Collection Of Brief Duas
I'm going to share all those Du'as which our HOLY PROPHET MUHAMMAD(PBUH) asked from ALLAH and some those which I read in different books.topic is lenthy but I hope everyone'll read it. - Aik bar AlLLAH k NABI(SAW) ny bahut sari dua ki aur jab dua khatum ker chukay tu aik sahaba pochnay lugay YA RASOOL ALLAH aap ny itni zayada dua mangi lakin hum mein se kisi ko wo pori yaad nahi rahi tu aap hum sub koi esi brief dua bata dan jis me wo sari duayan ah jayan jo aap ny ALLAH se mangien.phir aap ny fermaya tum sub ye dua manga kro
"Ae ALLAH mujhey wo sari bhalaiyan ata ferma jo teray nabi ny teray se mangien aur un sub cheezon se apni punah(hifazat) me rukh jin se teray NABI(SAW) ny punah mangi aur mujhey naki ki tofiq ata ferma aur burahi aur gunnah se buchnay ki taqat ata ferma". - Aik aur bar jaga aap ny ye dua mangi k
"Ae ALLAH jo maney kiya uss k shur se aur jo kuch maney nahi kiya uss k shur se aur jo mein janta hon uss k shur se aur jo mein nahi janta uss k shur se mujhey apni puna(hifazat) me rukh". - Aik bar aap ny ye dua mangi k
"Ae meray Rab mujhey ameeri k shur se gharibi k shur se apni puna me rukh". - Aik aur dua jo Quran mein bhi hy k
"Ae AlLLAH mujhey jin-o-ins k shur se apni pana me rukh." - Aur aik bar hajaj bin yousif ne aik sahaba ki daughter se forcely shaadi ker li tab unhon ny apni daughter ko uss k ghar janay k bahud ye dua mangnay ko kaha "Ae meray AlLLAH mujhey logon k shur se apni pana me rukh"ye dua perhnay k bahud hajaj bin yousif itna busy ho gaya k un ki beti k pass bhi na ah saka.
- Ager gunnah-e-qabira aur gunnah-e-saghira mean sarey chotay berhay gunahon ki list dekhan tu kitnay zayada han aur jab hum un ka hazaab perhan tu beshuk aik muslim per khof tari ho jaye.tu in sub gunnahon ki mafi aur in se buchnay ki taqat mangnay k liay ye dua hy.
"Ae ALLAH mujhey sub gunnah-e-qabira aur gunnah-e-saghira se apni pana me rukh aur meray se jo gunnah huay jo maney jaan boojh ker kiay ya unjanay me sirzad ho gaye sub maff ferma." - HAZRAT UMER jab death bed per thay tu aap ny apnay betay ko kaha mera sir zameen per rukh do un k betay ny apnay father ka hukam manna aur jab un ka sir zameen per that u mati se sir rub ker k kahnay luga
"Ae meray ALLAH tu Umer ko maff ferma ager tu ny es ki paker(pooch) ker lit u UMER berbaad ho jaye ga". - Berkat ka word tu hum zindagi me kaheen bar suntay aur boltay han tu ye berkat hy kiya let aik insaan ki 80 85 age thi aur uss k bahud wo mar gaya lakin uss ny apni life me kuch khaas naki ka ya bhalahi ka kam nahi kiya mean us ki life me berkat nahi thi doseri teruf aik bahut hi naak insaan thay un ki omer koi 40 45 k dermayan thi ya phir uss se bhi thori tu unhon ny apnay thoray se waqat me itni zayada books study kien k aaj tak koi insaan itni zayada books nahi perh saka matlab ye k un ki life me berkat thi tu ab dua ye hy
"Ae ALLAH meri zindagi me,meray maal me,meray waqat me,meray qaam me,meri aulad me aur meri her cheez me berkat dal" · Shiruk ko Quran me sub se berha zolum kaha gaya hy tu ye dua bhi mangni zurori hy "Ae ALLAH mujhey Shiruk se apni pana me rukh". - Shataan insaan ka sub se berha dushman hy aur jado,snake k barey me bhi ALLAH se dua krni chahiay
"Ae ALLAH mujhey shataan(baatal) k shur se,jado k shur se aur saanp k shur se apni pana me rukh". - ilum aur malomaat me kiya difference hy ilum ka matlab hy deen ka ilum aur her wo doseri baat jo es dunia ka pata dati hy malomaat kahlati hy tu aik dua ye bhi hy
"Ae ALLAH mujhey ilum aur maalomat ata ferma". - "Ae ALLAH mera ikhlak bahtereen ker dy aur mujhey wo kaam kernay ki tofiq ata ferma jin me teri khushi ho,meray dil se es dunia ki mahabaat nikal day aur mujhey un logon ki list me shamil ker dy jin se tu khush hua".
