Arif |
Group: Members Joined: 10th Aug, 2007 Topic: 8 Post: 9 Age:
28
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 10:19am |
|
|
Foreplay: Can I Hug My Lover?
Asslamualequm koi mughe batae ke main ek lardki se bhout pyar karta hoon or wo bhi mughse bhout pyar karti hai hum bhout kam mil paate hain kya main use apne gale se laga sakta hoon sex ki niyat se nahin keh raha bhout pyar karta hon I and a girl love to each other. My I hug her?
|
khan_80 |
Group: Members Joined: 09th Mar, 2007 Topic: 8 Post: 2604 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 3:06pm |
|
|
re: Arif See, these things are the start of sexual intercourse, if u will touch her and hug her, both of u will be sexually stimulated and there is a possiblity that some more unethical things may happen. Plz don't think negative, its reality and u should avoid any such act which can make u enbaressed in the future. |
!!!!!!!! |
Group: Members Joined: 07th Aug, 2007 Topic: 0 Post: 35 Age:
28
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 4:12pm |
|
|
Re Arif Arif sahab is forum pe itnay loog aesay aatay hain jo sex ker kay pachtate pareshan hote hay koi apne gunha se , koi pregnancy se larki HYMEN RUPTURE se aap us ko muhabat kerte ho na us se shadi karo ye hogi tumharee sacchi muhabbat ager abhi kuch ker lo gay tu gunha kabeera hoga ye hug kerna bhi gunha hay kisi ghair larki ko dekhna mana hay ISLAM main aap hug kerne kee baat ker rahay ho
abhi sooch lo ye na ho kay sb kerne kay baad dono bolo kay AB KIA KARAIN aap pehley kee post read karo aur dekho kitnay loog hain jo ye sab ker kay kitna pareshan hain |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 4:59pm |
|
|
Re : Arif not allowed in islam jo cheez aap ko zana k qareeb bhi le k jaye wo bhi haram hay |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 5:06pm |
|
|
Please Explain More! safeena ji! phir to tv bi zana k kareeb lay ja sakta hai, kia tv bi haram hai, computer bi zana ki taraf layjanay ka source ban sakta hai, kia ya bi haraam hai??? |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4259 Age:
38
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 5:19pm |
|
|
our mistake ham logo ne kuch gunaho ko apni routine life bana lia hai. isi lia ab woh gunah nahi lagta. aur jo log ose gunah samjh kar avoid karte hai ham log ose backword samajhte hai. yeh sab hamri ghalti hai.
Tv par song, film aur drama dekhna ghair islami hai. lekin ham dekh dekh kar ise ghair islami nahi samajhte. aur jo log ise ghair islami samajh kar nahi dekhte ham log onka mazaq urate hai. aisa karna hamari ghalti hai. |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 5:22pm |
|
|
re:josh tv aur computer ko ghalat use kerna haraam hay
for example koi porn movie ya koi porn site dekhain tu kia asar hota hai?
aaj girl friend boy friend ka jo silsila chal nikla hay wo kahan se aaya? tv aur computer se hee aaya hai aur ye g/f and b/f aagay ja k kia kerte hain (sab ko nahi keh rahi lekin aap ko bhi idea hoga .....)
is liye aesi cheezon k qreeb hee nahi jana chaheyye jo zana kee taraf le k jain
sura e noor main Irshad e paak hay
"aap keh dijiye momin mardoon se k wo apni nigahain (nazrain) neechi rakhain aur apni sharmgahoon kee hifazat karain "
is aayat main sab cheezain cover ho jati hain aur samjh aata hay k nigha hee se start hota hay sab aaur darmiyaan main jo kuch aata hay tafseel kee zarorat nahi end hai k sharmgahoo kee hifazat karain .
|
khangi61 |
Group: Members Joined: 19th Jul, 2007 Topic: 6 Post: 104 Age:
52
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 5:29pm |
|
|
lover\'s hug josh saab safeena saaba theek hi to kehti hain. asal main cheez main kharabi nahi hoti, kharabi us k istehmal main hoti hay. aap ko computer aur tv say dunya jahan ki inormations milti hain. jo aap k knowledge mainizafa karti hain. ab computer ko lay lo, issi wajah say main aur aap aik dusray say tabadla-e- khayal ker rahay hain. so source is not bad use of source is bad.
