Premarital Relationships – Why Not?
Premarital Relationships – Why Not? Premarital relationships – why not?ager aap se ye question kiya jaye tu aap ka kiya answer ho ga?as a yong muslim kiya aap soochtay hen k ye question aap se relavent hai?kiya aap nee s ko apnay friends se discusss kiya hai?kiya es question k baray me aap ne kabhi soocha hai?kiya aap sumajhtay hen aisa kuin nahi hai? Ager aap uncertain hen k es question ka kiya answer diya jaye tu don't worry.perhaps sub human relationships me se most misunderstood aik yong mman aur women ka premarital relationship hai.society me dominate understanding ye hai k premarital relationship ko allow aur encourage kernna chahiay aur es baray me most common arguments ye hootay hen k premarital relationship young people ko aik doseray se deal kernay me socialize kernay me help kerta hai aur ye un yonugs ki help kerta hai jo k married hoonay k liay partner ki search me hootay hen jis se un ko un k potential partner ki intimate knowledge hooti hai,wo uss ko personally sumajhe saktay aur uss k close hoo saktay hen. Kiya aap in 2 arguments se agree kertay hen?kiya ye aap k way of thinking ko reflect kertay hen?latter argument truth se zayada dourr nahi hai.opposite sex se socialize hoona,however,aik admirable personal goal hai,laikin es ko chance k torr per left nahi kiya ja sakta because es se insaan opposite sex k saath close physical relationship me bhi involve hoo sakta hai. Are Islamic Techniques Old-Fashioned? Aap ki terbiyaat aur training per depend kertay huay?k aap k friends kon hen,aur aap ka tv shows aur movies se exposure,aap itnay socialized hoon gay k aap premarital relationship ko glamorous,peacefull romantic start aur man ki woman ki teruf attraction ko natural believe ker saktay hen.in fact kuch young muslims itnay convienced hen k wo premarital relationship ko exception ki jaga norm sumajhtay hen.jab un ko kahaa jaata hai k "dating haram hai(forbidden),un ka response ye hoota hai k "islam itna backward kuin hai?hum time k saath change kuin nahi hootay aur ye aaj kuin nahi realize kertay k premarital relationship is ok because her koi each time sex k baray me nahi soochta". Is it right?ager ye sahi ho tu phir un people ka kiya jo some ya phir most time sex k baray me soochtay hen tu aap un ko kaisay sumjhayain gay aur kaisay un ki help kerain gay.jaisay k aaj kal kuch young muslims kahtay hen insaan her waqt sex k baray me nahi soochta. Even islam ki premarital relationship ki prohibition es base per nahi hai k insaan her waqt sex k baray me soochta hai ya nahi.ab question ye hai k ager woman aur man me friendship ho bhi aur wo warm,caring aur long lasting ho tu wo man aur woman aik doseray se kaisay relate kerain gay?islam me,wo men aur women jin ki marriage nahi ho sakti ya jo mahrams hen un ka zayada powerfull,warm,long lasting aur caring,physical desire se free relationship ho sakta hai.ye review kernna helpful ho ga k wo mahrams kon hen.Surat An-Nur me,believing men ko gaze lower kernay k baray me batanay k bahd,Allah ne next verse me continuous rukha: [aur jo kuch wo kertay hen Allah uss se bakhaber hai aur mohmin auratoon se bhi kahain k wo apni nazerain nichay rukhain aur apni sharum ghahoon(private parts) kerain aur apnay bunao singhaar mat dekhayain.siwaye es k k wo khud zahir ho jaye aur apnay seenoo(chests) per ooherniyaan dalay rukhain.wo apna bunao singhaar na zahir kerain mager in k samnay:apnay husband,father,father in law,apnay son,husband k son,brother,brother k son,sisters k son,apni auratoon,mamlook aur wo rishtadarr mard jo kisi qisum ki gharz na rkhtay hoon,aur wo children jo auratoon ki pooshidaa baatoon ko abhi jaantay nahi hen,aur apnay foot zameen per marr ker mat chalain takay apni jo aaraish unhoon ne choopa rukhi hai uss ka logon ko ilm na ho,aur ah momonoo tum sub k sub Allah se tauba keroo takay kaamyaab ho(verse 31)] so principle me men aur women ki friendship me koi problem nahi hai laikin aik baat zuroor hai k men sirf surat AN-Nur me describe ki hui categories me ho.un men k liay jo na-mahrum hoon,jin se marriage ki ja sakti hai,risk zuroor mojood hai kuin k un me se koi aik vulnerable ho sakta hai aur marital contract k framework se bahir kisi doseray ki teruf incline ker sakta hai. Es k baray me soochain k ager aap ab hi adult huay hen tu aap dekhain gay k aap ki body me kaheen changes ayi hoon gi,un changes me se aik aap ki apni sexuality se increased awareness aur 'wet dreams' ya nocturnal emission bhi shamil hai.aur es sub k saath kabhi bhi aap me thori se stimulation se intense sexual feeling paeda ho sakti hen ager aap sex k baray me soochain tu.ye bhi ho sakta hai k aap apni sexual tension ko koshish k bawajood relieve na ker pa rahay hoon aur dosera insaan aap k saath unprotected ho. Fact tu ye hai k sexual desires pronounce ho jaati hen aur aap different mixed emotions experienced ker saktay hen like confusion,guilt aur shame etc.humaray Prophet Muhammad(saw) achi tara human development ko sumajhtay thay jaisay k Abdullah(may Allah be pleased with him) se narrated hai k nabi(saw) young peoples ko warn kertay thay. "o yong people!tum may se job hi shaadi ker sakta hai,shaadi ker lay,because ye uss ko gaze lower kernay me help keray gi aur uss k private parts ko illegal sex se protect keray gi,aur jo koi tum me se shaadi nahi ker sakta wo roozay rukhay k roozay us ski sexual power ko kaam kerain gay". Timeless Islamic Teachings