Allah Is A Unique Word ALLAH
Aaj abhi thoray time pelhay Doctor Zakir Naik ki speech peace tv per listen kernay k bahd es ko yahaan likh rahi hoon that Allah k 99 names ka Quran Majeed me ziker hai jo k Allah k attributes hen aur Allah(word) ki translation kisi aur language me ho hi nahi sakti let take word god ager es word k sath 's' luga den tu gods bun jata hai which is a plural word aur ager 'ness' luga den tu ye goodness female ho jata hai,ager mother luga den jaisa k nonmuslims kahtay hen tu godmother bun jata hai jab k Allah koi ami,maata,maa nahi hai aur ager father luga den tub hi Allah baap,pita,abu nahi hai similarly khuda bhi Allah ki sahi translation nahi hai kuin k ye khudaya,khudaye me convert ho sakta hai aur Allah ki kitaab me bhi her jaga Allah hi likha gaya hai es k ilawa koi aur word Allah k attributes(99 names) k ilawa use nahi hua.
Koi aur word hum len like jameel in urdu tu es ka aik bhi urdu alphabet huta den tu meaning hi change ho jata hai lakin Allah Arabic word se koi bhi aik lafz huta den tu meaning me koi change nahi aata.
Hum muslims bhi god ka word nonmuslims k agay majboori ki halaat me hi use ker saktay hen lakin Allah ki translation Allah hi hai aur Allah humesha Allah hi hai.
So all muslims please always use word Allah not god while writing here.thanks |