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 5:35pm |
|
|
re:safeena safeena i am totally agree with you, thora sa mai ye kahonga k tv mai bohat khubsurat girls dikhaee deti hain with new fashion and vulgar dresses, jinko dekh kar bohat say sada logo ki sexual feelings arouse ho jati hai or wo koi na koi galat kaam kar letay hain. boyfriend/girlfriend culture bi tv & movies k through hi sab say pehlay shareef gharon tak pohncha.. to what do you think k in cheezo ki bina par ham tv ko HARAAM karar day saktay hain?? ya k itna kehna hi theek ho ga k tv dramas waghaira dekhna acha kaam nahi hai,, isi tv par deeni programs bi chaltay hain or bohat say log ghar baithhey deeni taleem bi hasil kar saktay hain.. similarly computer par log movies dekhtay hain, chahy porn movies na dekhain lekin indian movies dekhtay hain, internet bi lagatay hain, music download kartay hain, sometime porn sites bi dekh saktay hain, to in sab bases par ham isey HARAAM karar day saktay hain???? |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 5:52pm |
|
|
Re: josh jesa k main ne kaha k tv aur computer ko ghalat use kerna haram hay
lekin us se hum ko faide hain us k liye use kerna haram qarar nahi dia ja sakta
ye tu wo hi baat ho jaye gee k loogon ko bataya jata hay k wo kaam jo Humare PIYARE NABI (S A W ) ne nahi kiye aur Ashaaba se bhi sabit nahi hain un ka kerna yani Deen main koi nai cheez ko lana aur us ko Deen ka hissa samajh k Ikhtiyaar ker lena BIDAT hai loog is cheez ko negetive lete hoye kehte humare PIYARE NABI ( S A W ) aur Ashaaba Karaam ne tu air plan ka safar nahi kia wo tu hourse pe safar kerte thay tu kia te bhi ghalat hay aur isi tarah kee aur examples dete hain
main topic se hat rahi hoon sorry lekin baat ye hee batani hay k tv computer ka sahi istamaal ghalat nahi jesa k aap ne chand cheezain likhi lekin jo ghalat hay wo ghalat hay haram hay |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 6:10pm |
|
|
Bewakoof & Safeena bewakoof you are absolutely right, lekin apnay word use kia hai ghair islami kaam, apnay ye nahi kaha k ye HARAAM hai,, kisi kam ka ghair islami hona or HaRaam honay mai bohat faRk hai, agar koi insan kisi kaam ko samajhta hai k ye haraam hai lekin phir b wo ye karta hai to wo bohat ziada gunah karta hai, or koi insan samajhta hai k ye bura kaam hai, lekin is k through kuchh achhi baatain sun-nay ko bi mil jati hain, like deeni programs bi,,, to wo utna gunahgar nahi hoga jitna wo insan hai jo samajhta hai k tv/computer haraam hai bcoz they can be a source of zina .. beard (Darhi) rakhna acha kaam hai sunnat bi hai, lekin jo nahi rakhta wo haRaam kari nahi kar raha,lekin bura zaroor kar raha hai, Safeena jo log tv dekhtay hain un k gharo mai dramas bi dekhay jatay hain, to apkay khayal say to wo tamam log haram kaRi kar rahay hain??? Safeena ap aik achi larki hain or deeni ilm bi rakhti hain, lekin plz thora sochain, lafz Haraam bohat bara lafz hai... kisi cheez k baray mai aisay hi keh dena k ye haraam hai , kuchh theek bat nai hai. |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 6:36pm |
|
|
re : Josh josh beard wali baat jo aap ne kee k darhi rakhna accha kaam hay na rakhna haram nahi thora correction karoon gee jo darhi rakhay ga sunnat pe amal karay ga aur kisi bhi sunnat pe amal karna buhat ziyada Ajr o Sawab ka bais hay na rkhne wala is se mehroom hay