- "Ae ALLAH ager tu ny mujhey budbukhtoon me shamil kiya hy to tu mujhey naakbukhtoon me shamil ker dy".
- NABI(SAW) ALLAH se ye dua kertay thay
"meray RAB mujhey zindagi k fitnay se,moth k fitnay se,dujaal k fitnay se,qaruz k fitnay se aur qaber k hazaab se apni pana me rukh". · Yaad rahay dikhaway ki namaz dajaal k fitnay se bhi berha fitna hy "to NABI(SAW) ny dekhaway ki namaz se bhi pana mangnay k liay fermaya" · Insaan bahut kumzoor makhlooq hy taqat aur madad tu sub ALLAH ki h yes liay apnay her qaam me ALLAH ki madad mangan "ya ALLAH mein kamzoor hon tu hi meri her kaam me madad ferma kuin k teri madad se berhi koi aur madad nahi hy". · Khawateen jo hijab lati aur parda kerti han wo bhi aur jo nahi kertien wo bhi Allah se ye dua kiya krn k "Ae ALLAH mujhey sari zindagi shuri berda krnay ki tofiq ata ferma". · "Ya ALLAH mujhey Quran ko perhnay,sumajhnay aura mal krnay ki tofiq ata ferma". · Insaan koi bhi achi cheez dekh lay tu uss ka dil krta hy uss k pass bhi wohi cheez ho tu ALLAH se directly kuch mat manga krn mean name lay ker k YA AlLLAH mujhey ye ata ferma instead kahan "Ae ALLAH es me meri bahteri hy tu mujhey ata ferma werna mujhey na ata ferma kuin k mujhey nahi pata meray liay bather kiya hy ye sub tujhey pata hy". - "Ae meray ALLAH mera ikhlaq bahtereen ferma aur mera imaan kamil ker day aur mera khatima bil imaan ker"
- "meri ankhon per parda mat dal meray kaan bund mat ker,meray dil per moher mat luga mujhey zinda dil ata ferma jis me sirf teri aur teray nabi ki yaad ho jis me islam ka aur imaan ka noor ho"
- apnay liay aur apnay rishtadaroon ki health k liay ye dua krn k
"Ae ALLAH mujhey aur falaan falaan ko sahut_ajla aur kamala ata ferma" - "Ya ALLAH ager meray walidan ki meray se nafermaani ho gayi tu mujhey maaf ker dy,mujhey haqoq-e-ibad aur haqoq ALLAH poray kernay ki tofiq ata ferma".-
- jo dua ALLAH ko sub se pasand hy wo ye hy
"Ae ALLAH mujhey dunia me bhi ahfiyat ata ferma aur akhrat me bhi ahfiyat ata ferma". - "YA ALLAH mujhey jahunum ki aag jahunnum k hazaab se aur dozukh ki aag aur dozukh k hazaab se apni pana me rukh aur mujhey jannat-ul-firdoos me ooncha makaam ata ferma".
