Acne: Attack The Root Of Problem
Acne: Attack the Root of Problem Pimples ki cause sirf adolescence aur hormonal imbalance hi nahi hooti eski kaheen causes hen.chronic constipation es ki aik major cause hai, jo food hum eat kertay hen wo important role play kerta hai.Pimples tab hotay hen jab aap ki skin k pores oil, dirts, skin debris se clogged ho jaatay hen.bactaria yahaan happily breed kertay hen, in pores ko infect kertay hen aur es se pimples ho jaatay hen. Pimples ko treat kernay k liay e ski root problem, bactaria pr attack kerain Avoid touching your face with your hands. Poora din aap k hands aap k irdgird ki world se contact me hootay hen.aap k hands phone, table, bag, computer keyboard aur basically aap k around her cheez ko touch kertay hen aur saath me germs ko bhi pick kertay hen.es liay face ko touch kernay se pelhay hands ko achi tara soap se wash ker lain.last thing that aap ki face skin per jitney bactaria hoon gay utnay zayada pimples nikal ayain gay. Keep your hair off your face.
Oily skin ka aam torr per meaning hai oily hairs.aap k face per enough natural oil hoota hai.es liay aap ko skin per aur zayada hair care products aur oil use kernay ki zuroorat nahi hooti.ager aap k hairs aap ki skin ko touch kerain tu kiya ho ga.aap dekhain gi k aap k forehead per, aap ki fringes k nichay aur aap k face ki sides per zayada pimples hoon gay.ye wo areas hootay hen jahaan usually hairs skin k against zayada brush kertay hen.aap ko hair clips ya pony tail use ker k hairs ko face ki skin se dour rakhna chahiay. Wash your face 3 times a day with a good acne cleanser.
Ager aap ki oily skin hai tu din me 3 ya 4 bar face ko zuroor wash kerain. Apni skin ko daily cold water se wash kerain.aik aur problem bhi pimples ki hooti hai k log aisay cleansers use kertay hen jo k face skin k liay bahot rich hootay hen.better ye hai k aap koi mild soap use kerain. Stick to acne skin care
Jo cheez aap ki friend k liay suitable hai ye zuroori nahi k aap k liay bhi ho.khaas torr per ager aap ki skin oily ho aur aap ki friend ki dry ho.latest richest skincare products skin ko radient bunna daitay hen but wo pimples bhi cause kertay hen. Relax
Stress se bhi pimples nikal aatay hen.kiya aap k pimples exam se pelhay ya phir kisi stressful event se zayada ho jaatay hen?bathwater me kuch drops iavender oil use ker k bath lain.wo sub bhi kerain jo aap k stress ko kam keray. Sleep
Aap ki body ko sleep ki zuroorat hai.aap bed time se pelhay sara qaam khatum ker lain.ager aap ko insomnia hai tu koi pill lain jo k last hul hai es se better hai k achi sleep k liay aap din me exercise kerain. Stay away from pressed powder compact.
Acne ko hide kernay k liay press powder mat use kerain kuin k es se pimples aur bhi worse ho jayain gay.kuin k es k again and again use se oil, dirt aur bactaria jamma ho jayain gay. Do not let bacteria breed happily in your make up tools. Apna sara makeup regularly brush ker k soap aur water se wash kerain.aur phir brushes ko dry ker k rakhain.oily skin per acne ko special cae ki zuroorat hooti hai aur es ki bright side ye hai k dry skin se oily skin per aging k signs slower nazer aatay hen.apni skin ki care kerain tu next decades me aap apni peers se zayada younger nazer ayain gi. Follow three steps Her din apni skin ko cleanse, tone aur moisturize kerain specially eyes k around skin ko moisturise kerna mat bhoolain. Drink A lot of water Moring time before eating anything khud ko 6 glass water drink kernay ka habitual ker lain. Don not pinch your pimples Apnay face k pimples ko pinch t kerain es se germs pooray face per delocolize ho jayain gay aur phir zayada pimples nikal ayain gay. Good food habits and exercise Good food habits aur exercise important role play kerti hai.aap ko fried foods, chocolate, cheese aur aerated drinks choornay hoon gay. fresh fruits aur green vegetables zayada water k saath use kerain. My Last Tip khush rahain aur apni inner beauty ko nurture kerain. Most important ye hai k aap apnay pimply area ko dry rakhain aur dirt free aur oil free rakhain.
|