haram ka word sun k zehan main haram kaari aur haram kari se hum foran zana tak pohanch jate hain sirf zana hee haram kari nahi balke haram us kaam ko kehte hain jo humare PIYARE NABI (S A W ) ne aur Allah Tala ne mana farmaya ho jesay pig khana haram hay , sood lena dena haram hay rishwat haram , even ye chouti see baat lagay aap ko mujh ko lekin piyare NABI ( S A W ) ne farmaya hay k koi musalman apne mosalmaan bhai k moonh (face ) pe thappar maray ye kufr hay haram hay
is se phir kia matlab liya jaye
in the end ye k jin baataon ko ALLAH aur us k Rasool ne hum ko mana farmaya jis main namehram ko dekhna bhi aata hay haram hay
bewaqoof sahab ne theek kaha hay k ab hum ko lagta nahi k hum ghalat ker rahay hain balkay jo na karay us ko backword samjha jata hay |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 6:52pm |
|
|
re: Safeena ok na ap haar manai gi or na mai, bcoz mai nahi samajhta k har us kaam ko haraam karar diya ja sakta hai jo bura hai ya jiska gunah hai, apnay jo examples di hain unkay baray mai saf saf likha hai k ye haraam hai, is liye in bato mai koi shak nahi. tv and computer are source of information and people use them for entertainment too. i dont think these things are haraam, but yes it is a sin to view dramas and movies etc. kuch log religious people ko backword samajhtay hain lekin bohat say log aesay logo ki bohat ziada izzat bi kartay hain, including me. ajkal k dor mai jo tv na dekhay wo bohat ziada naik insan hai.
|
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 7:02pm |
|
|
Re : josh and for example aaj kal forum pe masturbation k topic pe buhat ziyada jo behass chal rahi hay wo kia hay ?ye hee hay na k kuch loog keh rahay hain haram hay aur kuch keh rahay hain k KAHIN NAHI LIKHA K YE HARAM HAY yani kahin likha hota saaf saaf tu ye behass na hoti her koi keh deta k clearly likha hay k ye haram hay
|
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 7:05pm |
|
|
re aray mayray bhai main ye kab keh rahi hoon k tv computer totly haram hain un se faida jo hasil ho raha hay wo ghalat nahi hay balkay acchay hain ab main jo Aayaat aur Ahadees yahan pe aksar likhti hoon tu islamic wbe site se hee dekh k likhti hoon tu kia ye Naozobillah ghalat hay ? in 2no cheezoon ka acchay kaamo k liye istamaal jaiz hay |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 7:52pm |
|
|
re: safeena agar ap nai keh rahi to apko kehna chahiye k tv bi haraam hai, bcoz apkay khayal say jo cheez bi zina ki taraf lay ja sakti hai wo haraam hai, or tv par khubsurat larki ko dekh kar ya love story romance dekh kar koi larka/larki zina ki taraf ja sakty hai. now u are talking about totally haraam and less haraam, what is this?? gold (sona) ko jahan say bi check karain wo sona hi hoga, chandi nahi nikal aye gi,, zina ko zina hi kahain gay , thora zana ya ziada zana nai kahain gay,, similarly haram sirf haraam hai, ismai thora ya kam ya total haraam ye sab batain kahan say aa gaeein??? |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 10:35pm |
|
|
re :josh pehli baat ye ye hay k ye baat mayri kehi hoi nahi hay k jo cheez zina kee taraf le jaye wo bhi mana hay ye hadeess hay
2nd ye k tv us surat main sahi kaha main ne jesa k aap ne kaha k tv pe deeni programme aatay hai ya dosre maloomati programme ab yahan ye baat nahi clear hoi thee k wo programme larki kar rahi hay ya aadmi lekin main ne ye baat pehle hee clear ker dee thee k Namehram ko dekhna haram hay tu ab zarori nahi k main bar bar aap ko her dafa likho ye baat
