Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 12:19am |
|
|
Ameer & Ghareeb: Only Two Religion In The World
kahne ko tu iss dunia mai kai religion hai. lekin practically yaha sirf two religion hai. aik ameer aur doosra ghareeb. ameer aadmi khwah kisi bhi mazhab se taluq rakhta hai, aish o aram ke sath rahta hai, jabkeh ghareeb aadmi bhi khwah kisi bhi mazhab se taluq rakhta hai os ki qismat mai takleef aur mushaqqat hi hoti hai.
ameer aadmi dunia ke sare kaam kar sakta hai, tafreeh kar sakta hai, far-east, europe aur dunia ke tamam mumalik ki sair kar sakta hai, beemar par jai tu behtareen hospital mai ilaj kara sakta hai, os ke bachche behtareen school mai parhte hai, os ki bivi ke paas behtareen kapre aur jewelry hoti hai, ghareeb aadmi se larai ho jai tu ose jail bhaijwa sakta hai, daulat ke bal par ghareebo ki izzat tar tar kar sakta hai, woh har sal umrah kar sakta hai, Haj kar ke apne sare gunah dhulwa sakta hai, Khana kaaba aur masjid-e-nabwi mai nimaz parh sakta hai.
ghareeb aadmi tu sirf aur sirf ghareeb hota hai, os ke bachche proper taleem hasil nahi kar sakti, achche dress nahi pehen sakte, proper khana nahi kha sakte, proper ilaj nahi kara sakte, marzi se sair o tafreeh nahi kar sakte, proper tareeqa se ibadat bhi nahi kar sakte, Khana kaaba aur masjid nabwi mai nimaz nahi parh sakte. Hajj kar ke apne gunah nahi dhulwa sakte. eid par apne bachche ka dress nahi bana sakte, Qurbani ka bakra lakar apne bachche ko khoosh nahi kar sakte, cow ki qurbani mai bhi hissa nahi le sakte.
ameer aadmi england aur usa mai baith kar ghareebo ke favour mai sirf aur sirf bian de kar apna ullu seedha karte hai, siasat daan ban kar ghareebo ko bewaqoof banate hai, ghareebo ko mukhtalif party mai baant kar aapas mai larate hai, aur khood drawing room mai baith kar tamasha dekhte hai.
ameer aadmi ka jab dil chahta hai umrah karne chale jaate hai, ghareeb aadmi ko eid ke din bhi kam karne par majboor karte hai.
ameer aadmi kisi bhi mazhab (Muslim, hindu, christian .....) se taluq rakhta ho aish o aram se rahta hai, jab ke ghareeb aadmi bhi khwah kisi bhi mazhab (Muslim, hindu, christian .....) se taluq rakhta ho os ki qismat mai dukh, takleef aur mushaqqat hi likha hota hai.
iss dunia mai jetni bhi laraia mazhabi, lesani ya qomi buniad par hoti hai, os ka master plan banane wale log ameer hote hai jab ke larne wale log bechare ghareeb hote hai, jo yeh jaante bhi hai keh on ko ameer log apne banglow mai baith kar lara rahe hai, lekin kuch nahi kar sakte.
koi bhi ameer aadmi mehnat se ameer nahi hota balke qismat se ameer hota hai. jab keh ghareeb aadmi ketna bhi mehnat kar le, agar os ki qismat mai ghareebi hai tu woh ghareeb hi rahe ga. sirf 5% ameer log kisi wajah se ghareeb hote hai, aur isi tarah sirf 5% log qismat se ameer ban jaate hai. warna 95% ameer log paidaishi hote hai, aur 95% ghareeb bhi paidaishi hote hai. ghareeb ghar mai paida hone wala bachcha ghareeb hi hoga, jabke ameer ghar mai paida hone wala bachcha ameer hoga.
lehaza iss dunia mai sirf aur sirf do hi qisim ke log hai, aik ameer aur doosra ghareeb. baqi sab bekar ki batai hai.
|
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 2:16am |
|
|
Re ghareeb admi kitna bhi naik ho aaj kal kw zamana main paise ke beghair haj pe nahi ja sakta aor ameer admi Parvez Musharraf jaisa zalim aor qatil Ka'aba pe kharra ho ke Allah Ho Akbar ke nara lagata phirta hae |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 2:26am |
|
|
agree with ch babar about bare log ji haa aap ne bilkul theek farmaya. hamare mulk ke sare bare log apna gunah dhulwane ke liye khana kaaba jaate hai. jurm karne ke baad jail jaane ki bajai jilawatn hona pasand farmate hai aur jilawatni ki zindagi bhi dubai, london aur saudi arab mai aish ke saath guzarte hai. aur wahi se baithe baithe ghareeb logo ko aapas mai siasi, lisani aur qomi buniyad par larate rahte hai. aur bechare ghareeb in bare logo ke hatho kath putli bane rahte hai.
|
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 7:38am |
|
|
hmm is topic se aap kai kehna cahtin hain wese? |
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 7:42am |
|
|
... wese kali zuban no offence aur any taunts towards u..but kehne ko bardi haamyat me bool rai hain gharebon keh..lekin apne dusare topic me apne dkeha he kis batameezi se gharebon ko reject kardia tha..woh to sawab bhi nai sahi se kama sakte ..aur pata nai kai kai.