- Nabi(saw) ny fermaya jo insaan mujhey 2 lips k dermayan wali cheez aur 2 legs k dermayan wali cheez ki hifazat ki zamanat dy day tu mein uss ko jannat ki zamanat don ga es liay
"ya ALLAH tu mujhey meri zubaan aur sharum ga ki hifazaat ki tofiq ata ferma k mein teri di hui cheezon ka ghalut istimal na kron mujhey meri zubaan per qabo ata ferma k mein es se koi ghalut baat na boolon jis se tu naraaz ho ya ye jo hath aur baki jo kuch bhi tu ny mujhey ata kiya uss k ghalut istamal se mujhey bucha lay,meray qadumoon ko burahi ki teruf uthnay se rook lay". - U know HAZRAT ABU BAKAR apnay mouth me chota sa stone rukhtay thay takay wo zubaan se koi esi baat na ker jayan jis se ALLAH narazz ho
- Aik aur dua k
'Ae ALLAH mujhey taqdeer k shur se aur zalimo k shur se apni pana me rukh". - Jo log namaaz perhtay han wo namaz per qahim rahnay ki dua kiya krn aur jo nahi perhtay wo namazz perhnay ki ALLAH se tofiq manga krn.
- U know shataan her insaan ko ghalut rastay per luganay ki pori koshish krta hy lakin jab koi bahut hi naak insaan ho tu uss ka bus nahi chulta tu wo uss se ghibut kerwata hy aur ghibat se tu gharon k ghar berbaad ho jatay han tu ALLAH se ye dua bhi zurori hy
"Ae ALLAH mujhey ghibat se apni pana me rukh". - Yaad rahay aaj kal jo zamana jar aha hy tu kisi insaan ka kuch nahi pata wo kab sahi rahay kab ghalut ho ka buss ki jaan chuli jaye tu her waqat ye ALLAH se apnay gunnahon ki toba MANGNA AUR APNAY AAP KO AUR APNAY SUB HAZIZ RISHTADAROON KO ALLAH ki hifazat me dena zurori hy,jab ALLAH per berosa ho ga tu kisi qisum ki koi fiqir aur pershani nahi ho gi.
- Death se aik saal pelhay ager ALLAH insaan ko jannat me dalnay ka irada krtay han tu wo uss k sath aik esa ferishta moqarar ker detay han jo uss ko naki ki rah per lugaye rukhta hy aur ager uss ko jahunum me dalnay ka irada kertay han tu uss k sath aik esa ferishta luga detay han jo uss ko her ghalut kaam kernay per oksata hy.
- Jab ALLAH ny sub insaano ko create kiya tu 2 hand(mothiyan) insaano se full kiay aik un logon ka jo jahunum me jayan gy aur aik un logon ka jo dozukh me jayan gy aur kaha jata hy dua taqdeer badalti hy tu aik dua hi hy jo insaan ko jannat me lay ja sakti hy.
- Aik bar aik sahabi ko NABI(SAW) ny qereeb anay ko kaha aur fermaya jis ny qalma suchay dil se perh liya wo junnat me jaye gal akin ye baat doseroon ko mat batana wo naak amaal krny chohr dang y lakin bahud me unhon ny NABI(SAW) k wisaal k bahud sub ko bata die s baat se k ilum k doseron tak ponchana es ummat ka farz hy.
- Jo log namaz nahi perhtay un ko aik baat yaad rukhni chahiay that ALLAH pak humarey sajdoon k motaj nahi han ye hum han jin ko uss k agay jhuknay me faeda hy.hum uss k mohtaj han k hum uss ko sajda keran.iblees ny sirf aik sajda nahi kiya tu uss ka ye haal hua sochan hum din me uss pak zaat ko kitnay sajday nahi kertay jo hum per farz han.
