataey thee k AC k andar filter gandah ho jata hai uss ko saaf karloo tou aaisa nahi hota hai... Khair maine abb AC k kareeb hi baithna chordh diya hai...
Abb Doctor Hazrat & Member Hazrat iss barey ma kya kahte hain... Let's wait for their reply...!
|
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:23rd Jun 2008, 6:26pm |
|
|
air condition ji ho sakta hai.
air conditioner ka aik effect yeh bhi ho sakta hai ke naak ki jhilli khushk ho jati hai. uss ke khushk hone se infection ka risk barrh jata hai.
see above post of BS, too. filter ka bhibuhat asar hota hai. jarasseem jama hote rehte hain aur baz dafa buhat dangerous diseases bhi ho sakti hain. iss liye filter ko up to date rakhen.
magar janab garmi hi itni hai ke kuch aur kiya nahi jasakta. ehtiyaat ki jasakti hai.
|
SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:24th Jun 2008, 1:30am |
|
|
Doctorji ap na mashwara deya Jazakallah ami na aek aur sawal keya tha ap na shaed mukamal parha nahe mara mater kher os ka bhe jawab dejeya keyo ka mare Walda issa bohat parahan hai ka mrech khana sa Naak sa khoon nekalna aur kan ma bohat jalan hote hai baz waqt serf nak sa pane nekalta hai ya keyo hota hai aur koe khtra wale baat to nahe ? |
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:24th Jun 2008, 6:20pm |
|
|
mirchi janab aap ne sahi andaza lagaya. aap ke is sawal par nazar nah iparri aur iss par tawajah nahi gayi.
lehaza ab jawab arz hai. jo soorat haal bata rahe hain uss se aisa
lagta hai ke aap ko mirchi se allergy hai. aap mirchi na khaye. ya
mukhatlif kissam ki mirchi ko check kar ke dekh len konsi bhaati hai.
mumkin hai iss ki koi aur hi wajah ho, magar baqi wajuhat ka andaza to
check up ke bad hi kiya jasakta hai. basically iss waqat meri raye
allegy hi ki hai.
|
booji93 |
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 8 Post: 54 Age:
51
|
|
Posted on:24th Jun 2008, 10:51pm |
|
|
Air conditioned effect sofi sahib,
mere paas aik ilaj ha shayad aap ko faida ho jaye. main bhi saudi arab mein hi rehta hoon. yah problem khas tor par dry cities main ha. aik to doctorji ke mutabiq alergy ha aur yahan par snad storm bhot hota ha isliye dust alery zayada ha. AC ki infection se bachnay ke liye aap apne room mein water ki bucket ya phir tub waghera bhar k rakh lein. khas tor par raat ko aisa karen. InshAllah ap ki infection mein farq pade ga. is se room mein dryness nahin reahe gi. shayad doctorji meri is baat se ittefaq karen. dua ha Allah aap ko faida de. Aameen. |
SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:25th Jun 2008, 2:14am |
|
|
Doctorji & Booji Sahab
Jazakallah ap na mashwaran deya hai Inshaalah mai zaroor chekup karwaonga keyo ka pata to chala hai keya ya bemare aur janab Booji sahab Inshaallah ap ka mashwara par bhe amal karonga waysa jab bhe sand zeya hote hai mai apna chara par cover kar ka he nekalta hoo keyo ka moj ko bohat jald infection hota hai. |
Doctoranum |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2008 Topic: 0 Post: 55 Age:
25
|
|
Posted on:25th Jun 2008, 4:37pm |
|
|
Sofi Nasal Hypersensitivity Reaction Due To Air Condition
Allergies are caused by millions of foregion allergens normally found in our environment (pollen, molds, insects, pollutants, etc).for some unknown reasons, the immune systems (which resist to diseses) of allergic people considers these innocent particles dangerous and reacts by producing antibodies (protein in our body which reacts with infectious agents) against them.
House dust is the most common cause of allergy.As you have problem due to air conditioner so remember to clean air conditioner filters at least every six weeks.This can be only avoided by your proper care.
Nasal Bleeding
Same problem is with my father from his childhood, now his age is above 50 and he is still facing this problem.Reason of his nasal bleeding are too much low temperature or high temperature,egg, chilli, pickle and every other hot and spicy thing and often clots dislodged from his nose.
Treatments which we commonly use in our house are simply pinch the nostrils together firmly for 10 minutes or place ice pack across the bridges of your nose or Vaseline can be used to stop bleeding caused in dryness.Pour cold water on your head as nasal bleeding starts in hot wheather, also keep a small piece of coconut in water each night and eat it for three weeks at morning before breakfast.Avoid all spicy, hot things and keep yourself warm in cold and cold in warm. |
sweetie |
Group: Members Joined: 13th Jun, 2008 Topic: 11 Post: 509 Age:
32
|
|
Posted on:26th Jun 2008, 8:14pm |
|
|
nakseer naak se khoon nikalnay ko aksar nakseer phootna kehtay hain, ye mirch, nuts, choclates etc garm cheezain khanay aor wesay hi garmi main bhi ho jata hai, naak ki jhilli ki ragain kamzor honay ki wja se rag phat jati hai, fori ilaj yahi hai ke pinch your nose from its root. thori dair main khoon ruk jata hai, garam aor spicy cheezon se parhaiz, is ke ilawa homeopathy main is ka bahot effective ilaj mojood hai jisay main ne khud kai logon par effect kartay dekha hai, magar main yahan nahi likh sakti, ap chahain to kisi achay homeopath se mashwara kar saktay hain. |
booji93 |
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 8 Post: 54 Age:
51
|
|
Posted on:30th Jun 2008, 12:22pm |
|
|
Nakseer mere paas bhi is ka aik ilaj ha. Angoor (grapes) ka ras aik aik drops apni nose main dalen InshAllah nakseer kabhi nahin phootay gi. aik haftay tak yahi karen. |
|