Acne Marks: Treatment Options For Acne Marks(scars): Acne itself ka koi bhi particular root cause nahiN ha . acne ko sirf or sirf hormones say relate karma bhi galat ha bulkey medically iska koi cause besides iss keh k skin kay pores oil aur sebum say block ho jatey haiN aur iss blockage ki wajah say wahaN aik particular type ka bacteria (propionibacterium) grow karta ha jiss kay baad acne ki mukhtalif forms / categories bunti haiN aur kuch bhi naheiN hai.
Most important isko genetic hi consider keya jaata ha aur even 30's-40's ki age main bhi acne ho sakti ha.
Hormones , drugs , food(oily and caffine) other chemicals ko iss say relate karney ka sirf khayal ha
Albatah acne ho to scar ko prevent karma behtar hai magar ismeh bhi yehe daikha gaya ha k 70% persons with acne ko scar ho hee jatey hain. Scar ki revention main yehe ha k pimple etc ko scratch nah karain , proper washing rakahiN aur water intake azydah ho.
Treatment For Acne Marks:
Acne marks ki bahoot treatment options haiN agar acne kay marks aur scar form ho gaey haiN aur cosmetic problem kar rahey haiN to who doctor say zaroor treatment option pooch laiN.
Acne ki category aur oos kay marks ki category peh depend karta ha k ooun keh leye ka best treatment option ho ga. Waisey hee abb oonkay marks/scars to bunn hee chukey haiN so besides treatment aur koi option naheiN ha.
Acne ki yeh categories haiN
Milder form maiN mostly white heads hotey haiN aur kum kum black head(comedones)
Moderate form main pimples form hotey hain with small puss/white spot aur as such skin ki reddening hoti ha
Severe form who hoti ha jismeh skin k neechey lumps form hotey haiN different category kay.
Scars ki treatment option wise 2 categories haiN.
1) agar face peh kaheiN kahieN dips ya inward depression houN
2) skin peh itney deep depression houN keh gaRhay parey huwey feel houN
Treatment options:
1) Retinoids application minimum 2years keh leye inn scars ko almost totally khatam kar daiti ha especially category 1 kay scars ko
2) chemical dermabrasion ya chemical skin peeling : basically iss main doctor chemical apply kartey haiN skin peh jo keh skin ki first layer ko ootar daitey haiN/peel off kar daitey haiN
3) Surgical option: sirf local numbness kar keh skin peh (anesthetized) wahan :
a) Filling: jo skin main depression ho scar ka uooski filling kar daitey haiN
b) Punching: scar ko remove kar keh oos jaga ko new skin say cover kar daitey haiN
4) Lasers: acne scars kay leye laser aik achi option consider hoti ha khaas tor say agar deep scars houN . Ismeh sittings bhi kum haiN hardly 3 sittings require hoti haiN aur results bhi fine atey haiN. Laser options ki bhi aagay types haiN. Kum deeper scars kay leye sirf skin ki second layer ko strong kar keh scar heal kartey haiN. Aur agar deep scar houN to scar wali layer ko remove kar daitey haiN. Overall laser is a good option for acne scars/marks.
|