Hum me se kaheen ye believe kertay hen k may be Islamic teachings outdated aur old-fashioned ho gayi hen.doseri teruf aik saacha muslim Quran aur Prophet ki teachings ko comprehensive,universal aur timeless sumajhta hai.es liay chahay human history me koi time bhi ho,premarital relationships es k people aur general society per damaging impact ki waja se forbidden hi kiya gaya hai.Allah ne humaray liay aik khaas lifestyle ki selection ki hai jis me human life sacred hai aur jis me righteous conduct,mutual respect aur pure aur dignifies relations hen exception k torr per nahi but as norm.hum Quran me read kertay hen. [O Prophet! When believing women come to thee to take the oath of fealty to thee, that they will not associate in worship any other thing whatever with Allah, that they will not steal, that they will not commit adultery (or fornication), that they will not kill their children, that they will not utter slander, intentionally forging falsehood, and that they will not disobey thee in any just matter,- then do thou receive their fealty, and pray to Allah for the forgiveness (of their sins): for Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful.] (Al-Mumtahanah 60:12) aur social relations k matter me Allah ne men aur women ko order kiya hai k wo pelhay aik contrct sign kerain aik intimate aur physical relationship establish kernay k liay takay wo aik doseray ko kuch rights aur responsibilities me bind ker lain jo un ko poori kerni hoon.jab k premarital relationship me koi contract nahi hoota aur na hi koi condition tu dono men aur women kisi bhi time es relation se aaast berdaar ho saktay hen aur un ko kisi contrct ko poora kernay ka derr bhi nahi hoota kuin k contract hoota hi nahi hai. Aap ko ye ilm hoona chahiay k ye kitna painful ho ga young people k liay k woe s ko break off keray aur un k liay kitna painfull ho ga k jis boy se wo love keray next day uss ko kisi aur girl k saath dekhay.aur most tragic cases me girls apni virginity lost ker daiti hen because young men itni passtionately love k aur future marrage k baray me boolta hai aur wo uss per believe ker laiti hen aur phir aik din wo young man uss se baat bhi nahi kerta ya instantly khud ko es love ki condition se nikal laita hai. Jo insaan apni reasponsibilities ko sumjhay ga uss ka marital relationship bhi strong ho ga aur ager koi women ya men premarital relationship qahim keray ga tu wo risk per ho ga.Allah chahta hai k hum insaan pure lives spend kerain es liay Islamic approach ye hai k insaan risk k qareeb bhi mat jaye aur khud ko man ya woman ki attraction k vulnerable bhi na keray jab tak insaan marriage ka contract na sign ker lay aur es k saath link responsibilities aur rights ko na sumjhay aur ikhtayaar na keray.Allah ne Quran me warn kiya hai. (And come not near unto adultery. Lo! it is an abomination and an evil way.] (Al-Israa' 17:32) Painful Consequences Jab k sub premarital relationships intimate aur physical relations se characterized nahi kiay ja saktay.boys aur girls k liay kafi painfull consequences hootay hen.un peoples k liay kafi hazards hen jo prematurely sexual relations me engaged hootay hen.it is said that early sex k health hazards me sexual trauma,cervical cancer ka zayada risk,sexually transmitted diseases aur teenage pregnancy shamil hai. Ye yahaan note kernna important hai k zayada terr Islamic techniques preventive hen nature me jin per insaan act ker k sin se baach sakta hai aur uss k sins me indulge hoonay k chances bhi kam ho jaatay hen.preventive techniques ka undaaza gambling aur consumtion of intoxicants ki prevention se hi lagaya ja sakta hai.drungs aur alcohol k single drink se insaan uss ka addicted nhi hoota so Allah ne hum muslims ko es risk se bachaanay k liay alcohol aur sub drugs ko clearly prohibited ker diya. Closing Thoughts Premarital relationships islam me forbidden hen.men aur women me interaction forbidden nahi hai laikin ye interactions kuch rules aur guidelines k saath hoon gay. Es liay insaan ko ye kahnay ki dare nahi kernni chahiay k "mujhe tu koi problem nahi hooti women ko as a close friend deal kertay huay".jab k kuch women aur men platonic relationship k able hootay hen laikin us ski koi guarantee nahi hoooti k aisa relation sirf friendship se start ho aur phir strong attraction me lead ker jaye.bahot saray people jab past me dekhtay hen tu sorrow feel kertay hen k un me itni ability nahi thi jab wo apnay friend k saath alone hootay ya phir attracted hoonay se bach saktay.ye sumjhna chahiay k es society me men aur women work aur study k liay bhi mix hootay hen but burden uss k liay hoota hai jo k opposite sex k saath mix ho ker phir proper manners aur rules,limitations k saath bound nahi rah sakta. Islm conduct k area me great flexibility provide kertaa hai as long as conduct Quran aur Holy Prophet(PBUH) ki teaching se guided ho.ager conduct purposeful,limited aur public hai tu men aur women k unprotected hoonay ka bahot kam risk hai.laikin hum me se koi bhi certain nahi hoota k kiya hum apnay emotions,desires aur khud ko control ker sakain gay. Almighty Allah janta hai k hum me se kon es qabil hai k opposite sex k member k saath working aur study ko handle ker sakay.Allah ko paata hai k hum me se kaheen ye sub bhool jaatay hen aur phir humain protection aur guideline ki zuroorat hooti hai.clear guidelines hen k kaisay,kab aur kis purpose k liay hum opposite sex k saath interact kerain.
|