- ALLAH jab kisi bhi cheez se roktay han tu uss ka meaning hy that wo hum ko kisi noqsaan se buchana chahtay han jasey shuraab mat pi matlab es ko pinay se tera noqsaan hy aur jab kisi cheez ka hukam detay han tu meaning es me humara faeda hy jasey namaz perh,zaqaat dy kuin k ALLAH hum se bahut pyaar krtay han beshumaar mothers se bhi zayada
- Aik aur baat kabhi aap ny dekha hy kisi carpenter ny pelhay bahut hi khoobsurat chair bunahi jis ki sub qualities uss carpenter ko pata han aur phir uss ko bunanay k bahud break down ker diya similarly ALLAH ny hum ko bunaya uss ko pata hy k ye insaan kis qisum ka hy wo hum se pyaar kerta hy uss ny hum ko create kiya tu jab sonami aya,earth quack aya aur kuch disaster hua tu phir hum ye kuin kahtay han zolum khuda ka yaad rahay zalum tu insaan hy jo ALLAH k ahkaam na maan ker khud per zolum kerta hy,ALLAH pak tu berhay RAHEEM han.
- Jab hum ALLAH se kahtay han YA ALLAH meray walidan ko bukhsh day, meray walidan ko bukhsh day, meray walidan ko bukhsh day three times tu dozukh kahti hy ya Allah tu in ko mujh se bucha lay.
- JO NAMAZ NAHI PERHTAY MERI UN SE REQUEST HY 5 TIME NAMAZ PERHA KRN,USS WAQAT KIYA KRN GY JAB ALLAH aap k aur sub k amal kholay ga aur hum khud ko kahan chupayan gy jab hazaab humarey samnay ho ga aur akalay hon gy.aik aur dua "Ae ALLAH qiyamat k din mera naama-e-amal meray right hand me dena".
· "Ae ALLAH mein teri nahmat k chulay janay se,teri di hui ahfiyat k hut janay se aur teri achanak paker se aur teri her tara ki narazgi se pana chahta hon" · "Ae ALLAH! ajazi,kahili,buzdili,kanjusi,ranj-o-gham aur hazaab-e-qaber se teri pana chahta hon,Ae ALLAH meray nafs ko taqwa ata ferma aur esay pak saaf kr day tu hi es ko pak saaf krnay wala aur tu hi es ka MALIK aur AAKA hy,ae ALLAH mein teri pana chahta hon uss ilum se jo nafa na day aur uss dil se jis me khush-o-khozoo na ho aur herees nafas se jo kabhi bhi sair(satisfy) na ho aur uss dua se jo qabool na ho". · "Ae ALLAH !aag k fitnay se,aag k azaab se aur maldari aur faqiri k shur se teri pana chahta hon". · "Ae ALLAH mein buray ikhlaq aur aamal se aur buri nafsani khawahishaat se teri pana chahta hon" · "Ae ALLAH mein aapus k jhagray,fasaad,nafaaq,aur buray ikhlaq se teri pana chahta hon" · Ae dilon ko palatnay walay meray dil ko deen per jamaye rukh" · Ae ALLAH mein tujh se hidayaat,taqwa,pakdamni, aur dil ka Ghina manghta hon" · "Ae islam k wali aur islam walon k madadgar!mujhey apni mulaqat k waqat tak yahni maot tak islam ki rah per jamaye rukh" · Ae ALLAH mein tujh se pakiza cheezain apnanay aur munkayraat ko chohrnay ki himmat manghta hon aur maskino ki mohabat manghta hon aur ye bhi manghta hon k tu meri toba qabool ferma aur ye bhi k ager tu kisi waqat apnay bundon ko ahzmaish me dalna chahay tu mujhey es ahzmahish me dalay baghar apnay pass bula lay" · "Ae ALLAH mein aajiz ho janay se,kahili se,buzdili se,zayada boorha ho janay se aur hazaab-e-qaber se teri pana chahta hon aur zindagi aur mout k fitnay se aur aik riwayat me hy k qarz k bojh se aur logon k ghalbay se aur dabao se teri pana chahta hon" · "Ae ALLAH me tujh se her qisum ki khair jald anay wali bhi,dahr se anay wali