lol girl make up ur mind first |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 12:46pm |
|
|
Bili_miau: mere post aap ke oopar se guzar rahe hai mai na tu ghareeb ki himayat mai bol rahi hoo aur na hi ameer ki mukhalifat mai. mai ne aik fact batane ki koshish ki thi jo keh aap ke oopar se guzar gai, read: Watching Tv Is A Source Of Mental and Religious Peace. majbooran mujhe tafseel se yeh thread shuru karna para. isi liye kahte hai keh jo baat samajh na aye os mai tang nahi arana chahiye. |
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 2:06pm |
|
|
oh waqai mere khail me yeh baat mere uper se nai guzri..balke is bat ka sire se hi koi point hi nai tha...apko lagta he eik do topics per likh kar aap koi bht kamal ka author ban gai hain ..LOL..jsut let me laugh lady..
mere uper se guzar gai hain..rite yeh judge karne wali aap kon hoti hain..wese to be honest i really cant be botherd to waste my time with u..ur such a batameez woman..and trust me this is not a fact..its such crap useless opinion man |
pinky7861 |
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 2:56pm |
|
|
re Ameeri aur gareebi kay hwalay say app nay sociology ka sirf aik MODEL paish kia hay baqi main aap ko bata daiti hoon.
App jis model ki baat ker rahi ho sociologist usay CONFLICT PARADIGM ka naam daitay hain yani jis ka matlab hay kay dunya main sirf do kisam kay loag hain aik ameer aur doosra gareeb. Iss ki tarafdari kernay walay sociologist main KARL MARX ka naam sab say ziada numayaan hay aur ager aap ko patta ho tu yah wohi hazrat hain jo communism kay father samjay jatay hain.
iss ka ilawa
2-The functionalist paradigm
3-The Symbolic Interactionist Paradigm
Ab main tafseel main nahi ja rahi time nahi hay, lakin aap society kay liay itna depress na hoon. Dunya main bohat loag hain jin ka sirf kaam hi yah hay. Wiasay yah jis model ki aap baat ker rahi hain iss ko ab sociology main bhi koi nahi manta. Aur russia ka anjam aap ko shayad yaad ho ga. Iss liay dobara MARX bannay main time zaia na kerain plz. |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 3:00pm |
|
|
Bili_Miau: Topic Divert Personality ji haa meri batai aap ke oopar se guzar rahi hai. tab hi aap ni post Watching Tv Is A Source Of Mental and Religious Peace ka topic change kar ke ghreeb log karni ki koshish ki. jab aap ke liye main ne ghareeb aur ameer par new thread shuru kia tu iss par proper jawab deni ki bajai aap kah rahi hai keh mai aik batameez woman hoo. mai jo kuch kahti hoo iss se agree hona zaroori nahi. lekin agree na hone ki soorat mai ya post samajh na aane ki soorat mai mujhe batameez women kahna proper reply nahi hai.
aap ki shakhsiat yeh hai keh aik post watching tv and mental peace ko samjhe beghair ghareeb people ka topic shuru kar dia, jab aap ki khawahish ke mutabiq ghareeb aur ameer par new topic likha tu iss topic ko bhi change kar ke badtameez woman ka topic shuru kar dia. meri samajh mai nahi araha hai keh jab aap ki khatir ameer ghareeb ka topic shuru kia tu iss par proper jawab dene ki bajai badtameez woman ka topic kio shuru karna chahti hai. mai aap ke liye badtameez woman ke name se aik new topic Bili_Miau: Topic Divert Personality shuru ki hai. umeed hai keh iss topic ko bhi aap divert karne ki koshish kare gi. |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:20th Dec 2007, 3:28pm |
|
|
pinky7861: mai ne yeh topic Bili_miau ke liye shuru ki hai mujhe iss se koi matlab nahi keh meri baato ko sociologist kia kahte hai. mai ne aik fact batai hai jis se inkar nahi kia jaasakta. mai ne yeh topic na tu kisi ghareeb ki hamdardi mai likha hai aur na hi kisi ameer ke mukhalfat mai. kio keh ameer aur ghareeb God ne banaya hai.
ham God ki banayee huyee cheez ko change nahi kar sakte. yani ham na kisi ghareeb ko ameer bana sakte hai aur na kisi ameer ko ghareeb. lehaza mujhe iss se koi matlab nahi keh ghareeb ameer kaise ho sakte hai. lekin fact yeh hai keh ameer sab kuch kar sakta hai ru ghareeb kuch nahi.
Note: yeh topic darasal mai ne Bili_miau ke liye shuru kia tha. kio keh woh mere post ko iss topic mai convert karne ki koshish kar rahi thi. aur ab woh yaha par iss topic par discuss karne ki bajai koi aur topic mai convert karna chah rahi hai.
|
Bili_miau |
Group: Members Joined: 20th Oct, 2007 Topic: 17 Post: 871 Age:
26
|
|
Posted on:21st Dec 2007, 7:45am |
|
|
khub dekho bai topic per to me tab hi bat karungi ..jab aap apna atttitude sahi kareng...wee mujhe useless thing samjhne ki try na karen..am law student 2nd year..apse zaida knowledge hoga mere pas society aur law ka!!
aur dusaron per topics bana kar apne aapko aap mahatma gandhi samjhne lagin..lol....ise log aapko hi bewakooq samjhenge..behtar he aap yeh kam chorden aur get on with ur life..
kyonkeh aapke kisi bhi topic ka ab me to reply sahi se nai dene wali.ap apne aapko chez samjhtin hain to samjhen na.. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:24th Dec 2007, 9:04am |
|
|
Topic hi samajh nahi aayah ??? Sister Kali mujhaey tou topic hi nahi samajh aaraha hai kah app kiya kahna chah rahein hain sab kuch sir k uper se guzar gaya hai ....
Kahan Ameeri or Ghareebi or Kahan Religion ........ no sense at all .
|
|