yahan hum ko behass ker k kisi se jitnay k bajaye mustanid Ahadees aur Qurani Aayaat k tarjumay likhne chaheyye aur us ko hee sahi samajhte hoye amal kerna chaheyye
aap apni baat jo kehna chah rahay hain us k liye jo aap refrences de sakte hain wo likhiye main bhi koshish karo gee
yahan is topic k liye ye maqsad nahi hona chahiyye humara k ek dosre ko ghalat sabit karain mujh se jitna hoga main is baat k liye yani " jo cheez Zina kee taraf le jaye wo bhi mana hay "is k liye refrence theek se dekh k yahan likho gee aap bhi koshish kijiye ga
thanx |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:10th Aug 2007, 10:45pm |
|
|
cont... aur computer hay tu aap acchi sites jo aap ko faida pohnchain wo use kerna kion haram hoga
or main ne ye nahi likha kahin k kam haram hoga thora haram hoga ya total haram hoga jo main use kia word k "tv totly haram nahi kahan main "wo sirf usi surat main k aap namehram ko na dekhain ab tv pe tilawt ho rahi hay tarjuma aaraha hay deeni masley masail per Aalim baythay fatway de rahay hain ye sab kesay haram hay ek admi k liye tu is surat main likha hay main ne k totly haram nahi
lekin lag raha hay aap ne mayri isi baat ko pakra hay
islam main tu tasveer kashi bhi haram hay tasveer haath se banana photo utarwana movie banwana lekin Prof. Zakir Naik aap ne naam suna hoga aur kuch Ulma ne deeni khidmaat anjaam dene k liye is ko jaiz qarar dia hay
is liye main likha aur ye baat main shorw se hee likh rahi hoon k namehram ko dekhna haram hay
humara culture aesa hay k humain ye sab haram kehte hoye ajeeb lag raha hay lekin ye hay islam main
|
don |
Group: Members Joined: 01st Aug, 2007 Topic: 13 Post: 248 Age:
25
|
|
Posted on:12th Aug 2007, 6:10am |
|
|
to:safeena safeenba ji app bhi naraz hain kia pata nahi ajj kal meri sari bahnay mujh say naraz kion hain pata nahi main kuvh kehta bhi nahi aur aisay hi naraz ho jate hain kia baat hay mujhay bhi toh pata chalay
ur brother
don |
kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
29
|
|
Posted on:12th Aug 2007, 11:05pm |
|
|
MERY MUTABIQ! Salam to all..............
My kafi dino sy ye discussion dekh rha hoo...aur soch rha tha k ap loog isy sort out kr lyngy.Magr ye to din ba din complicated hota ja rha hi......Agr ap logo ko iteraz na ho to my kuch kro esepciallay JOSH bhai sy ijaat lena chahoo ga...Wo mjh sy kafi pyar krty hi is liye un sy ijazat zaroori hi....
1) JOSH: Ap ny upper kha "Na ap haar many gi na mee" bhai mry ham yha haar jeet k liyee aty....problem ka solution nikalny aty hi..Pata nhi ap pr haar jeet ka bhoot kyn sawar hi...
2) Mery Mutabiq: Computer/Tape/TV haram nhi hi....bcoz agr in ka ap sahi istimaal kry to is sy information,deni batein,aur bhut kuch education + islam k mutaliq akhaz kya ja sakta hi.
Jha tak lafz haram ki baat hi to...to wo sb chezeee jo Allah aur nabi(SAW) ny na-jaiz ki hi wo sb haram hi..
Ab zaroori nhi k sari chezy jo haram hi wo Quran aur sunat my mily...bhut sy chezee bad mu ulama ny Ijtima etc k zaryee logoo ko batya hi..
My ny kai bar ye post kiya hi k Quran my sirf PIG ko haram bola gaya to kya baki janwar khana halal hi,,,,,nhi na ....same is trah hr cheez ka hal quran aur hadidh sy nhi milta balky us ki roshni my ulama ny kha hi...
For further assistance dont hesitate to reply.
With Rgds
KIM84 |
|