bhi,jo mein janta hon wo bhi aur jo mein nahi janta wo bhi manghta hon aur her qisum k shur se teri pana chahta hon chahay wo shur jald anay wala ho,dahr se anay wala ho,mein usaey janta hon yah na janta hon aur mein tujh se jannat aur her uss qaul-o-fehl ki tofiq manghta hon jo jannat k qareeb kray aur her uss qaul-o-fehl se teri pana manghta hon jo dozukh k qareeb kray aur mein tujh se her wo cheez manghta hon jo tujh se teray bunday aur RASOOL HAZRAT MUHAMMAD(SAW) ny manghi aur her uss cheez se pana manghta hon jis se teray bunday aur rasool HAZRAT MUHAMMAD(SAW) ny pana manghi aur mein tujh se her uss baat ka sawaal krta hon k jis ammer ka tu meray liay faisla kray uss ka unjaam maray leeay acha ker day" · "Ae ALLAH maney ab tak jo kiya uss k shur se bhi apni pana me rukh aur jo maney nahi kiya uss k shur se bhi apni pana me rukh" · "Ae ALLAH mein teri nahmat k chulay janay se,teri di hui ahfiyat k hut janay se,aur teri achanak paker se aur teri her tara ki naraazgi se pana chahta hon" · Ae ALLAH buray din se,buri raat se,buri ghari(moment)se,buray sathi se aur buray perrosi(neighbour) se teri pana chahta hon" · HAZRAT ABU IMAMA fermatay han k aik mertaba HAZOOR(SAW) ny bahut zayada dua manghi lakin hum sub ko uss me se kuch yaad na raha.hum ny arz kiya ya RASOOL ALLAH(SAW) aap ny bahut zayada duayan manghi lakin hum ko uss me se kuch bhi yaad na raha HAZOOR(SAW) ny fermaya kiya mein tum ko koi esi jamay dua na bata don jis me ye sub kuch ah jaye, tum ye dua mangha kro. "Ae ALLAH hum tujh se wo tamam bhalahiyan manghtay han jo teray NABI ny tujh se mangheen aur un sub cheezon se teri pana manghtay han jin se teray NABI ny pana manghi aur tu hi wohi zaat hy jis se maddad manghi jati hy aur hum ko maqsad tak ponchana teray fazal se teray hi zimay hy,burahiyon se buchnay ki taqat aur nakiyan krnay ki qowat teri tofiq se hi milti hy". · and akher me mujhey ye kahna hy that jo shaks 5 time namaz nahi perhta namazi uss k liay jitni bhi duayan ker lay wo sub qabool nahi hon gi kuin k namazi ki duayon me benamazi ka koi hisa nahi hota(ye HAZOOR(SAW) ny fermaya). Kiya Duayon se lumbi zindagi hasil ki ja sakti hy? NABI(SAW) ny fermaya. "Dua se taqdeer bhi badal sakti hy". NABI(SAW) ny HAZRAT ANS(RAZI ALLAH TAALA UN HO)k liay dua ki thi Ae ALLAH ANS k maal me,uski zindagi me aur aulaad me berkaat dal day tu es k bahd un ki umer itni hui that unhon ny apni aulad ki aulad jo khud sahibay aulad thay un ko dufnaya aur un ki aulad ki tadaad bhi bahut zayada thi aur baki sub log saal me 1 faasal uthatay thay lakin HAZRAT ANS saal me 2 fasalain uthatay thay.phir wo khuda se fermanay lugay Ae KHUDA ab mujhey sharum ati hy tu mujhey apnay pass bula lay. Jab wo chotay thay abhi adult nahi thay wo NABI(SAW) ki wives k different chotay motay qaam aur NABI(SAW) ki khidmat krtay thay aik bar wo koi kaam na ker sakay tu HAZRAT AYSHA un ko ilzaam danay lugien k aap ny ye nahi kiya phir NABI(SAW) ny fermaya Ae AYSHA ANS ko kuch mat kaho ager ye qaam KHUDA ko mazoor hota tu ho jata".lakin jab aap adult huay tu parda krnay ki waja se un ko ghar se jana perha tab humarey nabi ny wo dua unko di jo maney ooper likhi hy,
|