Article: Newborn And Jaundice
1-Jaundice/peela yerqaan kia hay? Jaundice ya urdu main peela yerqaan skin ka wo peela rang hay jo kay naaay paida honay walay bachoun main akser daikha jata hay. Iss ki waja khoon main bannnay wala aik chemical BILIRUBIN hay. Paida honay say pahlay bhi yah bachay kay khoon main shamil hota hay lakin maan ka jigger bachhay kay khoon ki safai main madad kerta hay aur iss waja say paida honay say pahlay bachay ko iss say koi masla nahi hota. 2-jaundice kayoun hota hay? Paida honay kay baad akser bachay iss main mubtila ho jatay hain jo kay aik aam baat hay aur yah iss liay hota hay kay paida hotay hi foran bachay ka jigger iss chemical ko aik dam say hatam kernay ka kabil nahi hota aur aahista aahista jigger yah kaam shuru kerta hay. 3-Kaisay patta chalay kay bachay ko jaundice hay? Ager aapko shak hay kay aap kay bachay ko jaundice hay tu sab say accha tareeqa yah hay kay ussay din ki roshni main ya phir tube-lights main daikha jay. Ager aap ko skin ya kam az kam chehra hi peeli rangat ka mahsoos ho tu iss ka matlab hay kay iss bachay ko jaundice hay, ya abhi develop ho raha hay. Aisa naaay paida honay walay bachay main ya paidaish kay kuch roze yani 3 say 5 din kay baad bhi ho sakta hay. Ager paidaish say pahlay ho tu bacha ki rangat kuch peeli si ho gi, aur ager paida honay kay baad shuru ho tu chehra say rangat peeli honi shuru ho gi. Iss kay sath sath ankhoun ki safaidi main bhi peelahat aa jay gi. Aur aahista aahista baqi jism ki rangat main bhi peelahat nazer aana shuru ho jay gi. 4-kia jaundice mairay bachay kay liay haternaak hay? Nahi, bohat say bachay aam toar per iss kay sath paida hotay hain aur ager yah bohat shaded na ho tu iss say bachay ko koi khtra nahi hota, kayounkay yah hood bakhood hi aahista aahista hatam ho jata hay. Lakin sab say bather yah hay kay bachay kay paida honay kay kam az kam aik haftay kay ander hi ussay doctor say zaroor check kerwain kayounkay ager iss chemical ki ziada miqdar bachay kay jism main hay tu wo khternaak bhi sabit ho sakti hay. Doctors ki opinion hay kay ager bacha kay paida honay kay 24 ghantay kay ander uss main yerqaan kay aasaar nazer aanain tu zaroor uss ka blood test kerwa lia jay takay BILIRUBIN LEVEL check kia jay sakay. 5-Konsay bachay iss ka jaldi shikaar ho saktay hain? 1-aisay bachay jo normal wqat say kam say kam bhi 2 haftay pahlay paida ho jain 2-bachay kay paida honay kay 24 ghantay kay ander hi uss main yerqaan kay aasaar nazer aanay lagain 3-Ager maan apna doodh pila rahi hay aur doodh poora nahi aa raha tu iss say bhi yerqaan ka hatra berh sakta hay. 4-Ager maan, baap yah bachay kay bahen bhai main say kisi ko pahlay peela yerqaan ho chukka hay. 6-Kin soortoun main foran doctor say rabta zaroori hay? 1-Ager bachay ki skin bohat ziada peeli ho rahi ho 2-Ager bachay ka pait, bazoo, aur tangain bhi peeli ho jain. 3-Ager bachay ki ankhain peeli ho jain. 4-Ager bachha theek tara say doodh na pita ho aur bohat gussa kerta ho aur musalsal sota ja raha ho. 7-Jaundice ka kia ilaaj hay? Ziada-ter jaundice kay liay kisi ilaaj ki koi zaroorat nahi hoti aur yah apnay aap hi theek ho jata hay. Albatta jab iss ka ilaaj zaroori ho tab bhi koi dawaai istimaal nahi hoti, bachay ko sirf aik haas kism ki roshni kay nichay rakha jata hay jis say uss kay ander iss chemical ka level kam hona shuru ho jata hay aur bachha theek ho jata hay. Yah ilaaj hospital main ya doctor ki madad say gher main bhi kia ja sakta hay. Hamaray yahan iss ka ilaaj loag yah tajweez kertay hain kay bachay ko sooraj ki roshni kay nichay rakhian tu yah theek ho jay ga. Baat galat tu nahi hay aur sooraj ki roshni say iss ka ilaaj bhi ho sakta hay lakin masla yha hay kay sooraj ki roshni sirf ussi waqt aser kerti hay jab kay bachay ka jism bilkul nanga ho. Lakin itnay chotay bachay ka jism gher kay ander bhi nahi khula rakhna chahyay kayounkay itnay chotay bachay serdi ka bohat jald shikaar ho jatay hain aur iss tara say jaan say bhi guzer saktay hain. Iss liay iss illaj say perhaiz hi bather hay. 8-Jaundice/yerqaan kab hatam hota hay? Jo bachay maan ka doodh pitay hain un main 2 say 3 haftay main is yerqaan ki illaamaat hatam ho jati hain. Aur jo bachay dabbay ka doodh yani formula pitay hain un main is ski illamaat 2 haftay main hatam ho jati hain. Ager bachay main ilaamaat hatam na houn aur paidaish kay 3 haftay kay baad bhi bacha ki skin aur aankhain peeli rahay tu zaroor doctor say rabta kerain.
|